Facebook me save feature or button kya hai aur ise use kaise kare free me

What is facebook Save feature how to use it in hindi??




Namaskar dosto aap sabhi ko mere blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki facebook me save feature or button kya hai aur kisi vi video, music, photos, story, files ya kisi bhi facebook post ko ham save kaise kar sakte hai.

Facebook me Save Kya hai?


Save ek facebook company ke duwara launch kiya gaya feature hai. Ab ham kisi bhi video, music, photo, text, files ya fir koi bhi facebook ka post apne id me save kar sakte hai. Aur ham jab chahe tab apne save kiye gaye post ko open karke dekhsakte hai.

Facebook me ham kisi post ko save kyu kare?


Dekhiye kabhi kabhi kya hota hai ki facebook par koi bahut hi badhiya videos, photos, text ya fir koi post karta hai ya fir share karta hai aur hame wo pasand aajate hai. Aur hamara man hota hai ki kash ham isspost ko badh me bhi kisi din dekh pate to kitna achha hota. Filhal to ham wo post ko kuchh din dekhsakte hai lekin jab jayda din hojata hai to hame uss post bale page ya fir id ka naam nahi yad rehta to aise me kya kare. 

Agar ham kisi post ko save karlete hai to ham jab chahe apne save kiye gaye post ko dekh sakte hai. Aise bahut se karan hai jinke wajah se ham kisi post ko save karte hai. Par yad rahe agar aapne kisi page ya kisi ke profile se koi post save ki hai aur agar uss page aur wo profile ke owner uss post ko apne page ya fir apne timeline se delete karleta hai to aapke saved file me se bhi wo post delete hojayega.

Facebook par kisi vide, music, photo, text ya fir kisi bhi post ko kaise save kare



Iss feature ka use karna facebook ke official application aur browser dono me lagbhag same hi hai. To chaliye ham points me samajhte hai.

1. Sabse pehle aap apne browser me facebook.com par jaye or apne facebook account se login kare. Agar aapka Facebook account nahi hai to hamara ye post padhiye. Facebook par free me account kaise banaye.

2. Logged in hone ke badh aap uss post par jaye jisse aap save karna chahte hai. Post side me thoda upar dekhenge to ek drop down ka button hoga aapko usspar click karna hai.



3. Fir aapke samne kuchh options show hoga ussme ek Save ka bhi option hoga. Aap Save bale option par click kijiye. Aap picture me dekh sakte hai.

3. Save par click karte hi aapka 
Post save hojayega.

Facebook par saved kiye gaye post ko kaise dekhte hai?


Ab hamne kisi post ko save to kar li hai. Ab ham jab chahe apne save kiye gaye post ko kabhi bhi dekh sakte hai. Facebook par save kiye gaye post dekhne ke liye aap apne facebook ke menu par jaye fir saved bale button par click kijiye issme aapko wosara post dikhega jo aapne save ki hai. Aap jis post ko dekhna chahte hi uspar click karke open kijiye aur fir dekh sakte hai.

Facebook par saved post ko kaise unsave kare?


Dekhiye kabhi kabhi kya hota hai ki jab ham bahut sare post save kar lete hai to hame apne kisi purane post ko khojne me thoda dikat hota hai. Aise ham chahte hai inmese bahut si post ab bina kam ka hai to kyun na ham isse delete karle par kare to kaise.
To chaliye ham isse bhi points me samajhte hai ki facebook ki saved post ko unsave kaise kare.

1. Sabse aap facebook menu me jakar saved files ko open kijiye.

2. Open karne ke badh aap jis post ko unsave karna chahte hai uss post ke side me dekhenge to 3 line ya dots ka option hoga aap usspar click kijiye.





3. Ab aapke samne firse kuchh options show hoga jisme ek unsave la bhi option hoga aap unsave bale option par click kijiye. Usave par Click karte hi post unsave hojayega. 

Ab aapka post unsave hokar saved file se remove hogaya hai. To hamne bahut hi aasani se sikhli hai ki facebook par kisi bhi post ko save kaise karte hai kyun karte hai aur fir unsave kaise karte hai.





















Facebook Save feature ko ham mobile application,browser aur computer sabhi me ise kar sakte hai kya?



