Google par photo upload kaise karte hai | how to upload photos on google in hindi

How to upload photos on Google full details in hindi



Google par photo upload kaise karte hai | how to upload photos on google in hindi


Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki google par photo upload kaise karte hai. Aapne to dekha hi hoga google par koi bhi image search karo lagbhag aahi jati hai. Ham google par dekhte hai bahut se hero , model , animal , nature etc. Se ralated croro photo hote hai. Aise me ham ham bhi chahte hai ki kash ham bhi apna photo google me upload karpate. Ya fir google me photo kaise upload karte hai. Google ne photo upload karne ka sawal sirf hamare hi manme nahi balke aur bhi ham jaise bahut se logo le manme aate hai. Aur sab yahi sochte hai ki yaar google me photo kaise upload karte hai.


Google me photo upload kyun kare :-


Ab dekhiye ye to sabke apne apne soch par depend karta hai. Fir bhi kuchh reasons ham aapko bata rahe hai.

1. Apna photo internet par safe aur kabhi bhi kahi bhi dekhne ke liye.

2. Koi yaadgar photo ko memorable karne ke liye.

3. Agar aap model ya actor hai to apne aapko mashoor yani famous karne ke liye.

4. Apne business ko promote karne le liye.

5. Khudko photo ke jariye internet aur google par mashoor yan famous karne ke liye.


6.  Google par photo upload karke internet se paise kamane ke liye.

7. Apne blog ya website ya fir kisi important content ko photo ke jariye google ke through jyada se jyada se jyada logo tak pahuchane ke liye.

8. Kisi ghatna ya fir amazing photo ko duniya ko dikhane ke liye. 

Aise bahut se sabke apne apne reason hote hai google par photo upload karne ke. To chaliye ham google par photo upload karte kaise hai ham usske bareme jante hai.


Google par photo | images | picture kaise dalte hai :-


Dekhiye google par photo to har koi dalna chahta hai par sach ye hai ki ham directly google upload karhi nahi sakte hai. Kyunki google ne direct google par photo upload karne ka koi feature hi nahi di hai. Ab hamare manme ek sawal jarur aaya hoga ki jab ham google par photo upload hi nahi karsakte to fir google par itne photo aaye kaha se.


Google par photo kaise aate hai | How does image appear on Google in hindi ?


Dekhiye maine aapko upar bhi batadi hai ki google par image yani photo ko ham direct nahi upload karsakte hai. Isske liye aapko apne photo ko kisi blog ya website par upload karna hoga. Aap apne blog ya website ke jariye google lar photo upload kar sakte hai. Aap facebook , twitter, google plus jaise social media par bhi photo ko upload karke google me apne photo ko la sakte hai. Google me photo dalne ke liye aapko kisi website ya blog par photo upload karke usse achhi tarha se seo karna hoga. Aap ka blog ya website google ke searching engine me submit hona jaruri hai tabhi aapka photo google me index hoga. 


See Also :-


Dekhiye google apne web crawler ke jariye duniya  bharse aapke search kiye gaye topic bale website aur content ko khoj kar aapke samne ladega. Par haan jiske blog ya website ka seo achhi tarha se kiye gaye hote hai usske photo ko google jaldi se top par ladete hai. Agar aap photo upload karte hai to aapka photo public hona chahiye warna nahi show karega. Agar aap apne photo ko private karke social media ya fir blog ya website par upload  hai to aaapke photos ko google index nahi karpayega. Jiske karan aapka photos google me nahi dikhega.

Google itne fast kaise kisi photo ko khoj leta hai | how is google able to search so fast in hindi :-


Ab dekhiye google lagbhag 1 second ya fir 1 second se bhi kam me kisi chijko kaise khojleta hai. Aakhir itne fast ye kaam kaise karleta hai. Dekhiye jab ham search karte hai to google uss wakt nahi khojta hai balki wo pehle se hi khojke rakha hota haii aur aapke internet ke speed ke hisab se aapko result yani parinam dikhata hai. Kya hota ki google apne web crawler ke help se  google search engine me submitted ya fir internet par majud sabhi blog ya website ya fir content ko index karta hai. Aur jisske site ka seo acchi tarha se kiye gaye hote hai usske photo ya fir website ko top par late hai.


Mera photo google me index hone me kitna time lagega | how long before my photo is indexed :-




Dekhiye aap apne photo ko kisi website ya fir blog par upload karlete hai to aapke manme ya sawal jarur aayega ki ab google me hamare photo aane me kitna time lagega. Dekhiye ye to google janta hai ki aapke photos google me aane me kitna time lagega. Par haan agar aapke blog ya website ka seo achhi tarha kiye honge to aapka photo bahut google me aajayega. Aap jitne achhi tarha se photo aur site seo karenge aapka photo utne jaldi google me aajayega.


Ummid karta hu aapko ab pata chalgaya hoga ki ham google par photo kaise upload kar sakte hai. Google me photo aane me kitna time lagta hai. Google kaise photo ko show karte hai. In sab ke bareme hamne achhi tarha se samajh li hai.


Tags:- 

Google par photo upload kaise karte hai, Google par image yani picture kaise upload kare, google par photo kaise dalte hai, google par photo | image dalne ka tarika, how to upload photo on Google in hindi, how to upload images on Google in hindi.


To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.

Facebook page -

Howtohelpinhindi

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

3 comments

comments