Free me dinosaur offline game chrome browser me kaise khele

Play Offline Game On Chrome

Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai. Aaj ham bat karne ja rahehai Google Chrome browser ki free offline game ke bareme. To aap sabhi ko to pata hi hai ki Google Chrome browser bahut hi popular browser hai. jo ki lagbhag har computer aur smart phone par install hota hai.

Ham log Chrome browser me browse karte hai magar mai aap sab ko bata du ki ham sirf browse hi nahi balki Game vi khel sakte hai. Aap soch rahe honge ham apna khas data barbad karke game khele to ji nahi dosto mai aapko bata du ki isme aapko koi paise nahi kharch karne padenge. Aur nahi data kyuki ye bilkul free hai.

Kabhi kabhi kya hote hai ki jab ham chrome me kuchh browse matlab search kar rahe hote hai  to hamara internet connection kat jate hai matlab disconnect hojatehai. To kavi network problems ke karan se to kavi kisi aur karan se disconnect hojate hai. Aise me ham kitne bored feel karte haina. To uswakt ham kya karte hai game khelte hai ya fir koi kam karte hai ya fir kuchh aur karne ki soch te hai. Par kavi kavi aisa vi hota hai ki hamare phone ya fir computer par koi game install nahi hota hai. To aur boring lagta haina. To dosto ab hamsab ko bore hone ki jarurat nahi kyuki ab google ne Chrome browser me dinosaur ka offline game ka features de rakha hai. To aaiye ham jante hai ki offline game kaise khele pne Chrome browser me. Usse pehle mai ek bat bata du ki ye features mobile me vi available hai.
To chaliye ham aapko step by step samjhate hai ki kaise is features ka fayada uthaya jai.

Step1:- eskeliye aapke mobile ya fir computer par Chrome browser install honichahiye nahi hai to kar li jiye. Aur ekbat ka dhyan de aap apne computer ya fir mobile me internet connected nahi rakhe warna ye game nahi aayeha.

Step2:-ab aap apne chrome browser open kare.


Step3:- Chrome open karne ke badh aap browser me kuchh vi search kare jaise maine ki hai www.howtohelpinhindi.blogspot.com aap upar picture me dekhsakte hai.

Step4:- ab aapke samne ek dinosaur ka icon aayega black colour me aayega aap uspar click kare. Aap upar picture me dekh sakte hai. Maine yellow colour ke arrow me number 1 likhkar denote ki hai.

Step5:- Jab aap dinosaur bale icon pe click karenge to game start hojayega fir dinosaur daudne lagenge matlab run karenge.

Step6:- Is game me aapko bich bich me black colour ka badha vi aayega jo ki ek khamba ya pole jaise hoga. Aap upar picture me dekhsakte hai. Maine red colour ke arrow me number 2 likhkar denonte ki hai. Usme dinosaur ko touch na karne de. Touch na hone dene ke liye aap jab vi dinosaur picture ke number 2 bale icon ke najdik pahuche to aap apne mobile ke screen par touch kare fir dinosaur jump karega. Aur aap upar me apna score vi dekh sakte hai.

To ye thi Chrome ki offline game ki jankari aap game khele achha lagega. Aur ha comment aur share karna mat bhuliye aap sab ke liye mai aise hi naya naya article lekar aata rahunga isi
howtohelpinhindi.blogspot.com par.

Share this

Related Posts

First

1 comments:

comments