Twitter kya hai Short history- Twitter par free account kaise banaye

What is Twitter ? How to make or create a free account on twitter in hindi





Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki twitter kya hai aur twitter par free me koi kaise account banaye.    Aaj mai twitter kya hai aur twitter par free me account kaise banate hai insabhi ke bareme puri details me batane ka kosis karunga. Ham sab me kaun nahi nahi Twitter ke bareme jante hai. Jo log internet use karte hai lagbhag wo sabhi ne ek na ek din twitter ka name yani naam jarur suna hoga. Agar jinho ne nahi bhi suna hai wo bhi aj hamare ye post padhkar janjayenge ki aakhir kar twitter hai kya aur isspar free account kaise banate hai mobile ya computer kisi se bhi.


Twitter kya hai?? What is Twitter in hindi full details??



Aaj kal twitter ke kafi charche internet, social media aur news channel pe hone laga hai. Par ye twitter hai kya. Ham sab ke manme ye sabal jarur aata hai ki twitter kya hai aur isspar free account kaise banate hai. Dekhiye Twitter ek social networking site hai yani Samajik networking sewa. Waise to bahut social networking site hai par yaha par ham twitter ke bare me baat karenge. Dekhiye ham apne kisi friends,family ya office me to roj roj phone calls, letter ya email to roj roj karte nahi hai. Agar aap twitter se jude huwe hai to aap online apne sabhi relatives se jude rahenge.

Twitter me ek feature hai jo kisi other social Networks me sayad nahi hai waise maine bahut se social Networks use ki hai par kisi me ye feature nahi dekha hai.  Twitter me aap sirf 140 character me hi kisiko message ka kuchh tweet yani post karsakte hai. Hosakta hai ye feature sayad aapko achha na lage par bahut se aise log hai jinhe ye fe bahut hi pasand aata hai. Isse aapko jobi likhana hai aap 1 bar me sirf 140 characters me hi likh sakte hai. Par 140 characters se bhi jyada likh sakte hai iska bhi tricks hai par usske bareme ham badhme sikhenge details me. 


Aajkal har kisi Actor,Actress,political person,news reporter,tv channel,blog,sports,business etc. Insabhi ka twitter par account bana hota hai. Aakhir ye log twitter jaise social media me kyun jude hote hai. Dekhiye isska to sabke apne apne bahut si reasons hota hai. Par jyada tar famous log apne baat duniya tak pahuchane ya fir apne kisi business ko promote karne ke liye twitter par account banate hai. Par jaruri nahi ki twitter par koi business man ya fir famous insan hi account bana sakta hai. Twitter par account banana sabke liye free hai yaha par koi aam insan bhi apna free account bana sakte hai.

Twitter short history in hindi


Twitter ka sthapna yani nirmaan 21 march 2006 me huwa tha. Dorsi(डोर्सी) naam ke ek insan ne twitter ki company ko nirman kiya tha. Aur ye kuchh hi salo me ye bahut hi popular hogaya aur aaj dekhiye har koi twitter par maujud hai. Ye to maine wo jankari aap logo ke sath share ki hai jo mujhe pata tha hosakta hai sayad aapkp isske bareme mujhse jyada pata ho.


Twitter Par free me account kaise banaye


To chaliye disto ab ham ek apna account twitter par banana sikhlete hai. Aap niche batayi gayi sabhi steps ko achhi tarha se follow kijiye.


1. Sabse pehle aap twitter.com par jye aur fir Sign Up ya Register ke button par click kijiye.


2. Ab aapke samne ek forum khuljayega aapko bas forum fill up karna hai. Forum Twitter ke step ke hisab se aayega.


# full name: How To Help In Hindi



Yaha par aapko apna full name dalna hai. Jaise maine dala hai How To Help In Hindi to aap bhi jis naam se twitter account banana chahte wo naam dale.

Email: Somethinglearn9999@gmail.com



Yaha par aap apna email ya fir mobile number daldijiye. Agar aap email se apna twitter account bana chahte hai to aap yaha par apna email address daldijiye. Agar aap mobile number se apna twitter account banana chahte hai to aap apna mobile number daldijiye par mai yaha par email se banaraha hu to maine apna email di hai.

Agar aapko pata nahi hai ki email kya hai aur email account kaise banate hai to aap hamare ye post padhiye.





# Password : **********


Aap yaha par apna password dal dijiye jo aap rakhna chahte hai yad rahe password easy aur strong rakhe jo aapko yaad rahe. Please aap email aur password ko kahi kissi diary me likh lijiye.


