Blogger blog ka Tittle Description privacy aur blogaddress kaise change kare

How to change blogger blog's Tittle, Description, Privacy and Blogaddress in hindi






Namaskar dosto aap sabhiko mere blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki apne blogger par banayi hui blog ka tittle, blogaddress, privacy, description kaise aur kyun change karte hai.


Apne blog ka Tittle, description, privacy aur blogaddress change karne ki kya wajah hosakta hai



Kaibar kya hota hai ham apna blog banate hai par blog ke liye pehle se tittle,discription,blogadress banakar ya sochkar nahi rakhte hai. Aur blog banate wakt ham jald baji me koi bhi wo tittle, description aur blogaddress dal dete hai jo hame achhs lagta hai. Ya hosakta hai aapne ye sab sochkar hi blog banaye hai. Par aise bahut se wajah hota hai jinke karan ham badhme apne blog ka tittle, privacy, description aur blogaddress change karna chahte hai. 







Ye bhi ho sakta hai hamare blog ka tittle hamare site se na milta ho ya hame wi tittle achha nahi lagta ho. Ye bhi hosakta hai hamara titte ya blogadress bahut bada ya chhota ho ya fir ussme koi mistake ho. ya fir ye bhi hosakta ki hame hamari pasand ka domain na milne se hamare tittle kuchh alag lag raha hota hai.


Aise bahut si wajah hai jinke karan ham apne blog ka tittle name, description ya fir blog adress change karte hai.


Apne blogger blog ka Tittle, Description, Privacy aur blogaddress kaise change kare -


To chaliye dosto ham isse achhi tarha se point me samajhte hai ki kaise ye sab kar sakte hai. Aap achhi tarha se in sabhi points ko samjhiyega.
 1. Sabse pehle aap apne blogger ki uss blog ko open karlijiye jinka aap Tittle name, Description, privacy aur blogaddress change karna chahte hai.


2. Fir uss blog ke dashboard me jaiye waha par aapko ek setting ka option dekhega aap uspar click kijiye.


3. Fir aapke samne kuchh options show hoga jisme ek basic setting ka option hoga aap usspar click kijiye.


4. Fir aapke wo sabhi sabhi option aajayega jo aap change karna chahte hai. Jaise ki Tittle, Description, privacy, blogaddress etc. Insab ke right side me dekhenge to ek edit ka button hoga aap uspar click kijiye.





5. Agar aap Tittle change karna chahte hai to Tittle ke edit bale button par click kijiye aur fir aap jo bhi Tittle apne blog ke liye rakhna chahte hai wo likhe usse badh save changes par click kardijiye. Aap picture me bhi dekhsakte hai.











Issi tarha aap apne blog ka Tittle, Description, privacy aur blogadress change kar sakte hai. Agar fir isse related koi problems hai to hame comment karke ya fir hame email karke ya fir facebook par contact karke puchh sakte hai.









To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega. 


                       Thank you

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

1 comments:

comments