Paytm account ko permanently delete ya deactivate ya fir block kaise kare

How to delete or deactivate or block paytm account full details in hindi





Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aap sab hame issi tarha apna pyaar dete rahe taki han aapke liye aise aur bhi bahut se article lekar aate rahenge. Hamare site ko subscribe karna na bhule aapko isse subscribe kar lena chahiye taki hamare sabhi post sabse pehle aapke pass pahuchjaye. Kya pata koi aisa post ho jo aapke bahut kaam ka ho. Agar aapka paytm account hai aur kisi bhi wajah se usse delete karna chahte hai aur aap google me kuchh is tarha ka chij search kar rahe jaise ki Paytm account ko permanently delete kaise kare , Paytm account delete karne ka tarika , paytm account ko delete kaise kare. How to delete paytm account , how to delete paytm account full details in hindi , paytm account कैसे डिलेट करे , how to block paytm account etc. Aise hi ham net par search karte hai par aaj aap bilkul sahi jagah aaye hai yaha par aapko bahut kuchh sikhne ko milega. Paytm account ko delete karne ka 2 tarika ham aapko aage chalkar batane bale hai. To aap post ko ac ji huhhi tarha se padhiyega aur samajhiyega. Usse pehle ham paytm ke bareme short me kuchh janlete hai.

SEE MORE :






Paytm kya hai | What is paytm ?

Agar aapko paytm ke bareme kuchh bhi nahi pata hai to aapke manme ye sabal jarur aaya hoga ki paytm kya hai. Paytm ek online wallet hai jisse ham mobile bill , DTH , bijuli ka bill etc aise bahut se chijoka payment ham paytmke help se aasani se kar sakte hai. Paytm pehle to utna jyada popular nahi tha par aajkal paytm ka kagi sare user hai. Agar Aap soch rahe hai ki paytm kis desh ka company hai to mai aapko bata du ki paytm india ka hi company hai. Paytm ke bareme ham kisi dusre post me puri details me janenge. Mai aapko uss post ka link bhi yaha par bahut jald available kara dunga.


Paytm account kaise banaye | How to create paytm account in hindi ?

Agar aapka paytm nahi hai aur aap bhi paytm ka account banana chahte hai to mai aapke liye bahut jald paytm account kaise banate hai usska post available kar dunga. Aapko paytm account kaise create karte usska link issi post me yahi par mil jayega. Paytm account banake ke bareme kisi aur post me details me baat karenge warna ye post kafi lamba hojayega.

Paytm account ko ham use kaise kare | how to use paytm account ?


Agar aapko paytm account use nahi karna aata hai to koi baat nahi ham aapko wo bhi sikha denge ki paytm account kaise use karte hai. Paytm account use karne ka puri jankari hindi me. Par sorry dosto aapko iss post me mai paytm ko use karne ka tarika nahi bata sakte hai kyunki ye post kafi lamba hojayega so aapko isske bareme kisi aur post me puri details ke sath batayenge ki paytm account ko ham kaise use kar sakte hai.

Aaj ham yaha par sikhenge ki paytm account ko permanently delete ya deactivate kaise karte hai aur paytm account ko block kaise karte hai. Dekhiye facebook ki tarha paytm hame hamara account delete karne ka permission to nahi deta hai. Par kuchh aise reasons hote hai jinke wajah se ham apna paytm account ko koi bhi halat me delete karna chahte hai. Aise me paytm hame hamara account delete yani block karne se nahi rokta hai. Aise me ham paytm ko apna reason batakar account ko delete kar sakte hai.

Paytm account ko delete kyun karte hai :

Paytm account ko delete karne ka sabke apne apne reasons hote hai. Par yaha par mai aapko kuchh aise common reasons bata raha hu jinke wajah se log paytm account ko delete karna chahte hai.

-> Mobile phone khojane ke wajah se :

Kai bar kya hota hai ham apne mobile phone se paytm use kar rahe hote hai aur hamara wo mobile phone khojata hai ya fir chori hojata hai. Aise me koi hanare patym account ka galat fayada na uthaye isiliye paytm account delete karna chahte hai.

-> Paytm account hacked honeke wajah se :

Ji haan paytm account se hamara bank account connected hota hai aur hamara paytm account koi hack karleta hai fir hame dar lagne lagta hai ki kahi koi isska galat fayada na uthaye aur apne paytm account ko delete karne ko sochte hai.

-> Paytm ka password bhuljane ya password leak hojane ke wajah se : 

Kai bar ham paytm ka password hi bhul jate hai aur hame usse reset bhi nahi karna aata hai fir ham sochte hai kyun na apna paytm account band hi karle. Ye koi khas reason to nahi hai par kuchh log aisa bhi karte hai. Kabhi kabhi hamare Paytm account ka password kisi wajah se leaked hojata hai aiseme log isska galat fayada na uthaye isske darse.

