How to enable desktop pop-up notification on chrome browser
Namaskar dosto aapsabhiko merw howtohelpinhindi.blogspot.com blig me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki Chrome brow e desktop gmail notification kaise enable karte hai. Gmail se related hamare aur bhi bahut se post niche gmail email ke catagory me jakar padh sakte hai.
See More :
∆ Gmail Me Email Newsletter Ko Unsubscribe Kaise kare - Unwanted email roke
∆ Gmail Me Emails Ko Temporarily Ya Permanently Delete Kaise Kare
∆ Gmail me email sender ka profile image kaise remove kare
Dekhiye hamare android phone me kya hota hai ki jab hame koi hamare gmail par email vejta hai to hame ek notification aaja ta hai. Jab ki ham usswakt gmail nahi open nahi kiye hote hai fir bhi hame notification barme gmail ka notification mil jata hai. Par agar desktop par koi kaam kar rahe hote hai aur hame hamare gmail me email send karta hai to hame notification popup par nahi aata hai. Isske liye hame hamara gmail account hi open karna padta hai.
To aaj ham issi ke bareme janenge ki kaise ham Gmail desktop notification ko enable kar sakte hai. Jisse hame koi bhi mail aaye to hame ek pop-up kee roop me notification miljayega.
Chrome browser me Gmail desktop notification ko enable kyun kare :
Dekhiye kabhi kabhi hame koi aisa email aata hai jisse hame urgently dekhna hota hai ya fir kuchh uss email par vejna hota hai. Agar ham usswakt koi movie dekharahe hota hai ya game khel rahe hote hai ya aise kuchh kar rahe hote hai jinke wajah se ham bar baar apna gmail nahi khol pate hai. To aise me kaise pata chalega issliye ham desktop gmail notification ko enable karelete hai to hame gmail open nahi bhi karenge aur agar hame koi email vejta hai to hame ek pop-up ke roop me notification miljayega.
To chaliye ham janlete hai ki kaise Desktop par gmail notification ko enable Karte hai. Isske liye chrome browser me ek extension aata hai to aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.
Chrome browser me desktop gmail notification ko enable kaise kare :
1. Sabse pehle aap apne desktop ke chrome browser ke we store me jakar Gmail Notifier Page Extension ko open kijiye.
2. Gmail Notifier page extension ko open karenge to right side me aapko ek Add To Chrome ka option dikhega aapko usspar click kar ke gmail Notifier extension ko add karlena hai.
3. Usske badh aapko Confirm new extension ka pop-up window aayega to aapko add ke option par click karna hai.
4. Fir aapko extension icon par click karna hai aur fir aapke gmail account se sign in karna hai.
Agar Gmail Notifier ka extension pehle se hi red dikhraha hai aur unread message ka number show kar raha hai isska matlab aap already logged in hai.
Agar aap logged in nahi hai to wo blue color ke icon me dikhega jaise hi aap sign kardenge wo Gmail Notifier ka extension red color me change hojayega. Aur aapko unread message ka numbers dikhayega. Ab aapko koi email karta hai to aapko aapke desktop par ek gmail Notifier ka pop-up aayega. Jisme aapko Email sender Name aur subject dikhega. Ab aapko bar bar gmail open karke email check karke dekhne ki koi jarurat nahi.
Gmail Notifier extension me aapko aur bhi kuchh karne ko milega jaise ki aap direct inbox open karsakte hai. Email ko directly archive aur delete ya mark as read ya spam etc karsakte hai.
To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.
Note : Hamare site par sabhi post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post dekh sakte hai.
3 comments
commentsIt was a really simple Remove a Gmail Account from Chrome. I found all the steps helpful; your simple language and clear instructions are easily practicable. Thanks Beter for your help!
ReplyRemove a Gmail Account from Chrome: Dial +1 888 509 9555 and get instant help for Remove a Gmail Account from Chrome.
ReplyThanks For Sharing With Us.It gave me a lot of Helpful information.Visit here
ReplyRemove a Gmail Account from Chrome or call us our toll free number +1 888 509 9555.