Gmail Me Email Newsletter Ko Unsubscribe Kaise kare - Unwanted email roke

How to unsubscribe email newsletter on gmail in hindi



Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai aaj hams sikhenge ki kaise ham gmail me email newsletter ko unsubscribe kar sakte hai. Ji haan dosto mane aapke liye gmail se related kafi sare articles available karadi hai maine apne iss blog me. Aap gmail se related post niche catagory me jakar gmail| email folder me dekh sakte hai. Aur aise hi mai aapsabke liye naya naya post lekar aata hi rahunga. Aaj ham sikhenge ki kaise gmail me email newsletter ko unsubscribe karte hai.

Gmail me email newsletter ko unsubscribe kyun kare :

Dekhiye dosto kabhi kabhi kya hota hai ki ham youtube par kafi sare youtube channels ko subscribe karlete jinke wajah se ham unsabhi channels par aane bale videos ki notifications email me aane lagta hai. Ya fir hamara email address thoda popular hota hai to kafi sare log hame mails karne lagte hai aur fir ham unwanted emails dekh dekhar bore hojate hai. Hame irritating feel hone lagta hai. Ab delete bhi kare to kitne emails kare aur bar bar same hi email delete karte karte irritate hojate hai.


Aise me ham sochte ham sochte hai ki kya kare ki ye log hame emails kar paye. To aajka ye post mai aapke liye hi lekar aaya hu. Aapko kya karna hai aapko jis newsletter se email aaraha hai usse unsubscribe kardena hai.

Aap chahe to sabhi emails ko delete bhi karsakte hai temporary aur permanently usske liye aap hamara ye post padhiye.


Gmail me emails ko temporary aur permanently  delete kaise karte hai

Ji haan aap gmail me emails ko temporary ya permanently delete kar sakte hai. Aap issme ek ek karke ya fir sabhiko ek sath bhi karsakte hai. Isske liye aap hamara ye post dekhiye.

∆ Gmail Me Emails Ko Temporarily Ya Permanently Delete Kaise Kare

To chaliye ham janlete hai ki kaise  gmail me email newsletter ko unsubscribe karte hai. To aap post achhi tarha se padhiye aur samajhiye.

Gmail me email newsletter ko unsubscribe kaise kare :


In short :

1. Logged in gmail.


2. Go to in inbox and open emails.

3. Click on unsubscribe newsletter.

4. Confirm unsubscribe
newsletter.

5. Finally click on continue.

In Details :


1. Sabse aap apme gmail account me login karlijiye. Aap gmail.com me jakar bhi login karsakte hai.

2. Usske badh aapko inbox par click karke emails ko open karna hai.


3. Aap email ke side me ya niche dekhenge to aapko ek unsubscribe ka option dikhega aapko usspar click karna hai.


4. Usske badh aapko gmail bolega ki aap sure hai ki iss channel ke newsletter ko aap unsubscribe karna chahte hai. To aapko confirm par click kardena hai.


Ab aapko gmail bolega ki aapko ki aapko uss mailing list ke messages nahi aayega.

5. Ya fir kisi aur case me jab aap unsubscribe par click karenge to gmail aapko sidha apne official website par redirect kardega. Par koi baat nahi waha par aapko puchhega ki aap sure hai ki aap isse unsubscribe karna chahte hai. To aapko continue ka option dikhega usspar click karna hai.


Finally ab aapne uss email newsletter ko unsubscribe kardi hai ab aap free hai uss email newsletter se aapko ab koi Email nahi aayega.


Isstarha sa aap jiss jiss ko chaho Email newsletter letter ko gmail me se unsubscribe karsakte hai. Ummid karta hu ki aapko ye article achha laga hoga. Aap isse share karna na bhule please.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

1 comments:

comments
August 13, 2018 at 5:23 AM delete

It is full of informative stuff thanks for sharing. Keep sharing information like this. Gmail Email address Grabber

Reply
avatar