Email account kaise banate hai gmail par/how to create gmail account

How to create an email account on G-mail



Email account kaise banate hai
Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai aaj mai aap sabko batane ja rahahu ki email account kaise banate hai agar aap janna chahte hai ki email kya hai to hamri pichhle post padhsakte hai jiss me maine bahut hi details me bataya hai ki emai kya hai,email ki aabsakta kyu padta hai aur address Kya hai sabhi ke bareme maine puri details ke sath bataya hai jisse padhkar aap aasani se samajh sakte hai ki email kya hai?  Isse padhe ke liye niche di gayi link par click kare

Email kya hai? What is email?

Aaj mai aap sabko batane ja rahahu ki email account kaise banate hai dosto aajkal hamare pass ek email address hona hi chahiye kyuki bagair email address ke ham aaj kal lagbhag internet me kuchh nahi karsakte to chaliye sikh lete hai ki email kaise banate hai aap chahe to email account Gmail,yahoomail ya fir hot mail par bhi bana sakte hai sab free service hai aaj ham sikhenge ki Gmail par account kaise banate hai to chaliye ham step by step karke sikhlete hai

Step1:- sabse pehle aap apne browser me type kare gmail.com fir aapke samne ek page khulega usme aapko login aur create new account ka option hoga agar aapke pass pehle se hi ek Gmail ka id hai to aap apna email aur password dalkar login karsakte hai agar nahi hai to koi bat nahi aap create new account bale button pe click kare



Step2:- Ab aapke samne ek forum aayega us forum ko fill up karna hoga matlab usme aapko ek forum bhadna hoga

Gmail ka forum kaise bhare:-


First name:-
Isme aapko apna pehla name bharna hai jiss name se aap Gmail account banana chahte hai jaise ki maine dala hai Sunil

Surname/last name:-
Issme aapko apne last name dena hota hai jaise maine di hai Yadav

Email address:-
Ab aap apna ek email address dale aap kaise email rakhna chahte hai aap apne email me numerical keypad ki help se number bhi add karsakte hai
Jaise maine dala hai sunilyadav7788@gmail.com

Password:-
Issme aapko apna ek password dalna hoga password ek chavi ki tarha hota hai to password aisa chune ki koi guess na karsake aur kisiko apna mat bataiyega

Confirm password:-
Ab aap isse wahi password who ba who matlab same password daliye jo aapne upar dala tha kyuki ye confirm karta hai password

Gender:-
Isme aap apna ling choose kare ki aap male hai ya female jaise aap dekhsakte maine chuna hai male kyuki ye purush hai agar aap mahila hai to female chune

Date of birth:- 
Aap apna date of birth chune pe pahil month ka option aayega fir din aur fir year ka jaise maine di hai month me May fir day me 08 aur year me 2000 aap apna date of birth de mere bala nahi

Mobile phone:-
Yaha par aap apna mobi number de aap chahe to isse khali bhi chhod sakte hai par behtar hoga ki de de taki badhme password bhulne par ya fir aapke email me koi problem aane par confirm karne me kam aayega

Current Email address:-
Agar aapke pass pehle se koi email account hai to dedijiye  ye bhi badh me aapko verify karne me help karegi agar nahi hai to fir isse khali chhod dijiye

Prove you're not a robot:-
Kabhi kabhi aisa hota hai ki koi hamare email me ghusne ki kosis karte rehte hai isiliye Gmail ne ek verification ka step rakha hai isme aapko captcha code dikhega usse niche dalna hota hai aur agar aapko code padhne me dikkat ho to aap usse recaptcha karde fir dusra code dikhega jab tak aapko code samajh me na aajaye aap recaptcha karte jaye fir aap koi code dekh kar waha pe dal de

Location:- 
Yaha par aap apna country ka naam choose kare agar aap India se hai to india choose kare mai Nepal se to chhose ki hai


Step3:- ab aapko google ki kuchh terms and privacy ko manna padega aap inke terms and privacy achhi tarha se padhle aur fir i agree ke button par tick karde aur fir next ke button par click kare

Step4:- Next ke button par click karne ke bad aapke samne ek page khulega jisme aapko ek profile picture upload karne ko kahega aap chahe to upload karsakte hai agar aap ke pass koi picture nahi hai to aap usse khali chhod de aur Next step ke button par click kare

Step5:- fir aapke samne ek page khulega jisme likha hoga welcome aur aapka name hoga aur niche aapka email address taiyar hoga fir aap continue to Gmail ke button par click kare


Step6:- Continue to Gmail ke button par click karte hi aapke samne ek aur page khulega jisme aapko Gmail ka inbox dikhega aur gmail ke tarafse kuchh mail aaya hoga aur welcome message bhi matlab aapka gmail account bangaya ab aap Gmail me logged in hai aap Gmail se bahar jane ke liye logout karsakte hai fir jab bhi aap login karna chahe wohi email aur password dalkar login karsakte hai ek bat yad rakhe ki apna password kisiko na de aur apne email aur password ko kahi likha kar rakhle taki usse bhuljane par ham firse dekhsake

To dosto hamne bahut hi aasani se sikhlihai ki gmail par email account kaise banate hai thoda aap bhi help kijiye aap is post ko apne dosto ke sath Facebook par Twitter par google plus par aur aise social media par share kijiye aap sab ke sath mai aise hi new new article lekar isi
 howtohelpinhindi.blogspot.com par aata rahunga aap isse subscribe karle
    
           Thank You

Ye bhi padhe:-

1. Email kya hai?/what is emai? Email ki puri jankari hindi me

2. Facebook reactions or facebook new like features or emojis kya hai

3. Facebook account free me kaise create kare

4. Free me dinosaur offline game chrome browser me kaise khele

Home Par click kare

Home

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

1 comments:

comments
July 29, 2018 at 4:34 AM delete

Plees mera like anblock kar do

Reply
avatar