Part-1 Padhne ka ya Padha huwa 100 % yad yani remember karne ka 10 tarika

Study and 100% remembering top 10 methods in hindi part -1




Namaskar dosto aap sabhiko mere blog howtohelpinhindi.blogspot.com me swagat hai aaj ka hamara ye post students ke liye hai. Aaj ham  janenge ki padha huwa chij ko 100% yaad yani remember kaise kare. Dekhiye Ham sab students ke paas lagbhag same hi reason hote hai. Ham sab padhte to hai par usse achhi tarha se samajh nahi pate ya fir usse yaad nahi rakh pate.

Padhte to sabhi students hai par padha huwa chij sab log yaad nahi rakh pate. Aaj ham padhte 2 din 3 din badh usse vul jate hai. Koi 1 hapte baadh to koi 1 mahine badh to koi exam ke time bhool jata hai. Bhulte to har koi hai bas kisi kisi ke pass padhe huwe chij ko yaad rakhe ki tarike hote hai. Agar ham koi padha huwa chij bhul jate hai aur kisi ko yaad rehta hai to hame lagta hai ki hamara mind jo hai wo kamjor hai. Par bilkul bhi nahi bhulte wo log bhi hai bas wo tarike lagakar padhte hai jisse usse padha huwa chij yaad reh jati jati hai.

Dekhiye hamesa hamne ye suna hai ki hard work jyada smart work karna chahiye. Ab iska matlab ye nahi ki hard work nahi karna chahiye. Par aap jitne hard work karte ho utne smart work karoge to aap bahut jald apne manjil me kamyab hojayenge. To chaliye aaj ham jante hai ki padhai me kaise hard work ke sath sath smart work kare.

Aajka ye post issi topic par hai ki padha huwa chij ko yaad kaise rakhe. To chaliye ham kuchh points me jan lete hai ki padha huwa chij remember kaise kare.

Padha huwa chij yaad yani remember karne ka 5 tarike -


1.  Reading And Recite:-


Aap 30% afford reading me lagaye aur 70% apne aapko sikhane me. Par haan padhte wakt fully concentrate hokar padhe.

Ab apne aapko padhai me fully concentrate kaise kare iske bare mai kisi aur articles me details me bataunga.

Kisi bhi insan ka ek achha teacher wo khud hota hai. Log aapko jitna bhi sikhane ki kosis kyu na karle jab tak aap khud nahi sikhana chahenge aapko koi nahi sikhasakta. Isiliye aap apne aapko ek teacher ki tarha guide kijiye.

Agar aapke pass koi topic padhne ke liye 1 hour time hai to aap 30 miutes usse padhne me dijiye aur baki ke 40 minutes usse samajhne aur bolne aur sikhne ke liye dijiye.


2. Visualisation/pictures


Aap padhte wakt apne topic ko kisi videos ya pictures ke sath jod dijiye. Isse kya hota hai hai hame koi bhi padha huwa chij aasani se yaad hojata hai aur ham usse jaldi bhulte bhi nahi.

Manlijiye agar aapko Pura ramayan first book me padhkar bolbe kehta to aap jyada kuchh ramayan ke bare me nahi bata pate. Ussi Ramayan ko hamne video me dekhkar iss tarha itne kam samay me yaad karli hai ki usse ham sayad hi bhool payenge. Hame kahi se bhi puchhe to ham uske bareme bata sakte hai.

3. Memory Technique :-


Agar aapko kisi bhi topic ko yaad karne me koi problem hota hai. To aap is technique ko apna sakte ho. Iss technique me aap apne tarike se kisi bhi topic ko samajhne be liye short me koi trick apna sakte ho. Jaise ki koi word aapko yaad karne ke bolde to aap un sabhi word ke first word jod kar koi easy word banakar bhi yaad rakhsakte hai.

Jaise ki maan lijiye aapko 1 atom me hota hai proton,electron and neutron. Aapko ye 3 word yaad rakhana hai aap sabhibke first word lelijiye. Jaise ki-


Proton = P
Electron = E
Neutron = N


Ye tino first word milkar bangaya Pen to aap pen kabhi bhul nahi pawoge kyuki ye bahut hi popular word hai. Ab hame jab jab nahi rahega ham pen ko yaad karke un tino word ko yaad rakhsakte hai. Aise hi aap apne tarike se trick laga sakte hai.