【√】Tailor twitter based on my recent visits.


Issko check mark yani tick kardijiye.


3. Fir Sign Up ke button par click kardijiye.







4. Fir aapko mobile number debeko bolega agar aap dena chahte hai to dijiye nahi to isse skip kardijiye.


5. Username : Howtohelp


Isse aapko ek user name chuna hoga. User name easy aur sweet rakhe taki kisiko aapke id kHojne me koi dikat na ho kyuki isike jariye kisika iad khaskar khojajata hai.

Yad rahe username wohi dale jo twitter me available ho. Jab aap username dalenge  to waha par available aayega agar nahi aaya to koi aur try kiJiyega. Par ha waha par aapko twitter user name ke liye suggest karega ki ye sab jo user name hai ye avi availaible hai. To aap apne pasand se user name chun lijiye.



6. Fir next ya create my account ke button par click kardiJiye.

Fir aapko kuchh information denekeliye bolega aap chahe to apni information fillup kar sakte hai. Ya fir unsabhi ko skip kardijiye.

7. Fir aapko kuchh logo ko follow karneke liye twitter suggest karega aapko jo achha lage usse follow karlijiye isse twitter use karne me thoda majedar lagta hai. Uske badh continue ya next ke button par click kardijiye.


Welcome ab aapka ek naya Twitter account banchuka hai. Aapko twitter ki taraf se ek welcome msg aayega ki aapka account banchuka hai.

Note:- Aap apne gmail account me jaiye waha par aapko ek twitter ki taraf se ek verification ka mail aaya hoga aap uspar click karke apne twitter account ko verify karlijiye.



Ab aapko apna profile picture aur information dalne ko bolega aap chae to ye sab kar sakte hai kisi articles me ham isske bareme bhi batayenge ki twitter par profile pic kaise upload aur change karte hai. 



To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.


                 Thank you


Blogger blog ke header me apna logo ya image kaise add kare computer ya mobile se



How to add or upload logo or image on your blogger blog's header in hindi





Namaskar dosto aap sabhiko mere blog me swagat hai. Aaj ham sikgenge ki kisi blog ke header me matlab upar jo bahut hi achha achha logo aur pictures lage hote hai wo ham apne blog me kaise lagaye. Aap lagbhag sabhi blog par uskr blog ka logo header me dekhte honge. Aap kisi blog par visit karte ho to uske blog upar header me aap ek logo ya image laga huwa dikhta hai. Fir ham bhi sochte hai ki yaar ye logo apne blog par kaise upload kare.


Apne blog ke liye logo kaise banate hai-


Apne blog ke liye ek badhiya logo kaise banate hai wo ham aapko kisi aur post me details me  batayenge. Avi agar aap already koi logo ya images bana chuke hai to wo kaise apne blog ke header me lagate usske bareme batayenge. To agar aapne apna logo taiyar karli hai to usse apne mobile ya computer me ek folder banakar  rakhlijiye. Isse hame apne blog me logo ya image upload karte samay uss logo ya images ko khojne me aasani hoga.



Apne blogger blog ke header me logo kaise upload yani add kare mobile ya fir computer dono se-



Aap mobile ya computer dono se apne blog me logo ya images laga sakte hai. Dono me same hi process hai. Aap apne blogger blog ke header me logo ko mobile se bhi upload kar sakte hai. Aap bas ek achha browser use kijiye jaise ki chrome browser,  firefox ya fir puffin browser aap ye kaam sayad kisi aur me kar sakte hai mai aapko ek achha browser hi use karneko kahunga. To chaliye ham isse details me samajhte hai.


1. Sabse pehle aap blogger.com par jakar apne uss blog me login kare jisme aap logo upload karna chahte hai.


2. Ab aap apne blog ki dashboard me jaiye fir waha par Layout ka option hoga aap uspar click kijiye.







3. Fir aapko kisi gadget me ek header ka option dikhega ussme ek edit ka button hoga aap uspar click kijiye. Aap picture me bhi dekh sakte hai.


4. Ab aapke samne ek new page khulega usme aapko kuchh istarha ka options show hoga.





# Blog Tittle :


Issme aap apne blog ka Tittle dijiye jaise maine di hai How To Help In Hindi kyuki yahi mere blog ka Tittle hai.


