Android mobile me 100 GB free online storage kaise paye | how to get 100 GB drive

How to get 100 GB online storage from degoo 100 GB cloud storage in hindi


How to get 100 GB online storage from degoo 100 GB cloud storage in hindi


Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swaagat hai. Aaja janenge ki apne mobile phone me 100 GB ka cloud storage yani backup kaise paye. Dekhiye normally mobile company balo ne pehle se hamare phone par 4GB , 8GB , 16GB , 32GB, ya fir 64GB tak ka storage diye hote hai. Par jayadatar logo ke pass 8GB ya 16GB tak ka internal storage bale mobile phone hote hai. Aapko pata hi hoga jab ham koi video record karte hai to kafi badi saze ka hota hai. Android Mobile ke liye ye 8GB ya 16GB koi bahut khas space nahi huwa. Kyunki aajke iss modern jamane me ham jab kissi party function ya marriage , birthday aise bahut se jagah par to ham uss palko yaadgar banane ke liye ham picture ya videos record karlete hai. Aajkal selfie ka itna popularity badhgaya hai ki ham kisi dost ya kisi naye jagah par chate to kamse kam selfie to jarur lete hai. Agar ham koi video apne mobile phone par rakhte hai to wo bhi full hd bale jisske wajah se hamare phone me  space full hojata hai. Baat photo aur videos ka hi nahi bahut sare hamare phone music bhi hota hai. Kai music to hamare apne bhi hote hai ya kai sare hamare favorite song bhi hote hai. Bahut sare document hote hai. Insabhi ke wajah se hamara phone ke storage full hojata hai. Kabhi kabhi hamare external memory card bhi full hojata hai. Jab hamara phone ka storage full hojata hai to ham apne gallery ko bhi photos videos dekhne liye open nahi karpate hai. Aur selfie ya video record ka baat hi chhodiye. Fir hame majburan kuchh important videos , photos music ya fir documents ko bhi delete karna padta hai.


Hamare mobile phone ka storage kyun full hota hai:-


Dekhiye maine aapko upar bata hi di hai ki hamare mobile phone ka storage kyun full hota hai.  Phir bhi chaliye usse points me short karke bata deta hu.

1. Bade Size bale videos mobile phone me jyada hone ke wajah se.

1. Hamare Mobile me jyada photos hone ke wajah se.

2. Jayada songs ya music hone ki wajah se.

3. External memory card na hone ki wajah se ya fir external memory card ka storage kam hone ki wajah se.

4. Mobile phone ka internal storage kam hone ke wajah se. 

5. Mobile me jayada apps hone ke wajah se.


Mobile phone ka storage full hone se kya kya problem aata hai :-


1. Mobile phone ki storage full hone ki wajah se gallery nahi open hoga. Gallery open na hone ki wajah se ham apna photos , videos ko nahi dekh payenge.

2. Ham kisi achhe moment memorial karne ke liye videos ya photos nahi le payenge.

3. Mobile phone ka kuchh system kaam nahi karega.

4. Mobile slow chalega yani mobile hang hoga.

5. Koi achhe aaye to usse bhi ham apne phone me storage full hone ke wajah se nahi dal payenge. Etc. Aise aur bhi kai sare problem face karna padta hai.


To chaliye ham janlete hai ki apne mobile phone me 100GB storage kaise pate hai. Aapkp google drive bhi sirf 15 GB tak ka hi online storage dega. Par jo mai batane jaraha hu jisse aap 100 GB tak ka Online storage pa sakte hai. To post ko acchi tarha se padhiye aur samajhiye.


Apne android mobile phone me 100 GB free online storage kaise paye :-


1. Sabse pehle aap apne mobile phone phone me Degoo ka 100 GB Cloud storage bale app ko install karlijiye. Aap playstore se bhi download kar install karsakte hai. Ya niche digayi link se bhi download kar sakte hai. Aap icon dekh sakte hai.





2. Ab aap iss app ko open kijiye. Aap first time open karenge to aapko signup karne ko bolega. Signup karna bahut easy hai aap apna Email aur password dal kar signup karsakte hai. Ya fir niche sign in with google account hoga aap usspar click karke sidha Degoo apne login kar sakte hai.




3. Login karne ke badh aapko upar 3 horizontal line dikhega aapko usspar click karna hai.




4. Usse badh aapke samne ek kuchh options bale menu khulega ussme se ek option hoga Choose what to backup aapko usspar click karna hai.

5. Fir aako Jis jis chij ka backup lena aap unsabhi ko on kardijiye jaine sabhi ko on kardihai. Aap picture me bhi dekhsakte hai.





Ussme aapko add files ka bhi option milega aap extra bhi kuchh backup le sakte hai.


6. Ab aap options bale menu me jakar status ke option par click karke backup lena hai aur dekhna hai wo sab kar sakte hai. Aap chahe to backing time ko pause bhi karsakte hai aur badhme fir wohi se backup start kar sakte hai.





7. Ab aap firse options bale menu me jakar my files ke option par click karke apne sabhi files dekhsakte hai jo aapne backup li hai.


Note :-
1. Mai aapko suggest karunga ki aap backup wifi se hi le nahi to aap bahut sara data kat jayega 

2. Aap chahe to uss degoo ke 100GB cloud storage bale app ke apne ussi email aur password se login karke apna sara data kabhi bhi kahi bhi nikal sakte hai.


Aap apne tarike se isska setting set kar sakte hai ya fir pehle jaisa hai waisa hi rehne dijiye.


To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye.

Facebook page -

Howtohelpinhindi



Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

5 comments

comments
May 2, 2018 at 10:16 PM delete

I am grateful for this blog to distribute knowledge about this significant topic. Here I found different segments and now I am going to use these new instructions with new enthusiasm.
istore

Reply
avatar
September 15, 2018 at 4:18 AM delete

Useful Article bro. Thanks For sharing with us.

Reply
avatar
January 17, 2019 at 2:24 AM delete

Leptop me chalega app bhi batao
Aur leptop restor kar diya ho to vapus le sakte hi all video

Reply
avatar
October 14, 2021 at 12:20 AM delete

Earn 1000 $ from home by affiliate marketing. By ClickBank and amazon affiliate program
Read This Article

Reply
avatar