Normal aur smart led tv ko mobile phone se kaise connect kare - 3 tarika

Namaskar dosto aap sabhiko mere iss howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai aaj ham sikhenge ki kaise ham Android mobile phone ko apne tv se connect kar sakte hai. I mean kaise ham apne apne mobile phone ke screen ko tv me cast kar sakte hai.



Iss article me ham 2 tatike dekhenge apne Android mobile phone ko Tv se connect kaise karte hai.

1. First method: Smart Led Tv ko kaise android mobile phone se connect karte hai bina wire ke.

2. Second method: Normal Led Tv ko kaise ham apne android mobile phone se connect kar sakte hai.


Aapne kisi party function kisi shaadi vivah ya fir kisi ke gharme jarur dekha hoga log apne mobile ke screen apne tv me cast kar rahe hote hai.

Yani simple language me bole to jo bhi ham apne android mobile phone me chalayenge jo bhi photos, videos wagera apne phone me dekhenge ya fir kuchh bhi apne mobile phone me karenge wo hamare tv me dekhai denge Bilkul waise hi.

To chaliye ham jan lete hai ki kaise tv ko apne smart phone se connect kar sakte hai. Sabse pehle ham smart led tv ko android mobile phone se connect karne ke bareme aapko sikhayenge uske badh normal led tv ko kaise android phone se connect karte hai uske bareme sikhayenge. To aap post ko achhe se padhiye aur samajhiye.

Method 1:

How to connect Android mobile phone to smart led tv


Step1. Sabse pehle aap apne smart led tv ko on kare.

Step2. Apne television me settings option ko open kare.

Normal led tv ko Android mobile phone se kaise connect kare | How to connect android phone with LED TV


Step3. Waha par aapko ek wireless display ka ek option dikhega aap usspar tv remote ke ok button se open kar lena hai.

   • Agar aapke tv me wireless display ya connect jaisa koi option nahi hai yo aapka tv ek normal led tv hai usske liye aap aage padhe aage maine normal tv ke liye bhi bata rakha hai.

Step4. Usske badh aap aap wireless display ke On bale button par Ok press karke on karlena hai.

Normal led tv ko Android mobile phone se kaise connect kare | How to connect android phone with LED TV


Step5. Usske badh aapko apne android mobile phone ke notification me jana hai, waha par aapko ek Cast ka option dikhega ya fir wireless display ya fir connect ka aapko uss par click karna hai.

   • Agar waha par aapko aisa kuchh option nahi dikhe to aap apne mobile phone ke settings me jaye fir wireless settings me jaye aur waha lar khoje ki aapko aisa kuchh options dekhne ko milta hai ya nahi.

  • Agar aapke phone me Cast, wireless display, ya fir connect jaisa option nahi dekhne ko mil raha hai to aapke phone me sayad ye feature nahi hoga screen cast karne ka, aap ek bar playstore se mira cast ko download karke try kare.



Step6. Usske badh aapko apne phone ke uss cast ya fir wireless display ke option par click karna hai.

Normal led tv ko Android mobile phone se kaise connect kare | How to connect android phone with LED TV


Step7. Fir setting ka option aayega uss par click karna hai uske badh wifi hotspot jaisa khulega.

Normal led tv ko Android mobile phone se kaise connect kare | How to connect android phone with LED TV


Step8. Waha par aapko apne tv ka naam dekhkar uspar click karna hai.

Normal led tv ko Android mobile phone se kaise connect kare | How to connect android phone with LED TV


Usske badh aapke Television yani tv me ek text dekhne ko milega Ready to connect aur fir automatically aapke tv android phone se connect hojayega.

Ab aap kuchh bhi display kar sakte apne tv me. Mere kehne ka matlab hai ki aap jo bhi apne mobile phone me chalayenge wo sab aapke tv me bhi dikhega. Aap apne android phone ko wifi se bhi connect karke chala sakte hai. Aap apne android phone se youtube facebook bhi apne tv me chala sakte hai.

Note: Isske kuchh wifi range hote hai jaise hi aap range se jyada dur jane lagenge aapke video ruk ruk kar chalne lagega ya fir range se puri tarha se bajar chale jane ke badh screen cast hona band hojayega.

To chaliye ab ham jan lete hai ki kaise ham Normal LED Tv ko android mobile phone se connect karke screen cast kar sakte hai aur youtube  tv me chala sakte hai ya fir kuchh apne mbl ke screen ko tv me display kar sakte hai.

Normal TV ko bhi android mobile phone se connect karne ka 2 tarika mai yaha par aap sabke bataunga. Pehla Wifi dongal jaise ki AnyCast , Chromecast se connect karke aur dusra cable wire ke jariye. To aap post ko achhe se padhiye aur samajhiye.

Method 2:

How to connect normal tv to Android mobile phone


Normal Tv ko android mobile phone se kaise connect kare aur youtube chalaye.

First way (i):

Sabse pehle aapko ek wireless wifi Display dongal kharidna hai. Aap kisi shop se le sakte hai ya fir Amazon, flipkart se bhi kharid sakte hai.

