IMEI kya hai? Kisi bhi mobile phone ka IMEI number kaise check kare 2 tarike se

What is IMEI ? How to check IMEI Number of your mobile phone in hindi



Namaskar dosto aap sabhiko mere blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki Kisi bhi android phone ka IMEI number aasani se kaise pata kare. Har kisi mobile ka IME number jarur hota hai aap aap java se lekar ios ke phone par bhi IMEI number check kar sakte hai. Aisa nahi hai ki IMEI bade bade phone ka hi hita hai. IMEI number sabhi mobile phone me hotai aur sabhi ka IMEI number farak farak bhi hota hai. 


IMEI ka full name International Mobile Equipment Identity jisse ham hindi me Antarastriya mobile upkaran pahichan kehte hai. Sabhi mobile phone ka IMEI number farak farak hota hai par har phone me ye 15 numbers ka hota hai. Agar aapke mobile phone me ek hi simcard lagta hai to ek hi IMEI number hoga. Agar aapke mobile phone me 2 yani Dual simcard lagta hai to aapke mobile phone ka 2 IMEI number hoga. Agar aapke phone me do IMEI number hai to lagbhag dono same hi hoga sirf last me ek ya do numbers farak hoga.


Apne mobile phone ka IMEI kyun check kare


Dekhiye kabhi kabhi kya hota hai ham koi mobile phone kahi se kharid to lete hai par pata nahi hota ki ye fake hai ya original aise me ham IMEI number ka istemal karke pata karte hai ki ye android phone fake hai ya real yani original. Jab hamara phone chori hojata hai ya fir kahi gum hojata hai to hame khojne me IMEI number ka hi jarurat padta hai. Agar ham apne phone chori ya fir khojane ka police complaint likhayenge to waha par bhi hamse IMEI number jarur mangega.


IMEI number ke jariye ham apne ka location kaunse company ka simcard use hai usska number or owner information aur bhi bahut details pata kar sakte hai.

Kisi bhi mobile phone ka IMEI number kaise check kare



To chaliye ab ham sikh lete hai ki kisi bhi phone ka IMEI number kaise check karte hai puri details ke sath.

1. Sabse pehle aap apne mobile phone ke dialing pad me jaiye aur  USSD code *#06# thichenge to aapka IMEI number dikhega.




2. Ab aapka mobile me dual simcard lagta hai to 2 IMEI number dikhega aur agar single simcard lagta hai to 1 IMEI number dikhega.

Android phone me 2 tarike se IMEI number check kaise kare


IMEI number check karne ka ek tarika to hamne upar sikhli hai. Ab chaliye dusre tarike ke bareme jante hai.

1. Sabse pehle aap apne android phone ke setting me jaiye.

2. Uske badh aap about device/phone me jaiye.



3. Fir aap status ke option par click kijiye fir aap niche dekhenge IMEI likha hoga usske just niche jo number hoga wohi IMEI number hai. Aap upar picture me dekhsakte hai.

To dosto hamne bahut aasani se sikhlihai ki IMEI number kya hai kyun jaruri hai aur IMEI number kaise check kare.












To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega. Ekbar Niche Home par jarur click kijiye aur hamare sare post dekhiye.

                     Thank you

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

2 comments

comments