4. Discussion :-


Discussion ek bahut hi badhiya method hai study karne ka. Aap apne 3-4 dost ki ek group banalijiye. Aur aap din me koi bhi topic padhlete hai. To aap ek time par kabhi apne dosto ke sath uss topic se related bato par discussions kijiye. Agar aapko kisi subject ko padhne me jyada interest nahi lagta hai. To aap uss subject ke bareme discuss kare. Isse kya hota hai aapka dost uss topic ya subject ke bareme kuchh naya naya bate batayenge jo aap ko yaad reh jayega aur dhire dhire aapko un subject bhi man lagne lagega jo aapko jyada achha nahi lagta.


Note :-
Agar aap apne dosto ke sath koi topic discussion kar rahe hai to aap sharmaiyega mat. Matlab ye nahi sochiyega ki mujhe ye nahi aati mai iske bareme discuss kyu karu. Ya fir wo question kyu puchhu. Dekhiye agar aap aise sochenge to kuchh sikh nahi payenge. Aare yaar apne dosto ke sath kya laj maan na. Agar abhi aap laj man kar bhi sikh loge to aapko badhme  kabhi lajana nahi padega warna aur bhi kai jagah pe laaj man na padega.  Isiliye aap bagair laj mane questions discussion kijiye aur dhyan dekar suniye aur samajhiye.


Khas kar aap discussion uss samay par kijiye jab aapko padhne me boring lagta ho. Discussion bahut hi badhiya method hai padhai karne ka. Ab ye nahi ki harwakt discussion hi kare. Aap tarike se samay milakar discussion kijiye. Aur haan discussion kare to koi schedule banakar kare ya fir koi achha topic pe kare jo aapko kaam lage.

5. Instant Test :-


Instant Test ye bhi ek bahut hi badhiya method hai padhahuwa chij samajhane ka. Isme kya kare agar kahi gaye ho. Waha par aap khali baithe ho jaise ki kisi dost ya ristedar ke ghar Ya fir bus me baithkar kahi jarahe ho. Uswakt aap ye sochiye ki aaj aapne kya padhatha ya fir kal kya padhe the. Aise koi bhi topic samajhne ki kosis kiniye aur usse apne mobile ke note me likhiye. Wo sari bate likhiye jo aapko padha huwa topic me se yaad hai. Fir ghar jakar dekhiye ki kya kya aapko yaad tha aur kya nahi yaad tha. Kitna sahi hai aur kitna galat. Isse aapko kafi fayada milega.


Baki ke 5 tarike ham agle article me bahut jald likhenge. Aap uss post ko bhi hamare site par bahut jald padhpayenge. Mai agle post likhte hi yaha par bhi uss post ka link dedunga.


Note :-

Ham kisiko hamare bataye huwe tarike ko jabardasti kisiko follow karne ke liye nahi bolte hai. Iss site maksad kisiko kuchh larne ke liye force karna nahi hai. Ham yaha par jo kuchh bhi bata rahe hai sab knowledge ke liye baki aapko jo achha lage wo kijiye.

Aur haan dosto agar aapko yeh post achha laga ho to please hame comment karke jarur bataiye. Taki ham aur bhi aise post aapke liye aasake. Aur isse apne dosto ke sath facebook,twitter aur whatsapp jaisi social media par jarur share kijiye. Taki dusro ko bhi aap ki wajah se kuchh sikhne ko mile.

Hamse koi galati hogaya ho to please hame maaf kardijiyega.

Hamara naye naye post padhne ke liye site ko subscribe jarur kijiye aur facebook pe like.
Like our Facebook page

HOWTOHELPINHINDI


SEE ALL POST

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

1 comments:

comments
May 31, 2021 at 4:15 AM delete

यह आर्टिकल इतना अच्छा था की मेने इस आर्टिकल का एक शब्द भी छोड़ा नहीं , इस आर्टिकल को पढ़ते - पढ़ते समय कब बीत गया पता ही नही चल पाया. sir में आपके आर्टिकल रोज पढ़ता हूं और अच्छा लगने पर शेयर भी करता हूं. आपसे सीखकर मेने jaldi yaad kaise kare पर आर्टिकल लिखा है. sir , आप हमेशा आर्टिकल लिख कर हमारी मदद करते हैं और हमारा भी फर्ज बनता है की आपके आर्टिकल ज्यादा से ज्यादा शेयर करे. sir, अब मुझे जाने की इजाजत दीजिए, शुक्रिया।

Reply
avatar