Aap Wireless Display Dongal Anycast ka le kyuki jyadatar log anycast hi use kar raha hai. Aap chahe to Chromecast ya koi aur bhi le sakte hai par anycast thoda easily mil jata hai.

About Anycast: To chaliye ham kuchh baten anycast ke bareme jan lete hai. Anycast ke font par uska logo or Naam Anycast likha hua rehta hai.

Normal led tv ko Android mobile phone se kaise connect kare | How to connect android phone with LED TV


Uske pichhe bale hisse ke upar ek indicator light hota hai jisse ye pata chalta hai ki Anycast me light aa raha hai. Uske aage bale hisse me ek HDMI port hota hai.


Aur pichhe ke hisse me ek switch hota hai jisse ham mode ko change karte hai. Agar aapke mobile me anycast ka simbol nahi aaraha hai to iss switch ke madat se aap lasakte hai.

Anycast ke niche pichhle hisse me ek micro usb dia gaya hota hai jisse ham anycast ko power dete hai.

Aap anycast jab kharidenge to aapko ek wire bhi dega Anycast ke sath sath usme multiple wire connected rahega.

Uss anycast ke wire me ek micro USB port hoga aur ek wifi ka hoga aur ek hog USB jisse hame charger me lagakar uss wifi dongal me power dena hai.

To chaliye ham jante hai ki kaise ham use karte sakte hai anycast ko.

Step1. Sabse pehle aap uss anycast bale USB cable ko apne Charger se connect karke electricity se connect kare.

Agar aapke TV me USB port diya gaya hai to aap charger me na lagakar Aap direct Apne LED TV ke USB port me laga sakte hai.

Step2: micro USB cable ko Anycast ke pichhle bale hisse me connect kare taki anycast me power aayege.

Jaise hi anycast me power aayega ussme jo indicator light hai wo on hojayega aur jalne lagega.

Step3: Ab aapko uss Anycast bale wifi Dongal ko apne TV ke HDMI port me insert karna hai matlab lagana hai.

Kuchh LED TV me 2 HDMI port dia huwa rehta hai to aap kisi ek HDMI port me uss Wifi dongal ko lagade.

Wo jo wifi bale ek wire tha wo aise hi latakta rahega usse kuchh nahi karna hai. Aap usse aise hi latakte regne de. Isi wifi cable jariye hamara mobile LED TV se connect hoga.

Step4: Itna sab karne ke badh aap apne LED TV ka power on kare fir Apne LED TV ka remote le ussme aapko ek Source ke button dikhega.

Aap uss remote me gaur se dekhenge to aapko kahi par ek sources ka button jarur dikhega. Aapko uss source bale button ko press karna hai matlab dabana hai.

Step5: Jaise hi aap uss source bale button ko press karenge aapke samne ek source list khulkar aapke tv me aajayega jissme kafi sare options hoga. To aapko HDMI ke option dekhkar uss par OK dabana hai apne remote ke madat se.

HDMI pe click karne ke badh aapke LED TV ka screen change hojayega aur wifi bale screen aajayega aapke LED TV par. Jissme likha hoga Waiting for connection...

Step6. Ab aapko apne mobile phone ke settings me jana hai. Usske badh wireless display setting me jana hai.

Agar aapko Wireless Display ka option na dikhe to aap apne mobile settings me pehle jaye fir more me jaye ya fir wireless settings me jaye waha par aapko wireless Display ya fir ek connect ka option dikhega. Kuchh phones me wireless display ki jagah connect ka option hota hai.

Aap wireless display ya fir connect ke option ko apne phone ke status bar me bhi khoj sakte hai apne phone ke screen ko upar se niche slide karke.

Agar aapke phone me koi Wireless Display ya fir connect jaisa koi option nahi dikha raha hai to aap Mira cast application ka istemal karsakte hai. Aap mira cast app ko google playstore se download kar sakte hai. Agar koi application bhi support nahi kara raha hai to aapke phone me ye nahi hoga aap koi dusra phone use kar sakte hai jissme screen display ka support ho.


Step7. Jaise hi aap apne mobile phone me wireless Display par click karenge, aapke phone ka wireless display On hojayega aur aapke wifi dongal i mean anycast ka naam aajayega.

Wohi same naam aapke TV ke screen par bhi likha hoga to aapko uss wifi dongal ke naam par click karna hai.

Jaise hi aap wifi dongal ke naam par click karenge to aapka phone aapke LED TV se connect honelagega aur aapke TV me bhi Obtaining ip address.... Likhar aane lagega fir aapko kuchh nahi karna hai wo apne aap connect hojayega.



Note: Kuchh mobile phone me wifi on karne ki jarurat nahi hota hai wo automatically connect hojata hai, to kuchh pbone me wifi on karna hota hai.

Ab aap iss tarha se apne mobile phone ke screen ko TV pe display kar payenge.
Ek aur tarika hai apne mobile phone ko normal tv se connect karneka bina wifi dongal i mean bina anycast ke. Aap bina anycast ke bhi apne mobile phone ke screen ko apne normal LED TV se connect kar payenge. To chaliye jante hai kaise.

Way (ii):


Share this

Related Posts

Previous
Next Post »