# blog description


Aap blog description likhdijiye mai to kahunga description chhota aur sweet likhiye. Jaise maine likha hai Hamare blog ke articles padhte rahiye aur sikhte rahiye.

# Image :


Issme aapko logi ya images upload karne ke liye 2 option milega.

◆ from your computer-


Issme aap browse pe click karke apne mobile ya computer se apna wo logo ya images chhose karlijiye jo apne blog ke header me lagana chahte hai. Waise to likhahoga sirf your computer par aap mobile se bhi upload karsakte hai.


◆ From the web. Paste an image url below :


Agar aap apne blog ka logo ya images kisi url ke jariye upload karna chahte hai to aap yaha par apna uss logo ya images ka link add karsakte hai.

# Placement


Issme aapko kuchh options istarha dekhega,


◆ Behind Tittle and Description


【√】 Instead of tittle and description


◆ Have description placed after the image 


◆ Shrink to fit 


Ab aap second number par jo option hai instead of tittle and description usspar tick yani check mark hrdijiye. Aap picture me bhi dekhsakte hai. Aap chahe to isse apne tarike se bhi set kar sakte hai.



5. Fir sab set karne badh aap lastme ek SAVE ka button hoga aap uspar click kardijiye. 



Ab aapke blog ke header me wo logo ya images upload ho chuka ha jo aapne upload kiya tha. Ab aap view blog par click karke mobile aur computer dono me  check karlijiye ki aapka logo add huwa ki nahi ya fir logo ka size fit hai ki nahi. Agar logo ka size fit nahi hai to aap firse wahi process karke uss purane bale logo ko remove kardijiye aur firse resize karke uplaod karlijiye aap chahe to shrink to fit option ka bhi use kar sakte hai par aapko jo achha lage wohi kijiye.

Aap ye articles howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe hai.

Note : 

1. Ham aapko agle post me ye batayenge ki hamara logo dusre logo ke copy karne se kaise bachaye ya roke.

2. Ham aapko kisi articles me   apne blog, website ya kisi chij ke liye kaise banate hai.


Also Read -



To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega. 


                 Thank you

Blogger blog ka Tittle Description privacy aur blogaddress kaise change kare

How to change blogger blog's Tittle, Description, Privacy and Blogaddress in hindi






Namaskar dosto aap sabhiko mere blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki apne blogger par banayi hui blog ka tittle, blogaddress, privacy, description kaise aur kyun change karte hai.


Apne blog ka Tittle, description, privacy aur blogaddress change karne ki kya wajah hosakta hai



Kaibar kya hota hai ham apna blog banate hai par blog ke liye pehle se tittle,discription,blogadress banakar ya sochkar nahi rakhte hai. Aur blog banate wakt ham jald baji me koi bhi wo tittle, description aur blogaddress dal dete hai jo hame achhs lagta hai. Ya hosakta hai aapne ye sab sochkar hi blog banaye hai. Par aise bahut se wajah hota hai jinke karan ham badhme apne blog ka tittle, privacy, description aur blogaddress change karna chahte hai. 







Ye bhi ho sakta hai hamare blog ka tittle hamare site se na milta ho ya hame wi tittle achha nahi lagta ho. Ye bhi hosakta hai hamara titte ya blogadress bahut bada ya chhota ho ya fir ussme koi mistake ho. ya fir ye bhi hosakta ki hame hamari pasand ka domain na milne se hamare tittle kuchh alag lag raha hota hai.


Aise bahut si wajah hai jinke karan ham apne blog ka tittle name, description ya fir blog adress change karte hai.


Apne blogger blog ka Tittle, Description, Privacy aur blogaddress kaise change kare -


To chaliye dosto ham isse achhi tarha se point me samajhte hai ki kaise ye sab kar sakte hai. Aap achhi tarha se in sabhi points ko samjhiyega.
 1. Sabse pehle aap apne blogger ki uss blog ko open karlijiye jinka aap Tittle name, Description, privacy aur blogaddress change karna chahte hai.


2. Fir uss blog ke dashboard me jaiye waha par aapko ek setting ka option dekhega aap uspar click kijiye.


3. Fir aapke samne kuchh options show hoga jisme ek basic setting ka option hoga aap usspar click kijiye.


4. Fir aapke wo sabhi sabhi option aajayega jo aap change karna chahte hai. Jaise ki Tittle, Description, privacy, blogaddress etc. Insab ke right side me dekhenge to ek edit ka button hoga aap uspar click kijiye.





