Microsoft xbox account ke password bhul jane par reset ya recover kaise kare

Namaskar dosto aap sabhiko mere iss howtohlepinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki kaise Microsoft Xbox account ka password change karte hai. Agar aapke pc ya laptop hai to aapke pass Microsoft ke xbox ka account to jarur hoga. Kuchh mobile users ke bhi pass Microsoft ka account hota hai.

Kabhi kabhi kya hota hai kaibar hamlog kisi account ko jyada din tak use nahi karte hai. Aur jyada use me na aane ke wajah se ham apne usa account ka password bhul jate, kabhi kabhi to ham email bhi bhool jate hai.

Aise me kisi din hame jarurat padta hai ussi Microsoft ya xbox ke account ki fir ham chahte hai ki kaise uss account fir se login kar paye.

Aaj ham yahi sikhne bale hai ki agar aap apne Microsoft xbox account ke email password bhul gaye hai to kaise usse recover karenge. Ya fir aap password bhul gaye hai to kaise xbox account ke password reset karenge.

To chaliye ham jante hai kaise ham apne Microsoft xbox account ke password reset karke apne Microsoft xbox account ko recovery kare.

Microsoft xbox account ko recover kaise kare:


Yaha par mai aapko 3 tarike bataunga ek Microsoft xbox account ka password bhul jane par kaise usse reset kare. Aur dusra Microsoft xbox account ka email aur password dono bhul jane par kaise recover kare.

Method 1:

First Method 2:

Microsoft Xbox account ke password bhul jane par reset ya recover kaise kare


Agar aap xbox , outlook.com, hotmail, skype onedrive in mese kisike bhi password bhul gaye to aapko Microsoft ke account ke password ko reset karna hoga. Aap mobile aur computer dono mein Microsoft Xbox account ke password ko reset ya recover karpayenge, bass aap niche digayi kuchh steps ko aap achhe se padhiye aur samajhiye.

Step1. Sabse pehle aap apne mobile ya fir computer ke browser open kare, aap koi bhi achhe browser use kar sakte hai par ho sake to google chrome hi use kare.

Step2. Apne browser ke web address me  account.live.com type karke Microsoft xbox ke site ko open kare. Ya fir iss link https://account.live.com  ko copy karke apne browser ke web address me paste kare.

Step3. Ab Microsoft ke official site khulega, waha par aapko upar right side me ek sign in ka option dikhega, aapko usspar click karna hai. Ya fir jaise bhi karke aapko Microsoft ke official website ke login page par ya fir reset microsoft account ke page par jana hai.

Step4. Ab aap apne Microsoft ya fir xbox account ka email address dale sign in page me.

Step>. Fir next ke button par click kare.



Step5. Ab aapke samne enter password ka page khulega aur aapko apne uss email bale microsoft ya fir xbox account ke password dalna hai. Agar aap password bhul gaye hai to niche aapko ek Forgot my password ka option dikhega aapko usspar click karna hai.

Microsoft xbox account ke password bhul jane par reset ya recover kaise kare


Step6. Ab Microsoft aapko ek question puchhega why can't you sign in ? matlab aap kyun nahi sign in kar pa rahe hai kya reason yani karan hai sign in kar pane ka. Waha par kuchh reasons rahega aapko usse tick karna hai.



Reasons kuchh isstarha ka rahega,

I forgot my password
I know my password but, can't sign in
I think someone else is using my Microsoft account.

   • To aapko upar bale i forgot my password ke option ko tick yani select karna hai. Usske badh aapko next ke button par click karna hai.


Microsoft xbox account ke password bhul jane par reset ya recover kaise kare


Step7. Ab ek recover your account ka page khulega jissme aapko captcha code verify karne ko bolega, wo verify karega ki aap robot hai ya fir insan.



  • To aapko wahapar captcha code dikhaya jayega, agar aapko captcha code samajh me na aaye to aap  new par click karke nate captcha code dekh sakte hai ya fir Audio par click karke uss captcha code ko sun bhi sakte hai.

   • captcha code sahi se varne ke badh aap firse next ke button par click kare.

Step8. Ab aapke samne ek we need verify your identity ka page khulega. Jissme aapko bataya jayega ki aap verification code apne email me lena chahte hai fir phone number par.

Agar aap Microsoft account ko email ke jariye recover karna chahte hai to email ke option ko select kare.

  • Aap email ke option ko select karenge to aapke uss purane bale email me microsoft ek verification code vejega jisske aapne recovery account ke liye diya tha. Jisse aapko verify karna hai.

Agar aap mobile number ke through microsoft verification code lena chahenge to aapke mobile number par Microsoft ek 5,6 digit ka verification code vejega. Aapko usse bhi verify karna hai.