Ham sab ke man upar diye gaye type ke question aahi jata hai kyuki kuchh features aisa bhi hota hai jo sirf facebook ke official application me hi chalta hai. Par ye feature aisa nahi hai ye sab me chalta hai. Facebook Save feature ko aap facebook Mobile application ya kisi browser ya fir computer me bhi use karsakte hai. Actually me ye save feature bahut hi kam ka feature hai. Ham iss save feature ko bahut aasanise use bhi kar sakte hai.


To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

                     Thank you

Android phone me Developer options enable aur disable kaise kare

How to enable Developer option in our android phone without any software



Namaskar dosto aap sabhi ko mere blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki android phone me developer options kya hai aur developer options ko enable kaise karte hai wo bhi bina kisi software ke.


Developer option kya hai | what is developer option?


Developer option ek android phone ka hidden feature hai. Ye option pehle se android phone par visible hokar nahi aata hai. Developer options ko use karke ham apne mobile me kuchh changes yani badlab kar sakte hai. Ye developer option ka subidha android phone par pehle se to hote hai lekin ye enable nahi hota hai. 







Developer option enable kyu kare?


Dekhiye waise to ham bahut se kam ke liye apne android phone par Developer option ko enable karte hai. Developer option ko use karke ham apne android phone me kuchh changes yani badlab karte hai. Aise bahut si sabke apne apne reason hosakta hai.

Android mobiles me Developer option ko enable kaise kare bina kisi software ke


Apne android phone par Developer option enable karne ka tarika ham points me samajhte hai.

1. Sabse pehle aap apne android phone ki settings me jaye.

2. Settings me jane ke badh aap  about phone/device par click kijiye.

3. About phone par click karne ke badh aapke samne kuchh optios aayega jisme ek device information ka option hoga uspar click kijiye.

4. Device information par Click karne ke badh aapke samne firse kuchh options show hoga jisme ek build number ka option hoga aap uspar 7 bar continuously yani lagatar click kijiye.



5. Build number par 7 bar click karenge to ye likha huwa aayega you are now a developer matlab aapke phone me developer option enable hogaya. Aap picture me dekh sakte hai.

Developer option ko use kaise kare?


Ab hamne apne android phone par Developer option to enable kar li hai magar isska use yani istemal kaise kare. Developer  options ko use karne ka tarika ham kisi dusre article me sikhenge.

1. Email kisiko kaise aur kyun vejte hai gmail or google account ko use karke

2. Mobile se blogger template ko zip file se xml me kaise badle puri jankari hindi me

3. Facebook reactions or facebook new like features or emojis kya hai


Apne android phone par enable Developer options ko disable ya firse hide kaise kare


Dekhiye kabhi kabhi kya hota hai ki ham Developer option ko use nahi karne lagte usse jaise ki taise chhod dete hai. Aise me koi hamare friends Developer options me jakar hamare phone ke sath chhed chhad karne lagte hai aur Developer options ki settings ko kharab kardeta hai. Fir hame setting milane me bahut dikat hota hai ya fir setting kharab hone ke wajah se hamare mobile phone me koi problems bhi aaraha hota hai. To aise me ham chahte hai ki apne Developer options ko kyun na ham band karle par kaise chaliye details me sikhte hai.

1. Sabse pehle aap apne phone ke setting ko open kijiye.

2. Setting open karne ke badh  aap application manager par click kijiye. Fir aapko kuchh options dikhega aap right side ki aur scroll karenge to All ka option hoga.

3. Aap All bale option me jakar niche scroll karke setting ko khoj lijiye fir setting bale option par Click kijiye.

4. Setting par Click karenge  to firse kuchh options dikhega jisme ek option hoga clear data aap usspar click kijiye. Aap picture me dekh sakte hai. Par yad rahe clear data samajh ke clear case par mat click kijiyega warna Developer option disable nahi hoga tab aapko firse clear data par click karke disable larna hoga. Aap niche picture me dekh sakte hai.



Ab aapka Developer option disable hochuka hai. Aap apne phone ke setting me jakar check kar sakte hai.

To hamne bahut hi aasani se sikhlihai ki android phone par Developer options enable aur disable kaise aur kyu karte hai. 




To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega. 
    
