Instagram Account Ko Permanently Delete Yani Band Kaise Kare

How to permanently delete instagram account in hindi




Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki kaise ham instagram account ko permanently delete karsakte hai. Agle post me maine aapko instagram account ko temporarily  disable kaise karte hai uske bareme bataya tha. Dekhiye instagram account ko aap temporarily disable karte hai to aap uss account ko firse kabhi bhi login kar sakte hai yanj enable karsakte hai. Temporarily Disable me aap ke koi data delete nahi hoga jaise ki photos , videos ,follwers , following , post. Agar aap instagram account ko permanently  delete karte hai to aapke instagram account ke wo sabhi data delete kar hojayega aur fir aap uss account firse activate nahi kar payenge.


Agar aap chahte hai ki aapke instagram account ka koi data delete na ho air account bhi kuchh dino ke liye band hojaye to aap hamara ye post dekhiye instagram account ko temporarily disable yani deactivate kaise kare. Agar aap instagram account ko permanently delete karna chahte hai to hamara iss post ko last tak achhi tarha se dekhiye aur samajhiye.


Instagram account ko permanently delete kyun kare :

Ye to sabke apne apne reasons hote hai ki wo instagram account ko permanently delete kyun karna chahte hai. Par fir bhi maii yaha par aapko kuchh aise common reasons batana raha hu jinke wajah se log instagram account ko hamesa ke liye yani permanently delete karna chahte hai.


> Instagram ka password leak hone ke wajah se :

Kabhi kabhi kya hota hai hamare instagram account ka password leak hojata hai kisi wajah se aur fir hame dar rehta hai ki kahi koi uska galat fayada na uthaye. Isse dar ham apna instagram account ko permanently delete yani close karne ko sochte hai.


> Instagram account hack hojane ke wajah se :

Hamara instagram ka account koi hack karleta hai jinke wajah se ham kafi paresani me aajate hai aur fir ham apna instagram account ko permanently delete yani close karna chahte hai.


> Instagram account bahut se device me logged in hone ke wajah se:

Ji haan kai bar ham apne friends ya relations ya kisi cyber me apna instagram account ko chala lete hai par ham usse log out karna bhul jate hai. Ab kya pata kaun uss account ka galat fayada uthaye aur hame to uss account ko sabhi device me se log out bhi nahi karna aata hai. To aise me ham apne instagram account ko permanently delete yani close karna chahte hai.


> Instagram account me kisi problem aajane ke wajah se :

Kabhi kabhi hamare account me koi problem aajata hai aur ham usse thik nahi kar pate so ham apne instagram account hi permanently delete karne ko sochte hai.


> Multiple accounts hone ke wajah se :

Hamare pass bahute sare instagram ka account hojata hai to hama chahte hai ki kuchh account ko kyun na delete karde.

> Others :

Ab sabke apne apne reasons hote hai chahe reason jo bhi ho chalo ham sikhlete hai ki kaise apne instagram account ko permanently delete yani close karte hai.


Instagram account ko permanently delete yani close kaise kare :



In short :

1. Go to help.instagram.com

2. Click on Managing Your Account.

3. Then click on delete your account.

4. Then click on how do ia delete my account.

5. Click on delete your account page.

6. Login your instagram account.

7. Select the reasons why you want to delete your account.

8. Re-inter your password.

9. Click on permanently delete your account.

10. Then click on OK.



In details :

1. Sabse pehle aap apne instagram account me login karlijiye. Usske badh profile me jaiye.


2. Instagram ke profile me jayenge to edit profile ke side me aapko ek gear settings ka icon dikhega aapko usspar click karna hai.


3. Fir aapko kuchh options dikhega jineme se ek Help Center ka option hoga aapko usspar click karna hai.


4. Usske badh aapko managing your account ke option par click karna hai.


5. Usske badh aapko delete your account ke option par click karna hai.

6. Usske badh aap how do i delete my account ke option par kijiye.

7. Fir go to the delete your account page par click kijiye.

8. Fir aap instagram account ka username aur password dalkar ligged in karlijiye.


9.  Usske badh aap reason select kijiye ki aap apna instagram account ko permanently delete kyun karna chahte hai. Agar aapka reasons nahi dikharaha options me to aap something else select kijiye.


10. Fir password dale. Password dalne ke badh password fir se re - enter kare. Aur fir niche aapko permanently delete my account ka option hoga aap usspar click kardijiye.


11. Fir aapko confirm karne ko bolega ki aap sachme apne instagram account ko permanently delete yani close karna chahte hai to aap OK ke button par click kardijiye.


Ab aap istarha se apne instagram account ko permanently delete yani band kar sakte hai. I hope ki aapko ye post achha laga hoga.


Note : Instagram account ko permanently delete karne se pehle aap photos aur videos ko download karlijiye. Warna aap delete hojane ke badh download nahi kar payenge.

Hamare manme aane bale sabal yani questions

Q? Kya temporarily disabling account aur permanent dele account same hai?

Ans-> Ji nahi temporarily disabled account ko aap firse enable kar sakte hai. Par permanently Deleted account ko nahi. Ye dono ne bahot farak hai.

Q? Agar hamara instagram facebook se connected hai to kya koi problem hoga ?

Ans-> ji nahi aisa kuchh nahi hoga facebook account me. Par haan facebook bale like , commnts jo instagram par aaya tha wo sab delete hojayega.


Niche puchha gaye sabhi sabalon ka jabab maine iss post me dene ki kosis ki hai.

Questions :

Instagram account ko permanently delete kaise kare , instagram account delete kaise karte hai , instagram account ko mobile aur computer se delete kaise kare , instagram account ko deactivate kaise kare , instagram account band kaise kare , instargram account को delete कैसे करे , instagram account ko close kaise kare, how to delete instagram account , how to Remove instagram account , how to deactivate instagram account , how to permanently delete instagram account in hindi , how to close instagram .

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

7 comments

comments
October 3, 2018 at 10:24 PM delete

Bro agar instagram ki id mail se bani hai aur galti se fb se link ho gai ho to link kaise hataye please

Reply
avatar
March 19, 2019 at 11:25 PM delete This comment has been removed by the author.
avatar
January 26, 2020 at 6:39 PM delete This comment has been removed by the author.
avatar
February 3, 2021 at 11:16 AM delete

When your website or blog goes live for the first time, it is exciting. That is until you realize no one but you and your. como conseguir likes instagram

Reply
avatar
October 23, 2021 at 11:07 AM delete

Nice post but for for info about how to delete an instagram account you can visit this blog

Reply
avatar