Wahapar niche aapko ek option dikhega i don't have any of these. Agar apne Microsoft xbox account ke email aur password dono bhul gaye hai to iss option ko select kare. Iss option ke bareme ham aage second method me baat karenge.

To yaha par mai aapko phone number ke jariye xbox account ko recover karne ke bareme bolunga.

Step9. Aap phone number bale option select kare identity verification me. Aur fir next par click kare.

Step10. Ab aapke number par ek 5,6 digit ka verification code bale message aayega Microsoft ke taraf se. Aapko usse enter karna hai.

Microsoft xbox account ke password bhul jane par reset ya recover kaise kare


Step11. Ab reset your Microsoft account password ka page khulega to aapko new password enter karne ko bolega.

   • To aap ek achhe se password chunkar dale, yaad rahe password aise rakhe jisse log guess na kar paye aur aapko yaad rakhne me bhi kafi help mile.

   • Ab firse wohi same password dalkar verify kare jo aapne upar dala tha.

  • Ab next ke button oar click kare.

Ab aapke Microsoft Xbox account ka password reset hogaya hai. Uss email aur password ko Xbox live, Microsoft account, skype, onedrive jaise Microsoft ke sabhi services me login kar payenge. Aap password ko dubara se na bhulne ke liye uss email aur password ko kisi note pad ya khate me likhle.

Method 3:

Bina email aur password ke Microsoft xbox account kaise recover kare:


How to reset or recover Microsoft password without email and password


Ye method bhi upar ki hi method ki tarha hai lagbhag. Issme method 2 ke steps 8 tak same hai to aap pehle upar ke step 8 tak follow fir iss method ko dekhe.

Step9. Ab aap i don't have any of these bale option ko  select kare identity verification me. Aur fir next par click kare.


Step10. Ab aapke samne recover your Microsoft account ka page khulega, jissme aapko apna contact E-mail address dalne ko bolega.


Microsoft xbox account ke password bhul jane par reset ya recover kaise kare


    • yani wo email address jissme aapko microsoft contact karega aur aap abhi uss email address ko use kar rahe hai. Wo purane bale email address nahi dalna hai jisse aap apne Microsoft account ko verify karna chahte hai. Wo email dalna hai jissme aapka verification code aaye ya ya fir Microsoft aapko contact wagera kare.

Step11. Contact email address dalne ke badh aap next par click kare.


Step12. Ab aapko contact email ke through verify karne ke liye ek code vejega aapke contact email pe to aapko uss code ko apne verify email se dekhkar dalna hai. Usske badh fir verify par click kare.



Step13. Ab ek form khulega jisske aapko same pehle ki tarha varna hai jo ki aapne pehle vara tha account create karte time.

   • Yaad rahe koi bhi letter ya spelling galat ya missing nahi hona chahiye kyun ki Microsoft uss information ko aapke pehle ke account se match karega aur jyada information match na karne par aapka Microsoft xbox account recover nahi hoga.

Microsoft xbox account ke password bhul jane par reset ya recover kaise kare


Form kuchh istarha ka hoga,

First name: yaha oar aapko apna wohi first name same dalna hai jo ki aapne apne purane bale Microsoft account me rakha tha.

Last name: Yaha par bhi aapko apna wohi last name same samw dalna hai.

Birth Date:
Yaha par aapko apna date of birth dalna hai jo ki aapne apne uss purane bale Microsoft account me diya tha.

Country/ region: Yahapar aapke apne country ya region ka name dalna jo aapne pehle bale account me diya tha.

State: Yaha par wohi purane bale state dena hai jo aapne apne Microsoft ke account me diya tha.


Zip Code: yaha oar zip code dena hai.

  • Yaad rahe sabhi information pehle jo aapne di hai Microsoft account me ussi ki tarha same hona chahiye.

   • Agar aap kuchh kuchh nahi bhi guess kar payenge aue jyada tar aahi answer denge to Microsoft samajh jayega ye issi banda ka account hai aur fir aapka account recovery karne ka allow kar dega aapke liye.

Step13. Form filluo ya Questions ke answer karne ke badh aapko next par click karna hai.

    • Agar aap sabhi jabab sahi se dedenge to aapko apne account ke liye upar ku tarha naye password dalne ko bolega aur fir aapka Microsoft Xbox account recover hojayega wo bhi bina email or phone number ke.

To iss tarika se aap Microsoft account ko without email aur phone number ke recover kar sakte hai.

Agar aapko iss post se thida sa bhi help huwa ho to please isse facebook aur whatsapp wagera pe apne dosto ke sath share karna na bhule.

See more:


Normal aur smart led tv ko mobile phone se kaise connect kare - 3 tarika

Chrome browser aur Youtube ki search history kaise delete kare



Thanks for visit howtohelpinhindi.blogspot.com isitarha ham aapke kiye naye nayw articles lekar aate rahenge aap hamare blog ko visit karte rahiye.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »