Tik Tok video me slow motion Ya reverse effect kaise dale - android | iPhone se


Tik Tok Slow motion video: Namaskar Dosto aap Sabhi Ko Mere Hotohelpinhindi.blogspot.com  blog Mein Swagat hai. aaj ham sikhenge ki Android mobile me tik tok par kaise slow motion video banate hai.

Tik Tok video me slow motion Ya reverse effect kaise dale - android | iPhone se

Tik Tok se related maine aage bhi kai post likha hai. Aap niche digayai link par click karke hamara wo bhi post padh sakte hai. Aajkal to sabhi tik tok pe video dal raha hai. Apna apna ek achhe se acting karke tik tok pe video ko upload kar raha hai.

Par aapne dekha hoga ki tik tok pe kafi kafi achhe se achhe videos dekhne ko mil jata hai jin me se aajkal slow motion videos bhi kafi popular hai. Log achhe se achhe slow motion video dalkar upload kar rahe hai.

Kuchh log to videoe me aisa slow motion effect dalta hai ki lagta hai koi professional video hai. Jaise ki filmo me hote hai.

Agar aap bhi tik tok use karte hai aur aap apne video me slow motion effect dalna chahte aur aapke pass ek android phone hai. To aap slow motion video easily bana sakte hai. Halaki ye trick dono me kaam karta hai chahe wo android ho ya fir iPhone.

Ye video slow motion bala feature tik tok ne hi provide ki hai so aap android phone se tik tok pe video bana rahe hai ya fir iPhone se to bhi iss slow motion bale effects ko use kar sakte hai.

Reverse video on tik tok:
                Yaha par mai aapko reverse video ke bareme bhi batane bala hu. Slow motion ke sath sath reverse video bhi kafi popular ho raha hai aapne to dekha hi hoga.

Agar aapko reverse video nahi pata hai to mai aapko bata du ki reverse video ka matalab hota hai ki agar aap aage badh rahe hai. Ya fir aap bike se aage ja rahe hai air aapko wohi scene pichhe ki taraf dikhayega. Matlab aap bike ko pichhe chala rahe hai. Ya fir aap pichhe ja rahe hai. Issiko kehte hai reverse video.

Aapne tik tok ya fir youtube par dekhe honge kafi sare reverse video dale hote hai. Jo kuchh kafi achha hota hai. Waise hi aap bhi slow motion aur reverse bale video bana skate hai.
Ye reverse ka bhi feature tik tok ne hi provide ki hai so aap iss reverse feature ko bhi apne android Mobile me ya fir iPhone me bhi use kar sakte hai.

Slow motion aur Reverse feature ko video me karte time ye chij yaad rakhe:




Agar aap apne video me slow motion ya fir reverse effects dal rahe hai video ko achhe banane ke liye, to aap uss slow motion aur reverse ke effect ko jyada use na kare. Warna aapka video kharab hojayega. Bas aap iss slow motion aur reverse ke effect ko sahi jagah par sahi se use kare. Har jagah par isska istemaal karenge to aapka video jyada achha nahi lagega.

Kuchh log alag se bhi video ko kisi achhe video editor software se edit karke slow motion aur reverse ka effect dalta hai video me aur fir wo uss video ko tik tok par upload kar sakte hai. Aap bhi aisa kar sakte hai. Par yaha par mai aaj sirf tik tok ke feature ke bareme baat karne bale hai.

To chaliye ham sikh lete hai ki kaise ham tik tok video me slow motion effect or reverse effect dal sakte hai. To aap post ko achhe padhiye aur samajhiye.

Android mobile ya iPhone me tik tok video me slow motion ya reverse effect kaise dale:




> Sabse pehle aap tik tok musically application ko open kar lijiye. Aur ussme sign in kar lijiye.

> Usske badh aap create video par click kijiye.
• Agar aapko nahi pata hai ki tik tok ko kaise use karte hai to aap hamara ye post padhiye.


> Jaise hi aap video ko record karlete hai tik tok me to video finish karne se pehle niche aapko Next button ke Left side ek timer ka icon or option dikhega.

> Aapko uss timer ke option par click karna hai.

> Usske badh aapko ek time effect ka option dikhega. Aapko uss time effects ke option par click karna hai.

> Fir aapko apne video me pehle cursor ko set karna hai ki aap kaha se apne video ko slow motion effect dena chahte hai.

> Video set karne ke badh agar aap slow motion dena chahte hai to slow motion bale option par click kijiye. Agar aap Reverse effect dena chahte hai to aap reverse ke option par click kijiye.

> Waha par ab aap apne hisab se time duration set kar sakte hai ki aap kitne time tak kitna fast rakhna chahte hai aur kitne time tak kitna slow.

Aap achhe se duration milate rahiye jab aapko lagega ki joagaya fir next ke ya fir save button par click karke video ko save aur finish kardijiye.

To aap iss tarha se apne android mobile se tik tok video me slow motion effect ya fir reverse effect dal sakte hai.

Thank you for visit howtohelpinhindi.blogspot.com visit again.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

1 comments:

comments
September 4, 2021 at 1:50 AM delete

Very well written about Tik Tok video. If you want videos of Tik Tok video app, please download vidmate.In Vidmate video downloader app you will get more than 200 channels to stream live TV channels. Vidmate This app is available for free to its users, so you will not have to pay anything. You will get a search box in this app to watch the video of your choice, with the help of that you will be able to find the video of your choice very quickly and you can watch or download unlimited videos as long as you want. You can also download Tik Tok video app and Vidmate from 9apps

Reply
avatar