Gmail me email sender ka profile image kaise remove kare

How to remove email sender image in gmail in hindi





Namaskar dosto aap sabhike mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki gmail me email sender ka profile image kaise remove karte hai. Gmail se related aur bhi aise bahut se post niche catagory me jakar dekh sakte hai.

See More :

∆ Gmail Me Email Newsletter Ko Unsubscribe Kaise kare - Unwanted email roke

∆ Gmail Me Emails Ko Temporarily Ya Permanently Delete Kaise Kare

∆ Microsoft - hotmail ya outlook account ko permanently delete kaise kare

∆ Google or gmail email ka profile name kaise change kare full details hindi me


Email sender profile image kya hai :


Dekhiye ham gmail account banate hai. Gmail account me hame profile picture upload karneka features direct nahi milta hai. Isske liye hamd google plus se hamare Gmail account ko jodna hota hai. Aur fir ham apna ek google plus ka profile bana lete hai. Google plus ke profile par jo ham profile picture upl karte hai wohi hamara gmail ka profile picture hota hai. Agar ham kisiko email send karte hai to hamara wohi profile picture jata hai. Pehle aisa nahi hota tha par gmail ne kuchh sal pehle ye feature available karaya. Iss feature ka fayada kya hai ki hame kisne email send kya hai ham ussko profile picture dekhkar jan sakte hai bina email khole hi. Ye limited tha yani kuchh dino ke liye hi kyunki har kisika profile google plus par nahi tha. Isiliye google ko usske gmail account ka profile name ka pehla letter images ke jagah par dikhana padta tha.


Issiliye ye kuchh dino ke liye limited tha par logoko pasand aane ke wajah se sayad ye feature aajtak available hai. Aaj ham sikhne bale hai ki jab hame koi email send karta hai to hame usska profile picture dikhata hai ham uss profile picture ko remove kaise kar sakte hai.


Email sender ka profile image ko remove kyun kare :

Ye to sabke apne apne reasons hota hai ki wo kyun gmail me email sender ka profile picture hatana chahta hai. Kuchh log kuchh logo ke emails dusre logo se private rakhna chahte hai wo nahi chahte ke unke sender ko koi dekhe. Ya fir koi aur wajah khair wajah jo bhi ho chaliy ham sikhlete hai ki gmail me email sender ka profile picture kaise remove kare. To aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.

See More :

∆ Instagram Account Ko Temporarily Disable Yani Deactivate Kaise Kare

∆ Instagram Account Ko Permanently Delete Yani Band Kaise Kare


Gmail me email sender ka profile picture | images kaise remove kare :



In short :

1. Go to gmail.com
2. Select settings.
3. Tap to general settings.
4. Uncheck sender Image and go back.

In Details :

1. Sabse pehle aap apne Gmail account me logged in karlijiye. Aap yaha se gmail.com par jakar bhi logged in kar sakte hai.

2. Usske badh aap menu bale option par click karna hai ya fir gear settings ke icon par click karna hai.

3. Fir aapko settings ke option par click karna hai.

4. Usske badh aapko general settings par click karna hai.

5. Fir aapko kuchh options dikhega unmese ek Sender Image ka option hoga usske right side me ek check box hoga. Aapko usse uncheck kardena hai.

6. Uncheck karne ke badh save karke aapko back hojaha hai.

Ab aap inbox me jakar refresh karke dekhenge to email sender ka image removed ho chuka rahega.


email sender ka  removed Image firse wapas kaise laye :

Agar aap email sender removed Image ko firse recover karna chahte yani wapis lana chahte hai to aap issko achhi tarha se padhiye aur samjhiye tarika same hi hai. Fir bhi mai aapko bata deraha hu.

1. Sabse pehle gmail account me logged in karlijiye.

2. Usske badh aap settings ke options me jaiye.

3. Waha par aapko kuchh options dikhega jinmese ek general setting ka option hoga aap usspar click kardijiye.

4. Usske badh aapko firse kuchh options dikhega jinmese ek Sender Image ke option hoga. Sender image ke option ke right side me ek unchecked box hoga aapko usse check yani tick kardena hai.

Fir save karke back hokar inbox ko refresh karke dekhenge to sender Image firse aachuka hoga.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

1 comments:

comments
July 21, 2018 at 3:02 AM delete

Very nice informative article about software and related information, its very nice article. thanks for sharing such great article hope keep sharing such kind of article Bulk Mailer Software

Reply
avatar