                Thank you

Kisi bhi bade or large video ya files ko online kaise send kare pure world me

How to send large videos or files everywhere online using filemail


Namaskar dosto aap sabhi ko mere blog me bahut bahut swagat hai. Aaj sikhenge ki badi se badi yani large file jaise ki movies, bada size ka videos, photos, music, software, ya aise koi bhi file  ko kaise vejte hai online lagbhaa 30GB tak free me vejsakte hai pura post padhiye aur achhe se article ko samajhiye.


Large video ya kisi file ko online kaise vejte hai?


Dekhiye kabhi kabhi kya hota hai hame apna kisi video, music, photos, documents ect. Vejna hota hai. Agar ham kahi kisi party functions me jate hai ya fir kisi ke marriage yani shadi me jate hai to  waha par koi video banalete hai aise me jaruri nahi ki hamare har koi friends waha pahuch sake koi koi nahi bhi aate hai. Fir wo bolte hai aare yaar sorry mai aapke party ya fir shadi me nahi aasaka please aap mujhe usska video vejdijiye mai dekhna chahta hu. Aise me ham sochne lagte hai aare yaar itna bada size bale video kaise veju. Aise me ham gmail, yahoo, hotmail jaise koi mail service file ko istemal yani use karte hai par insab me aap sirf limited file ko hi send kar sakte hai. Fir ham hairan hojate hai ki ab itne size ka video ya kisi file ko kaise veju.

To aaj mai aapke insabhi problem ka solutions lekar aaya hu ab aap badi se badi size bale file ko online duniya bhar me kisi ko bhi vej sakte hai wo bhi unlimited. Iske liye aapko ek website pe jana hoga filemail.com pe iss website pe aap koi bhi badi file ko online free me vejsakte hai iske liye aapko kisiko koi paise nahi dene padenge to chaliye ham isse points me samajhte hai. Iske liye aapko ek email account hona bahut jaruri hai. Agar aapke pass email account nahi hai to ye niche bala post padhiye.











1. Sabse pehle aap apne browser me filemail.com open kijiye.

Note :- Agar aap 30 GB tak ke file send karenge to aapko iske paise nahi dene padega ye bilkul free yani muft hai. Agar aap 30 GB se badi size ke file ko send karna chahte hai to aapko 1 mahine ka 9$ pay karna hoga. Agar aap filemail business ko subscribe karna chahte matlab usse kharidna chahte hai to aapko 15$ pay karna hoga issme aap badi se badi unlimited file ko send kar sakte hai isme file jaldi delete nahi hota hai 90 din tak available hota hai matlab aapke veje gaye din se 90 tak rahega fir apne aap delete hojayega. Aise aur bhi bahut sari features aapko mil jayega aap check karlijiye.


2. Filemail.com open karne ke badh aapke samne ek chhota sa forumm aayega usse fillup karlijiye matlab forum vardijiye aapko issme sign in ya fir register karne ka koi jarurat nahi.

Forum kuchh istarha hoga aur aise variye,





To (email):-

Aap  yaha par uska email de jisse aap apne video ya fir kisi file ko vejna chahte hai. Aap picture me dekh sakte hai.

From (email):- 

yaha par aap apna email adress matlab jiss email se aap file ya kisi video ko vejna chahte.

Subject :-  

Yaha par aap subject ka naam likhdijiye taki jisse ye mail jayega wo subject dekhkar samajh jayega ki ye mail kis topic par hai.

Message :-  

yaha par aap apna message likhdijiye ki aap kya vejna chahte ya fir aap jo likhna chahte hai wo likh dijiye.

Add file :- 

yaha par aap click karke apne video, music, software ya kisi file ko select karlijiye jo aap send karna chahte hai.

Add folder :- 

yaha par click karke aap apne folder select kar sakte hi agar aap ka kuchh videos ya file kisi folder me hai to aapko ek ek karke select karne ki jarurt nahi aap folder hi select kar sakte hai. Par yad rahe free me aap sirf 30 GB tak ki file select kar sakte hai. Hosakta hai ye option mobile pe na bhi dikhe.


Send :- 

Agar aapne sabhi forum ko fillup karli hai to fir aap send par click kardijiye.

