Part - 2 padhneka aur padhahuwa 100% yaad rakhne ka top 10 remembering methods

How to do study ? How to remember 100% what we learn Top 10 methods in hindi part -2



Namaskaar dosto aap sabhiko mere blog howtohelpinhindi.blogspot.com me ekbar firse swagat hai. Aaj  ham padhai karneka tarika aur padhahuwa 100% yaad rakhne ka un sabhi 5 tariko ke bareme janenge jo agle din nahi bata paya tha. Agar aapne hamare agle post nahi padhe hai to ekbar jarur padhlijiye. Kyu ki kyuki isska aadha part usime hai. Niche digayi link par click karke. 




To chaliye ham jan te hai part 2 ke bareme. Agar aap mobile se padhrahe hai to aap thoda jyada niche dekhenge ek view web version ka option hoga aap usspe click karke computer version me padhsakte hai. Hosake to aap web version me padhne ki kosis kijiye aapko sabhi chij show hoga aur tags yani catagory bhi dekhega. Fir aap catagory yani folder ko open karke aur bhi apne pasand ka post padhsakte hai.

Padhne ka tarika ya padha huwa 100% yaad rakhne ka tarika part - 2



6. Break between study sessions :-


Kai bar ham ghanto to padhte hai par uss padhai ka koi labh nahi hota hai. Matlab koi output nahi aata hai. Ham padhne ke liye to 3-4 ghante continue padhte hai par importance ye hai ki ham sikhe kitne hai. Ek research ke anusar hamara mind 50-52 minutes tak concentrate hota hai. Uss ke badh concentration kam hojata hai. So aap padhte hai to 40 ya 50 minutes ke bich me ek chhota sa 5-10 minutes ka break jarur lelijiye. Aur break ke time bhi hosake to mobile se dur hi rahe. Break ke time kya kare isske bareme bhi ham kisi post me details me batayenge.

7. Freshing or meditation break :-


Agar aap break le rahe hai to mobile se jitna hosake dur hi rahe. Aur Agar aap mobile use kar bhi lete hai to social medai jaise ki facebook,twitter,whatsapp aur instagram se dur hi rahe. Kyuki thoda thoda karke insab me bahut time waste hota hai. So aap iss break ke time me meditation kijiye ya fir fresh hokar padhne baithiye. Par yaad rahe break bahut jayada samay ka nale. 10 minute ka break thik rahega.

8. Revision note :-


Aap padhte samay important aur difficult question ya topic ka summary banaye. Hosake to important topic me highlight kardijiye isse revision ke time aapko kafi help milega. Kam samay me jyada revision karpayenge. Aap chahe to apne phone me bhi important topic ka photo lekar kabhi bhi dekhsakte aur usse samajh sakte hai. Mobile ka upyog kijiye durupyog nahi.


9. Revision at the end of the day :-


Ye ek student ke liye bhut hi important chij hai. Aap kitne bhi kyun na padhlijiye agar aap usse revision nahi karenge to aap usse bahut jald bhul jayenenge. So agar aap din ke 14 ghante padhte hai to unme se 2 ghante chhodkar 12 ghante padhiye. Ye jo 2 ghanta bachta hai isse aap revision ke liye chhod dijiye. Aap dinke end me aapne un 12 ghanto me jitne padhe haii unsabhi ko in 2 hour me revision kijiye. 

Agar aap dinke end me revision karenge to aap bahut jald hi usse samajh jayenge kyuki wo topic aapne ussi din padha hoga. Revision note yani summary aap padhte samay banaye hi honge so aap kam samay me bahut jyada revision kar payenge. Par padhte samay aur revision karte samay fully concentrate hone ki kosis kijiye.

Revision ke bareme mai kisi aur post me  bahut jald details me batane ki kosis karunga. 


10. Space Repetition :-


Ye bahut hi important topic hai lagbhag sabse jyada important. Issme hame ye sikhne ko milta hai ki padhe huye topic ko longtime tak kaise yaad rakhe. Ye revision pe aadharit hai issiliye ham isse kisi agle post bahut hi details se samjhane ki kosis karenge. Wo post available karte hi aapko uss post ka link yaha pe daldunga.


To dosto mai ummid karta hu ki isse aapko jarur kuchh sikhne ko mila hoga. Issme 100% remembering hai iska matlab ye nahi ki aap jitne padhenge wo sab remember hojayega. Par haan aap maximum padhahuwa remember karloge.


Note :-

Ham kisiko hamare bataye huwe tarike ko jabardasti kisiko follow karne ke liye nahi bolte hai. Iss site ka maksad kisiko kuchh karne ke liye force karna nahi hai. Ham yaha par jo kuchh bhi bata rahe hai sab knowledge ke liye baki aapko jo achha lage wo kijiye.

Aur haan dosto agar aapko yeh post achha laga ho to please hame comment karke jarur bataiye. Aur isse apne dosto ke sath facebook,twitter aur whatsapp jaisi social media par jarur share kijiye. Taki dusro ko bhi aap ki wajah se kuchh sikhne ko mile.

Hamara naye naye post padhne ke liye site ko subscribe jarur kijiye aur facebook page ko like jarur kijiye.


Read All study Realted Post


Read All Post


Like our Facebook page
HOWTOHELPINHINDI



Thanks for visit howtohelpinhindi.blogspot.com

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »