Mobile se blogger template ko zip file se xml me kaise badle puri jankari hindi me

How to convert Zip file into Xml from mobile



Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai. Aaj mai aap sabko batane ja rahahu ki aakhir mobile se Kaise blogger template ko zip file se xml me badla jaye. To dosto hame apne blog ka ek achha design karne ke liye chahiye hota hai. Ek achha template jo ki ham intarnet par kisi site se download karte hai. Ab template kaunsi websites se download kare iske bare mai kisi aur post me details me bataunga. Ham internet se kisi sites se koi achha sa template download to kar lete hai par jab ham usse apne blogger blog pe upload karte hai to wo upload nahi hota hai kyuki wo template ZIP file me hota hai. Ham internet se koi vi template download karte hai to wo sidha zip file me download hote hai. Aur blogger par zip file me ham koi vi template nahi upload karsakte hai. Iske liye hame blogger template  ko zip file se Xml me badal na hoga.

Xml me badal ne ke liye computer ya fir laptop jaruri hai kya?


Ham me se bahut se logo ke pass computer ya fir laptop nahi hota hai. Ya fir hamara computer kharab pada hota hai ya fir kabhi kabhi aise bhi hoye hai ki ham kahi bahar hote hai to har jagah par laptop ya fir computer lejana utna uchit nahi hota hai. Aise ham template upload karna chahte hai to soch te hai ki kash ham mobile se bhi blogger template ko zip file se xml me badal pate to kitna achha hota. To dosto aapko iske liye aise sochne ki jarurat nahi hai kyuki ab aap mobile se bhi blogger template ko zip file se xml me badal sakte hai aaiye janlete hai wo kaise.

Mobile se template ko zip file se xml me kaise badle bina kisi software ke:-


Iske liye aapke pass ek android mobile hona chahiye to chaliye ham step by step sikhte hai.

Step1:- sabse pehle jis template ko zip file se xml me badalna chahte hai usse ek alag khali folder me move ya fir copy karle.

Step2:- Ab us folder me jakar us template ko select karle jisse aap Xml me badal na chahte hai select karne ke liye us template par long press kare.

Step3:- ab usse select karne ke bad apne mobile ki option bale button ko touch kare matlab dabaye jisme aap move,copy,delete aur aise bahot si options dekhte hai.



Step4:- Option bale button dabane ke bad aapke samne bahut si aise options aayega jaise ki maine upar aapko bataya tha move,copy,delete aur bahut sare usi me ek aur option hoga extract ka aap uspar click kare.

Step5:- extract par click karne ke bad aapke samne ek folder ka name rakhne ko bolega waise android apne aap aapke jo template ka naam hoga us name se ek folder bananeko kahega aap chahe to usse edit kar sakte hai. mere khyal se usse edit  karke kuchh aur naam rakho jaise template fir ok karde matlab folder ko save karde.

Step6:- Ab folder ko save karne ke bad aapne jis folder me apne template ko move ya fir copy ki thi uss folder me jaye usme ek aur folder bana hoga aapke tetemplate ka jo naam hoga uss naam se ya fir aapne folder ka naam change karke jo rakha hoga uss naam se ab aap uss folder ko open kijiye.



Step7:- jab aap folder open karenge to dekhenge waha par 5 options hoga jinme sabse niche aapka temlate xml me convert ho chuka hoga example ke liye dekhle templa ka naam kuchh istarha sa hoga jaise abcd.xml

Step8:-  Ab aap us template ko select karke kisi aur khali folder me copy ya fir move karle fir upload kare.

Ye to thi bina kisi software ki template ko zip file se xml me badal ka tarika. Ab ham sikhte hai ki software ka istemal karke kaise aasani se blogger template ko zip file se xml me badle.

Software ka istemal karke kaise blogger template ko zip file se xml me badle:-


Dosto ye bhi bahut hi aasan tarika hai sabse pehle aapke mobile pe ES File Explorer Naam ke software honi chahiye. Agar nahi hai to aap play store me jakar download karke install karsakte hai. Software ka image niche dekhiye,



Step1:- install hone ke bad iss app ko open karna hai.

Step2:-App open hone ke bad aapke samne bahut si options aayega. jaise logger,encrypt,compressed,cleaner,music,movies aise aur vi hosakte hai to bas aapko compressed bale option par click karna hai.

Step3:- fir aapke samne sare wo templates aayega jo zip file me hai. Fir aap apne us template ko choose kare jisse aap zip file se xml me badalna chahte hai.

Step4:- us template pe click karne ke bad aapke samne kuchh options aayega jisme aapko folder select karne ko bolega. Option kuchh istype ka hoga Es file viewer aur my files aur vi ho sakte hai to aapko my file pe click karna hai.

Step5:- fir ko bolega folder ka name create karne ko waise android system khud aapke template ke naam se folder select karke dikhayega aap chahe to usse edit vi karsakte hai.

Step6:- Ab aapka temlate zip file se xml me convert hokar usi folder me hoga jaha pe aapne template download karke rakha tha usme vi ek aur folder bana hoga aapke template ke naam se ya fir last me aapne jo edit ki hai uss naam se us folder ko open kare fir aap dekhsakte hai ki aapka temlate zip file se xml me badal gaya hai. Jaise example.xml ye to bas samjhane ke liye hai.

To dosto hamne sikhli hai ki mobile se bina kisi software ke blogger template ko zip file se xml me kaise badalte hai. Aur software ki madat se blogger template ko zip file se xml me kaise badalte hai. Ab aapko mobile se template ko Zip file se xml me badalne me koi paresani nahi hogi aapko avi vi koi dikat hai to hame comment karke jarur bataiye. Aur ha thoda aaplog vi help kijiye iss article ko apne dosto ke sath Facebook,twitter par share karke. Aapke liye ham aise naya naya post lekar aate rahenge issi site
www.howtohelpinhindi.blogspot.com par.

Ye bhi jarur padhiye

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

3 comments

comments
March 25, 2018 at 10:46 AM delete

Bhai aapka template paid hai ya free hai your template is very good.kahan se liye is template ko?

Reply
avatar
March 25, 2018 at 10:47 AM delete

Bhai aapka template paid hai ya free hai your template is very good.kahan se liye is template ko?

Reply
avatar
April 18, 2018 at 10:41 AM delete

Nice sir apny tu hmari problam solve kar di thank you tu bnta he sir

Reply
avatar