Godaddy account ka username aur password bhul jane par reset kaise kare

How to reset or recover forgotten Godaddy account Username or Customer and password in hindi



Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki godaddy account ka username aur password bhul janepar kaise firse reset ya recover yani forgot kar sakte hai. Godaddy world ka hi no.1 domain registration site hai. Duniya bhar me bahute millions website ka domain godaddy se register hai. Sayad aap bhi godaddy se apna domain registration kiya hoga. Agar aapko nahi pata hai ki godaddy kya hai to to chaliye ham thoda aapko ye bata de rahe hai ki godaddy kya hai isska kaam kya hai. Usske badh aapko godaddy ka username aur password bhool jane par reset kaise karte hai wo bataunga.

SEE MORE : 




Godaddy kya hai in short | What is go daddy :


Godaddy duniya ka number 1 domain registration sites me se ek hai. Yaha par millions se bhi jyada domain registration ho chuka hai. Iss site special offer bhi chal rahe hote hai kabhi kabhi aur yaha par thoda saste me bhi domain mil jata hai.

Godaddy kya kaam karta hai :

Godaddy specially domain registration site hai. Par godaddy me aise bahut se features hai jissme ham bahut se chij kar sakte hai jaise ki domain registration, web hosting buy , website build , domain related email etc. Aise bahut se service hame godaddy provide karta hai. Aur godaddy kafi secure site bhi hai jo ki hamare domain ko kafi secured rakhta hai. Godaddy me ek aur bhi ka service hai. Godaddy me aap domain kharidne ke sath sath usse bech bhi sakte hai. Ji haan agar aapka koi popular domain hai aur aap usse bechna chahte hai to aap godaddy me usse hajaro ya lakhon me bech sakte hai. Khair ye to thi short jankari chaliye ab ham jante hai godaddy account ke password reset ke bareme.

Dekhiye dosto aajkal ke jamane me password bhoolna koi badi baat nahi hai. Aajkal ham itne sare sites me Register hote hai ki password to bhoolna aam baat hai. Ham kitne sites ke password ko yaad rakh payenge. Ham kisi sites me Register to karlete hai par kafi dino tak usse use nahi karte hai issiliye jahir si baat hai ham password bhool jate hai. Issitarha ham godaddy ka account banakar ham domain to purchase karlete hai fir kafi dino tak usse use nahi karte hai jinke wajah se ham apne godaddy account ka username aur password bhool jate hai. Par aapko chinta lene ki koi jarurat nahi hai. Aaj mai aapke liye hi ye post lekar aaya hu. Aajke isspost me mai aapko godaddy account ka user name aur password bhul jane par usse firse kaise reset aur recover karta hai ussi ke bareme batane bala hu.

To chaliye ham sikhelete hai ki godaddy account ka username aur password bhool jane par kaise reset ya recover yani forgot password karte hai. To aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.

Godaddy account ka username aur password bhool jane par kaise reset ya recover kare :


1. Sabse pehle aapko apne browser me godaddy ke sites ko open karna hai.

Agar aap india me hai to aap in.godaddy.com dalkar godaddy ke site ko open kar sakte hai. Ya fir aap sidha godaddy.com kholkar bhi godaddy ke official site par ja sakte hai.

2. Godaddy ke site open karne ke badh aap upar right side me dekhenge to aapko ek sign in ka option dikhega aapko usspar click karna hai.

3. Usske badh aapko registered user ka ek aur option dikhega jissme aapko dubara se sign in ke option par click karna hai.

4. Usske badh aapke samne ek my account ka page open hoga jissme aapko kuchh iss tarha ka option dikhega.

◆ Username or Customer ID
◆ Password

Chaliye username or Customer ID aur password ke bareme thoda aur details me jante hai. Yaha par mai aapko bata raha hu ki godaddy ka username name bhool jane par reset kaise karte hai. Usske badh password ke bareme bhi bataunga.

Godaddy account ka username or Customer ID bhool jane par reset kaise kare :


- Aapko step 1 se lekar 4 tak same follow karna hai.