-> Kabhi kabhi bank se paisa ham Paytm wallet me add karte hai to bank se paisa to kat jate hai par kisi wajah se hamare Paytm wallet me paisa nahi aata hai. Inwajah se bhi ham apna paytm account delete karna chahte hai.

-> Paytm account me koi problem aane ke wajah se :

Kabhi kabhi hamare Paytm account me koi aisa problem aajata hai jisse hame solve karne me kafi paresani hota hai fir ham usse solve bhi nahi kar pate hai aise me ham paytm account ko delete karne ko sochte hai.

-> Paytm account se irritate hone ke wajah se ya fir use karne ka man na hone ke wajah se. Kai bar hame lagta hai ki mai apna paytm account use nahi kar raha hu kafi time se ya fir isska koi kaam bhi nahi hai to bekar me kahi koi isse hack na karle so kyun na ham isse delete karle.

Khair chhodiye sabke apne apne reasons hote hai ki wo kyun apna paytm account delete karna chahte hai to chaliye sikhelete hai ki kaise paytm account ko delete kar sakte hai to aap post ko achhi tarha padhiye aur samajhiye.

Method -1 :-

How to delete or deactivate paytm account :




Hame isske liye paytm ke team ko inform karna hota hai. Paytm ke team ko bolkar ham hamesha ke liye sayad apna paytm account to nahi delete kar sakte hai par haan deactivate jarur kara sakte hai. Kya pata sayad permanently delete bhi karde.

1. Sabse pehle aap apne apne uss email account me login karlijiye jiss email account se aapne paytm ka account banaya tha. Usske badh apne uss email account se paytm ko ek mail vejiye. Apne reasons ke sath yaad rahe reason suitable hona chaahiye taki wo aapke account permanently delete karde.

2. Usske liye sabse pehle aap apne gmail me jaiye aur fir compose ke option par click kijiye. Fir iss instructions ko follow kijiye.

To :
Yaha par To me aap care@paytm.com likhe.

Subject : 
Yahapar aapko apne account se related problem ka ek chhota sa subject banana hai. Yani problem se related tittle likhna hai.

Message : 
Iss message ke khali box me aapko apna wo reasons detail me batana hai jinke wajah se aap apna paytm account delete yani deactivate karna chahte hai. Aap acchi tarha se usse samjha kar message likhiyega.

Send :
Ab aapko sab karlene ke badh send par click kardena hai.
Ab paytm aapko 24 se 48 hour tak me ek mail karega ki aapka account delete huwa ya fir nahi agar nahi huwa to kyun nahi huwa.

Method - 2 :-

How to block paytm account | paytm account block ya delete kaise kare :

1. Sabse pehle aapko apne phone me paytm application ko install karna hai. 
Aap paytm application ko playstore se bhi download kar sakte hai fir niche digayi download link se.


2. Ab apne paytm account se login kijiye. Usske badh aap apne profile me jaiye wahapar aapko help & support ka ek option dikhega aapko usspar click karna hai.

3. Usske badh aapko Resolve an issue? Ke option par click karna hai. 

4. Uske badh aapko my account ke option par click karna hai. 

5. Uskebadh aapko apna issue catagory select karna hai matlab reason ka catagory select karna hai ki aap kyun paytm account ko delete karna chahte hai. Aap I have lost my phone | change my mobile numberbke reason ko select kar sakte hai.

6. Usske badh aapko i need to block my old account ke issue par click karna hai.
7. Fir aapko Message Us ke option par click karna hai. Ab aapko iss instructions ko follow karna hai.

# Issue Description : 
Yaha par aap apne reasons ko puri details ke sath bataiye. Aap apne registered mobile number aur email adress sath sath kuchh jankari bhi details me bataiye ki issme aisa aisa problem hai.

# Upload a picture :
Yaha par aap wo picture upload kardijiye jaha par aapko problem aata hai. Agar aapke pass koi picture nahi to koi baat nahi aap isse khali bhi chhod chhod sakte hai.

# Email ID :
Yaha par aap apna email address daldijiye jisse aapne paytm account ko registered kiya tha.

# Submit :
Fir aap sab karlene ke badh submit par click kardijiye. Ab aapka samasya sambandhit nikay tak chalajayega aur aapke problem ko bahut jald paytm ke team solve karne ki kosis karega.

Note :  Agar aap paytm account delete karlete hai to yaad rahe aap firse usi number par paytm account nahi register kar sakte hai. Hosakta future me paytm ussi number par dubara register karne ka subidha dede par avi ye available nahi hai.

Iss tarike se aap paytm account ko bahut aasani se delete kar sakte hai.


Thanks for visit and don't forget to share and subscribe our blog.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »