How to change gmail and Google plus profile picture in hindi :-
Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki Gmail aur google plus account me profile picture kaise change karte hai. Dekhiye dosto ham jab gmail me jab apna account banate hai to kisi kaam ki jaldbaji me filhal koi bhi photo upload kar dete hai. Uswakt ham sochte hai ki kabhi bhi badhme apna ek achha sa photo choose kar gmail yani google ke profile me upload kardenge. Dekhiye aise bahut si reason hai jinke wajah se ham apne gmail yani google plus ka profile picture ko change karna chahte hai. Par gmail ka profile picture kaise change karte hai usske bareme hame pata hi nahi hota hai. To dosto ab aapko chinta karne ki koi jarurat nahi mai aaj aap sabhiko gmail aur google plus me profile picture computer aur mobile se kaise change karte hai usske bareme puri details me bataunga. To chaliye ham sabse pehle jante hai ki computer se kaise gmail aur google plus ki profile picture ko change karte hai. Aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiyega. Hamara aur bhi gmail se related kaise sare important post hai. Aap usse bhi niche gmail aur internet bale catagory me jakar padhsakte hai.
Also Read :-
Microsoft email account kya hai ? - Hotmail | Outlook ka account kaise banaye
Gmail or google account ka date of birth kaise change kare - Howtohelpinhindi
Gmail email me deleted emails aur files ko recover | restore kaise kare
Google or gmail email ka profile name kaise change kare full details hindi me

Ekbat mai aapko batadu Agar aap gmail ka profile picture change karenge to bhi automatically google plus ka profile picture change hojayega. Aur agar aap google plus ka profile change karenge to automatically google plus ka profile picture change hojayega. Kehne ka Matlab ye hai ki jo aapka gmail profile picture rahega wohi google plus ka bhi rahega. Aur jo google plus ka profile picture rahega wahi gmail ka bhi rahega. Par aap gmail ke profile picture ko gmail me direct nahi change kar payenge. Isske liye aapko google plus ka profile picture badalna hoga.
Computer se Gmail aur Google plus ka profile picture kaise change karte hai :-
1. Sabse pehle aap apne browser me gmail.com par click karke apne uss Gmail account me login karlijiye jissme aap apna gmail ka profile picture change karna chahte hai.
2. Gmail account me login karne ke badh aap upar side me dekhenge to aapko apna pahle bala gmail ka profile picture ka icon dikhega. Aapko usspar click karna hai. Aap picture me bhi dekh sakte hai.
3. Ab aapko my account ka option dikhega left side me dekhenge to aapko aapka gmail aur google+ ka pehle bala profile picture dikhega. Ussme likha hoga change to aapko apne profile picture par click kardena hai.
4. Ab aapke samne ek popup sa khul jayega. Jissme aapko kuchh option dikhega. Options kuchh istarha hoga,
◆ Upload Photos :-
Iss option par click karke aap apne computer se ek naya photo apne gmail account me upload kar sakte hai.
◆ Your Photos :-
Iss option par click karke aap apne gmail me pehle upload pare koi ek photo ko select kar usse apna gmail ya Google+ ka profile picture bana sakte hai.
◆ Photos of You :-
Issme aap apna photos select karsakte hai.
◆ Web Camera :-
Iss option par click karke aap apne computer se koi photos click kar upload karsakte hai. Agar aapke computer me camera hai to.
To mai yaha par upload photos par click karke apne computer se koi ek photo choose karleta hu.
5. Ab aap photo choose karlete hai to aapko side me ek Rotate ka option dikhega. Aap chahe to apne ko left rght karke rotate bhi kar sakte hai. Aapko photo ko resize karne ka bhi option dega aap chahe to use apne hisab se resize kar sakte hai. Aap chaho to ussme caption bhi add kar sakte hai.
6. Fir aapko niche Set as profile picture ka option dikhega aapko usspar click karna hai. Ab aapka gmail aur google plus ka profile picture change hojayega. Aap refresh karke dekhsakte hai.
Dekhiye har kisi ke pass computer to nahi hota hai par gmail account to lagbhag sabhi ke pass hota hai. Kyun ki wo gmail account ko apne mobile phone me bhi use karte hai. To chaliye ham janlete hai ki Mobile se kaise gmail aur google plus ka profile picture badal sakte hai. Aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.
Also Read :-
Apne android phone me wifi icon aur status bar kaise hide aur unhide kare
Mobile phone me Open aur Secured Wifi hotspot kaise create kare full details
Mobile phone se kaise kaise Gmail aur google plus ka profile picture change karte hai :-
1. Sabse pehle aap apne mobile phone me google plus application ko open karlijiye.
Google plus application ko open karne ke badh aap apne uss gmail account se login karlijiye jisska aap profile picture change karna chahte hai.
2. Ab aapko upar aapka jo pehle bala profile picture hai usska icon dikhega. Aapko usspar click karna hai. Aap picture me bhi dekh sakte hai.
3. Fir aapka profile picture open hojayega aur aap upar right side me dekhenge to aapko ek 3 dotted line dikhega aapko usspar click karna hai. Aap picture me bhi dekh sakte hai.
4. Ab aapko kuchh options dikhega jinmese aapko ek profile picture ka bhi option hoga aapko usspar click karna hai. Fir Aapko bolega select a profile photo uss aapko kuchh istarha ka option dekhega ,
# Take photo :-
Iss option par click karke aap naya photo click kar upload karsakte hai.
# Your Photos :-
Issme aapko apne mobile phone ka sabhi photos show karega aap apne mobile phone me se apna photo select kar upload karsakte hai.
# Your albums :-
Iss option par click karke aap apne album me se photo select karsakte hai.
5. Maine your photos me se photo choose ki hai. Aap bhi karsakte hai. Fir aapko upar ek select ka aur ek crop ka option dikhega aap chahe to crop bhi kar sakte ya fir sidha select ke option par click karke Upload kar sakte hai.
Finally ab aapka gmail aur google plus ka profile picture change hojayega. Aap refresh karke check karsakte hai.
To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.
Note : Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye.
Facebook page -Howtohelpinhindi