Usske badh aap username or Customer id ke side me dekhenge to aapko ek i forgot ka option dikhega aapko uss i forgot ke option par click karna hai.

- fir aapko kuchh istarha ka chij fill karne ko bolega.

# Domain name on File :
Yaha par aapne jo domain name godaddy se register ki thi wo domain dalna hai.

# Email Address on file :

Yaha par aapko apna email address dalna jo aapne godaddy ka account registered karte wakt dala tha.

# Security challenge :

Yaha par aapko verify karna hai ki aap robot nahi hai. Isske liye aapko i'm not a robot ke box me tick yani check kardena hai. Ya fir aapse captcha code dalne ko bolega to aap wahi pe captcha code likha hoga dekhkar sahi se daldijiyega.

# Submit :

Sab sahi se hojane ke badh aapko Submit ke button par click kardena hai.

- Ab aapke email me ek mail aayega jissme aapka username or Customer id likha hoga. Hosakta hai aapko new username dalne ke liye bhi bol sakta hai.

To chaliye ab ham janlete hai ki godaddy account ka password bhul jane par reset yani recover kaise karte hai.

Godaddy account ka password bhool jane par reset ya recover kaise kare :


5. Aapko upar ka hi step 1 se step 4 tak follow karna hai. Aapko issme bhi same wohi process karna hai chaliye fir bhi aapko batade rahe hai.

Usske badh aapko password ke samne ek I forgot ka option dikhega aapko uss i forgot bale option par click karna hai.

6. Fir aapke samne pehle ke jaisa hi kuchh isstarha ka option aajayega.

# Username or Customer :

Yaha par aapko apna username ya fir customer number dalna hai.

# Email Address on file :

Yaha par aapko apna email address dalna jo aapne godaddy ka account registered karte wakt dala tha.

# Security challenge :

Yaha par aapko verify karna hai ki aap robot nahi hai. Isske liye aapko i'm not a robot ke box me tick yani check kardena hai. Ya fir aapse captcha code dalne ko bolega to aap wahi pe captcha code likha hoga dekhkar sahi se daldijiyega.

# Submit :

Sab sahi se hojane ke badh aapko Submit ke button par click kardena hai.

Ab aapke email address me godaddy ke team se ek mail aayega jissme aapko password reset karne ka option dikhega.

7. Aap apna email kholenge to aapko reset your password ka option dikhega aapko usspar click karna hai.

8. Usske badh aapko Username ya fir customer id dalna hai fir aapko ek new yani naya password dalna hai.

Yaad rahe password secured dale kuchh letter aur kuchh numeric word milakar. Jitna ho sake utna secured password dale taki koi guess na kar paye. Fir aap uss password ko kahi par likh lijiye taki aap password bhool jane par firse usse dekh sake.

9. Usske badh aapko continue ke button par click karna hai.

Ab aapko Reset Your password ka ek page dikhega jissme likha hoga your password has been successfully updated.
To aapko usske niche ek sign in ka option dikhega aapko usspar click karke apna godaddy ka username aur password dalkar sign in karlena hai jaise ki aap pehle karte the.

Isstarha se aap kabhi bhi apne godaddy account ka username or Customer ID ya fir password bhul jate hai to firse reset yani recover karsakte hai. To dosto aapse request karta hu ki hamare blog ko subscribe karna na bhule taki sabhi post sabse pehle aaptak pahuche. Aur share jarur kijiye.


Thank you for visiting-
HOWTOHELPINHINDI.BLOGSPOT.COM

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

3 comments

comments
May 5, 2018 at 2:25 AM delete

Hello sir my also TOP RANK INDIAN WEBSITE - TOP.HOWFN.COM IN BLOGGER sir i wanted your blogger theme name please reply must

its very urgent

Reply
avatar
June 1, 2018 at 4:08 AM delete

This information you provided in the blog that is really unique I love it!! Thanks for sharing such a great blog Keep posting..
how to fix GoDaddy emails going to the spam

Reply
avatar
May 3, 2020 at 6:07 PM delete

Is tarh karne se dubara domain nhi dikhta hai vhadu mat bna
Jab domain hi na dikhe to rest karke ka fayda

Reply
avatar