What is Twitter ? How to make or create a free account on twitter in hindi
Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki twitter kya hai aur twitter par free me koi kaise account banaye. Aaj mai twitter kya hai aur twitter par free me account kaise banate hai insabhi ke bareme puri details me batane ka kosis karunga. Ham sab me kaun nahi nahi Twitter ke bareme jante hai. Jo log internet use karte hai lagbhag wo sabhi ne ek na ek din twitter ka name yani naam jarur suna hoga. Agar jinho ne nahi bhi suna hai wo bhi aj hamare ye post padhkar janjayenge ki aakhir kar twitter hai kya aur isspar free account kaise banate hai mobile ya computer kisi se bhi.
Twitter kya hai?? What is Twitter in hindi full details??
Aaj kal twitter ke kafi charche internet, social media aur news channel pe hone laga hai. Par ye twitter hai kya. Ham sab ke manme ye sabal jarur aata hai ki twitter kya hai aur isspar free account kaise banate hai. Dekhiye Twitter ek social networking site hai yani Samajik networking sewa. Waise to bahut social networking site hai par yaha par ham twitter ke bare me baat karenge. Dekhiye ham apne kisi friends,family ya office me to roj roj phone calls, letter ya email to roj roj karte nahi hai. Agar aap twitter se jude huwe hai to aap online apne sabhi relatives se jude rahenge.
Twitter me ek feature hai jo kisi other social Networks me sayad nahi hai waise maine bahut se social Networks use ki hai par kisi me ye feature nahi dekha hai. Twitter me aap sirf 140 character me hi kisiko message ka kuchh tweet yani post karsakte hai. Hosakta hai ye feature sayad aapko achha na lage par bahut se aise log hai jinhe ye fe bahut hi pasand aata hai. Isse aapko jobi likhana hai aap 1 bar me sirf 140 characters me hi likh sakte hai. Par 140 characters se bhi jyada likh sakte hai iska bhi tricks hai par usske bareme ham badhme sikhenge details me.
Aajkal har kisi Actor,Actress,political person,news reporter,tv channel,blog,sports,business etc. Insabhi ka twitter par account bana hota hai. Aakhir ye log twitter jaise social media me kyun jude hote hai. Dekhiye isska to sabke apne apne bahut si reasons hota hai. Par jyada tar famous log apne baat duniya tak pahuchane ya fir apne kisi business ko promote karne ke liye twitter par account banate hai. Par jaruri nahi ki twitter par koi business man ya fir famous insan hi account bana sakta hai. Twitter par account banana sabke liye free hai yaha par koi aam insan bhi apna free account bana sakte hai.
Twitter short history in hindi
Twitter ka sthapna yani nirmaan 21 march 2006 me huwa tha. Dorsi(डोर्सी) naam ke ek insan ne twitter ki company ko nirman kiya tha. Aur ye kuchh hi salo me ye bahut hi popular hogaya aur aaj dekhiye har koi twitter par maujud hai. Ye to maine wo jankari aap logo ke sath share ki hai jo mujhe pata tha hosakta hai sayad aapkp isske bareme mujhse jyada pata ho.
Twitter Par free me account kaise banaye
To chaliye disto ab ham ek apna account twitter par banana sikhlete hai. Aap niche batayi gayi sabhi steps ko achhi tarha se follow kijiye.
1. Sabse pehle aap twitter.com par jye aur fir Sign Up ya Register ke button par click kijiye.
2. Ab aapke samne ek forum khuljayega aapko bas forum fill up karna hai. Forum Twitter ke step ke hisab se aayega.
# full name: How To Help In Hindi
Yaha par aapko apna full name dalna hai. Jaise maine dala hai How To Help In Hindi to aap bhi jis naam se twitter account banana chahte wo naam dale.
Ye bhi padhiye-
Email: Somethinglearn9999@gmail.com
Yaha par aap apna email ya fir mobile number daldijiye. Agar aap email se apna twitter account bana chahte hai to aap yaha par apna email address daldijiye. Agar aap mobile number se apna twitter account banana chahte hai to aap apna mobile number daldijiye par mai yaha par email se banaraha hu to maine apna email di hai.
Agar aapko pata nahi hai ki email kya hai aur email account kaise banate hai to aap hamare ye post padhiye.
# Password : **********
Aap yaha par apna password dal dijiye jo aap rakhna chahte hai yad rahe password easy aur strong rakhe jo aapko yaad rahe. Please aap email aur password ko kahi kissi diary me likh lijiye.
【√】Tailor twitter based on my recent visits.
Issko check mark yani tick kardijiye.
3. Fir Sign Up ke button par click kardijiye.
4. Fir aapko mobile number debeko bolega agar aap dena chahte hai to dijiye nahi to isse skip kardijiye.
5. Username : Howtohelp
Isse aapko ek user name chuna hoga. User name easy aur sweet rakhe taki kisiko aapke id kHojne me koi dikat na ho kyuki isike jariye kisika iad khaskar khojajata hai.
Yad rahe username wohi dale jo twitter me available ho. Jab aap username dalenge to waha par available aayega agar nahi aaya to koi aur try kiJiyega. Par ha waha par aapko twitter user name ke liye suggest karega ki ye sab jo user name hai ye avi availaible hai. To aap apne pasand se user name chun lijiye.
6. Fir next ya create my account ke button par click kardiJiye.
Fir aapko kuchh information denekeliye bolega aap chahe to apni information fillup kar sakte hai. Ya fir unsabhi ko skip kardijiye.
7. Fir aapko kuchh logo ko follow karneke liye twitter suggest karega aapko jo achha lage usse follow karlijiye isse twitter use karne me thoda majedar lagta hai. Uske badh continue ya next ke button par click kardijiye.
Welcome ab aapka ek naya Twitter account banchuka hai. Aapko twitter ki taraf se ek welcome msg aayega ki aapka account banchuka hai.
Note:- Aap apne gmail account me jaiye waha par aapko ek twitter ki taraf se ek verification ka mail aaya hoga aap uspar click karke apne twitter account ko verify karlijiye.
Ab aapko apna profile picture aur information dalne ko bolega aap chae to ye sab kar sakte hai kisi articles me ham isske bareme bhi batayenge ki twitter par profile pic kaise upload aur change karte hai.
2 comments
commentsGreat job for publishing such a beneficial web site. Your web log isn’t only useful but it is additionally really creative too. how to save twitter videos online
ReplyVery Useful article for all who wants to learn how to create twitter account in Hindi
Reply