Padhai karne ke liye kaunsa sa time best hai day or night study tips in hindi

What is the best time to study day or night in hindi? | Study Tips




Namaskar dosto aap sabko mere blog howtohelpinhindi.blogspot.com me swagat hai. Aaj ka ye post students ke liye hai. Dekhiye ham jaise bahut students iss baat ko lekar confused rehta hai ki ham day me padhe ya fir night me. Kaunsa time hamare liye better hoga. Aksar ham iss baat ko lekar chintit rehte hai. Fir ham aise kai success ya talent students se ya fir teacher se bhi puchhte hai ki aare tum kab padhte ho. Subhah jaldi uthkar padhte ho ya raat ko der raat tak padhte ho. Ham teacher se bhi yahi sabal puchhte rehte hai ki sir ham subha uthakar padhe ya fir raatko. In problem ka solution to har koi batata hai. Jyadatar log hamse yahi kehte hai ki subhah subhah uthkar padho. Kyun ki ham subhah sokar uthte hai to hamara mind kafi fresh hota hai iss wajah se ham jaldi samajhlete hai. Haan ye bhi sahi hai.


Ussi me koi hamse kehta aare yaar raat ko der raat tak padho. Ya fir puri raat padho kyun ki raat to apna hota hai. Dinka sara samay idhar udhar me hi nikal jata hai hai. Din me hamare family hote hai hame kaam pe lagane ke liye. Koi dost aajata hai hame kahi jaane ke liye ghar pe bolane to ham bhi kahi chale jate hai. Aise me ham confuse hojate hai ki ham kiss time par padhe din me yaa raat me.


Dekhiye suniye sabki par kariye sirf apni jo aapko achha lage. Sabblog ek jaise nahi hote hai. Kisike pass der raat tak jagne ka chhamta hota hai. To kisiko raat ko bahut jaldi sojane ka. To ab aapko lagta hoga ham kab padhe subhah ya fir raat ko.


Din me padhe ya fir raat ko kaunsa study tine better hoga??


To chaliye ham aapko day aur night karke 2 part me alag alag samjhate hai.


# Day Study :-


Dekhiye ye bhi ek  bahut hi badhiya time hai study ke liye. Agar aapka class morning me chalta hai to mai aapko suggest karunga day study karne ki. Agar aapka class morning hai aur agar aap der raat tak padhenge aur subhah jaldi nahi uthpawoge aur jahir si baat hai aapka class kafi chhutega. Kai din aap subhah jaldi na uthne ke wajah se class late kar jawoge fir aapko waha par bhi daat milega. Late hone ki wajah se teacher ke gaali sunna padega fir aap thoda irritate hojaoge. Usske hadh kitne din aap late ki wajah se class chhod denge.

Agar aap class time par chale bhi jate ho to aapko class me nind aanelagega aur kuchh achhi tarha se samajh nahi pawoge. So mai suggest karunga agar aapka class morning hai to aap day study hi kare. Isske liye aap raatko thoda jaldi sojaiye aur subha jaldi uthkar padhiye. Din ke time aapke liye kafi important hai so jyada idgar udhar me mat bitaiye. Jitna hosake time ka sadupyog kijiye.



Subhah uthakar padhne se hame kafi benifits milta hai. Subhah subhah hamara grasping power kafi jyada hota hai jisse ki wajah se ham bahut jald kuchh samajh lete hai. Mind bhi fresh hota hai.


# Night Study :-


Night study bhi bahut si logo ke liye kafi badhiya sabit huwa hai. Agar aap night me padhte ho to aapke pass kafi sara time hota hai study karne ke liye. Kehte haina Din sabka aur raat apna ji haan dosto aapko raat ko koi nahi disturb karne bala hoga aap santi se padh sakte hai. Jaise subhah hone lagta hai log bhi jagne lagte hai fir disturbance chalu hojata hai. Aur raat ko khaskar aisa khuchh nahi hota hai. Na to koi aapko koi kaam karne ko bolega aur nahi aap social media pe jyada chatting me time barbad karoge. Kyun ki der raat ko sab online se chale jate hai. Aur agar aapka day class hai to aapke pass padhne ke liye din me kafi jyada time nahi hoga. So aap raatko padh sakte hai.

Agar aapka exam ka time aagaya hai aur koi bolta hai ki mai suvah jaldi uthkar padhta hu tum bhi padho to aap aisa mat kijiyega. Kyuki jahir si bat hai raat ko 2 bajetak padhne bala student suvah 4 baje uthkar padhe to wo bimar padega hi. So kisike kuchh kehne ke wajah se apna schedule mat change kariyega. Kyuki aadat badalne me kafi sara time lagta hai. Par haan agar aapko apna schedule day me karna hai to thoda dhire se kariyega warna aapka tabiyat bhi kharab hosakta hai.

Maine tv pe ad dekha tha Sahrukh khan ka tha. Jissme sahrukh khan ye kahe the ki jab duniya soti thi to mai jagta tha khudko hi syabasi deta tha aur khudko hi dat ta tha. Ye mujhe  kafi pasand aaya.


Dekhiye dosto kuchh pane ke liye ham ko kuchh khona padta hai. So suniye sab ki aur kare sirf apni jo aapko achha lage. Main ye nahi kehta ki aap mere hi bataye huye raste pe chaliye. Aapko jo achha lagta hai aap wohi kijiye.



Note :-
Ham kisiko hamare bataye huwe tarike ko jabardasti kisiko follow karne ke liye nahi bolte hai. Iss site ka maksad kisiko kuchh karne ke liye force karna nahi hai. Ham yaha par jo kuchh bhi bata rahe hai sab knowledge ke liye baki aapko jo achha lage wo kijiye.


Aur haan dosto agar aapko yeh post achha laga ho to please hame comment karke jarur bataiye. Aur isse apne dosto ke sath facebook,twitter aur whatsapp jaisi social media par jarur share kijiye. Taki dusro ko bhi aap ki wajah se kuchh sikhne ko mile. Ham aapke liye issi tarha aur bhi naya naya post lekar aate rahenge bas aap sab pyar aur sath chahiye.

Hamara naye naye post padhne ke liye site ko subscribe jarur kijiye aur facebook page ko like jarur kijiye.

Like our Facebook page HOWTOHELPINHINDI


See All Post click here 

All Post


Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

2 comments

comments
February 25, 2018 at 5:51 AM delete

I am continually amazed by the amount of information available on this subject. What you presented was well researched and well worded in order to get your stand on this across to all your readers.
Hbse result 2018

Reply
avatar