5. Agar aap Tittle change karna chahte hai to Tittle ke edit bale button par click kijiye aur fir aap jo bhi Tittle apne blog ke liye rakhna chahte hai wo likhe usse badh save changes par click kardijiye. Aap picture me bhi dekhsakte hai.











Issi tarha aap apne blog ka Tittle, Description, privacy aur blogadress change kar sakte hai. Agar fir isse related koi problems hai to hame comment karke ya fir hame email karke ya fir facebook par contact karke puchh sakte hai.









To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega. 


                       Thank you

Apna koi bhi personal calls kaise hide aur lock kare dusre se ya chat me badle

How to lock and hide your personal calls and also change into chat in hindi







Namaskar dosto aap sabhiko mere blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki apne android phone me apna koi bhi personal call kaise hide aur lock karte hai. Ham me se kisse nahi ye trics kam kam lagvag sabhi log ye chahte rehte hai ki kash gam apna personal call hide ya fir lock kar pate.

Ham apna personal call hide or lock kyu kare?


Dekhiye hamare mobile phone me bahut sare logo ke contacts hoa hai. Hamare phone par koi personal call aata hai jaise kisi girlfriend ka ya kisi office ya fir hamare wife ka ya fir hamare family ka ya fir aise bahut si call aata hai jo ham nahi chahte ki koi dusra insan hamare personal call ko recieve kare. Par kaibar kya hota hai jab hamara phone kisi friends pass hota hai ya fir gharme hota hai aur ham kisi kam me busy hote hai aise e hame wo personal call aata hai to koi bhi recieve kar leta hai. Par ham nahi chahte hai ki hamara personal call koi recieve kare. Aise me ham sochte rehte hai ki yaar kaise ham apne personal calll ko dusro ko recieve karne se roke. To dosto aaj mai aap sabke inhi problems ka solution lekar aaya hu.


To chaliye dosto agar aap chahte hai ki aapka personal call  koi dusra byakti receive na kare to aap hamar ye article last tak achhi tarha se padhiye aur samjhiye. Sable dosto iske liye aapko apne android phone me ek application download karna hoga uss application ka naam hai cauchgram iss application ko aap playstore se download karlijiye. 

Internet par aapko personal call lock aur hide karne ka aise kai sari application miljayega. par aaj ham cauchgram ko use karke apne personal calll ko dusro se hide aur lock karenge. Kyuki ye jo application hai cauchgram bahut hi badhiya application hai. Isski rating bhi bahut badhiya hai aur bahut sare logone isse download bhi ki hai.








Apne personal calll ko kaise dusro se hide aur lock karte hai



To chaliye ham isse thoda details me samajhte hai-

1. Sabse pehle apne android phone par cauchgram application ko install karke open karlijiye. Aap cauchgram application ko open karenge to wo aapko uss appka khasiyat yani features sab dikhayega aab unsabhi features ko achhi tarha se padhlijiye aur fir next ke button par Click karte rahiye.


2. Next karte karte aapke samne jab Welcome to Cauchgram aajayega to waha par do option hoga-

# I agree to terms and conditions

# I agree to the privacy policy

Aap dono ko achhi tarha se padh kar done check mark yani tick kardijiye. Fir agree ke button par click kardijiye.

3. Fir aapko login karne ko bolega aap chahe to facebook, google plus, mobile phone number se bhi login kar sakte hai. Ya fir aap apne kisi email se bhi Register kar sakte hai.

Maine google account se register ki hai. Agar aap google account se register karenge to wo aapko aapka age range aur language allow karneko bolega aap usse allow kardijiye.

Note: Aap jab register karenge to aapke pass internet connection hona chahiye. Jab aap registered hojate hai to fir aapko internet connection ki koi jarurat nahi. Aur haan aapko bar bar register nahi karna padega.


4. Jab aap pehlibar register kartre hai to wo bolega Incoming call screen lock-

# Start up
# Start up later

To aapko start up pe click karna hai. Fir jab bhi iss cauchgram application ko open karenge to aapko register karne ki jarurat nahi. Bas waha par ek incoming call Lock ka option hoga waha par ek off aur on ka button hoga on kardijiye.

5. Fir aapke samne Incoming call lock ka sabhi options show hoga aap picture me dekhsakte hai. Options kuchh istarha hoga-











# Pattern Mode :


Aap issmode par Click karenge to aapko cauchgram application 4 dots ka pattern dalne ko bolega to aap apne pasand se pattern daldijiye. Aap chahe to 4 dots se jyada dots use karke bhi pattern dal sakte hai. Par yaad rahe pattern bahut hi easy daliye jo aap yad rakhsake aur call aate wakt jaldi se uss pattern ko dalsake.

Aapko firse wahi code dalna hai jo aapne pehle dala hai. Fir setting save hojayega ab aap done ke button par click kardijiye.




# 2 digit lock mode :


Iss option pe click karke apne numeric ko bhi 2 digits dalsakte hai jaise ki 1 aur 2 aap kuchh bhi dalsakte hai. Fir se wahi code dalkar done ke button par click kardijiye.


# 4 digits lock mode :


Ye bhi bilkul upar ki tarha 2 digit lock mode ke jaisa hi hai bas issme aapko 4 digits ka code dalna hai.


# Button Mode :


Aap iss mode par click karke button lock laga sakte hai aur button lock ke liye button theme bhi choose karsakte hai.


# Call button mode :


Aap iss mode par click karenge to 2 slide direction choose karke lock karna hoga.


To mai aapko suggest karunga ki easy pattern ya fir 2 digits bala lock hi choose kare.

5. Fir aap cauchgram application ko firse open kare aur aapke samne kuchh options show hoga. Options kuchh istarha hoga,

















# Incoming call lock :


Yaha par ek off on ka button hoga aap usse on kardijiye. Agar aap isse on nahi karenge to koi options kam nahi karega. Aap picture me no.1 bale option dekhsakte hai.

# Hide caller id :


Iss option par click karenge to aapko aapke share contacts show hoga. Issme aap apne wo contacts ko choose kijiye jisse aap hide karna chahte hai call aate samay. Agar pehle koi contacts hide hai to usse aap show bhi kar sakte hai. Aap number 2 bale option ko dekh sakte hai.

Agar aap chahte hai ki apne sabhi contacts ko hide ya show kare to wo bhi isss option me kar sakte hai. To aap uss number ko choose karlijiye jisse aap hide karna chahte hai aur fir hide number bale button par click kardijiye. Agar aap name hide karna chahte hai to hide name bale button par click kardijiye.

Agar aap number aur name dono hide karna chate hai to aap number aur name dono ke button par tick kardiJiye.



#Rename caller id :


 Iss option pe click karke aap apne uss number ke naam ko rename kar sakte hai jisse aap personal rakhna chahte hai.


# Call log auto delete :


Aap iss option par click karke auto call log delete button ko enable kardenge to wo automatic delete hojayega. Aap picture me number 3 bale option ko dekhsakte hai.

# Incoming wall paper :



Iss option pe click karenge to aapko cauchgram application kuchh wallpapers dega jisse aap call aate samay ke liye chhose karsakte hai. Aap chahe to custom wallpaper apne phone me se bhi set kar sakte hai. Picture me number 4 bale button ko dekhsakte hai.

# aap picture me number 5 pe dekhenge to aapko ek setting ka icon milega aap uspar click karenge to kuchh options show hoga. Options kuchh istarha hoga,


◆ Incoming calls lock-


Iss option pe click karke aap use incoming lock features ko on karlijiye. Issme aap bahut kucch kar sakte jaise ki password change aur bhi.


◆ Block Numbers-


Issme click karke aap kisi numbers ko block aur unblock bhi kar sakte hai.

◆ forwarding incoming calls to chat service-


Issme click karke aap incoming call ko chat ne badal sakte hai. Isssme aur bhi bahut chij change kar sakte hai.














◆ General-


Iss option par click karke aap cauchgram ko lock karsakte hai. Use status bar on kar sakte hai jisse cauchgram aapke mobile ke status bar me aajayega aap picture me dekhsakte hai. Issme aap aur bhi bahut kuchh kar akte hai.


Ab aap check kar lijiye ki ye sachme kam karta hai ya ni ya fir kaise dikhta hai. Aap jis tarah ka lock chune honge aapko ussi tarha dikhega jab koi aapko call karega to maine 4 digits ka pin number st ki hai to picture me dekhiye mujhe call received karne ke liye mujhse 4 digits ka pin code mag raha hai.






Mai aapko suggest karunga ki password aise dale jo easy aur call receive karte samay aasan ho aur jaldi ho.


To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Agar mujhse articles likhne me kahi koi galti hogaya ho to mujhe maaf kar dijiyega.


          THANK YOU