3. Send ke button par click karenge to aapke samne ek chhota sa window khulega jisme transfer options likha hoga.






4. Transfer options kuchh istarha hoga,





# file will be available:-

Iss option me aapko days select karna hai ki aap ye file kitne din tak online rakhna chahte hai. Isme aap jyada se jyada file ko 7 din tak online rakh sakte hai. Aap chahe usse kam bhi kar sakte hai.

# Notify me when files are downloaded :-

Issme aap check mark laga dijiye yani tick kar dijiye aise karne se kya hoga jab aapke duwara vejagaya files koi dekhta hai to aapko ye filemail message kardega yani ek notification vejdega.

# Protect download page with pass word :-

Iss me aap download page par password set karke download page ko Protect kar sakte hai aise me koi kholega to usse password dena hoga. Par mai to kahunga aap isse khali hi chhod dijiye.

HTTPS-Secure Transfer:


Ye secure transfer bale option free version me available nahi hai.

4. Fir jab aapka sara kam hojaye to aap firse send ke button par click kardijiye. Fir aapka file upload hokar send hone lagega. Aapke file ka size aur internet ke speed ke hisab se ye send hone me time lagata hai.

5. Fir aapko likha huwa dikhega your files were transferred successfully aur vi kuchh dikhega jaise ki aapne kitne din select ki hai aapka files utne din me auto matic delete hojayega. Jaise maine 7 din select kiya hai to mujhe dikharaha hai ki mera file 7 din badh automatically expire hijayega.








Ab aapka file completely send ho chuka hai aapne jisse veja hai usse apne email par ek mail aaya hoga aapke email duwara jab wo iss mail par click karega to usse filemail ka icon aur aapne jo file file send ki hai wo file aur uska details bhi dikhega.

Aap chahe to file ki application ko bhi download karke use kar sakte hai. Aap filemail.com ke site se ya fir playstore se apne Android phone ke liye filemail application download kar sakte hai. Same upar ke sare process apna kar aap kisiko bhi pure world me apne bade se bade large file ko vejsakte hai wo bhi free me.

To hamne bahut aasani sikh lihai ki kisi bade se bade yani large file ko free me unlimited online kaise vejte hai filemail ki help se.








To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega. Hamare sabhi post dekhe home par click karke.

                 Thank you

Email kisiko kaise aur kyun vejte hai gmail or google account ko use karke

How to send an email using gmail or google account in hindi




Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki kisi ko email kaise vejte hai. Aajkal kiske pass email nahi hota hai. Har koi apna ek email account jarur banakar ya kisi se banba kar rakhte hai chahe wo gmail par ho ya fir Yahoo ya fir hotmail ya fir kahi aur se banaye ho par email to har koi banake rakhta hai. Agar aapko email account kaise banate hai nahi pata to niche digayi email account kaise banate hai link par click karke padhlijiye.
Dekhiye email to har kisike pass hota hai par usse pata nahi hota hai ki kisiko email kaise vejte hai. Par aajkal to har jagah email hi use horaha hai. Agar aap kisi bank, college, school, office, university etc. aise kisi jagah par jate hai to dekhte honge waha ki insabhi company ne email ki subhidha derakha hota hai.  To aap hamare ye post pura padhiye fir aapko pata chal jayega ki kisiko email kaise vejte hai. 

Email kisiko kyun vejte hai??



Dekhiye waise to kisiko email vejne ki bahut si wajah hosakta hai. Kai log apne documents ko kahi par vejna chahte hai to email karte hai ya fir kisi company ke bareme janne ke liye email karta hai. Aajkal email itne popular hagaya hai ki bat hi chhodiye aajkal kaha nahi email use horaha hai.  Pehle kya hota tha hamare koi relation kisi country me rehta tha to usse letter likhkar apna sandesh pahuchana bahut hi muskil hota tha par fir bhi kabhi kabhi hamara message yani letter sahi pate par nahi pahuchta tha aise me roj roj ka halkhabar puchhne ka to sabal hi nahi uthta tha par jab email aagaya to har koi kisi ko bhi kahi bhi apna message kuchh hi second me vejdete hai wo bhi sahi pate yani adress par. Ab email ke bareme aur bhi jyada jankari ke liye hamare email kya hai post jarur padhiye.



Email aap apne kisi bhi vi email se vejsakte hai usske liye aapne kispar email account banaya hai aapko uske site par jana hai jaise gmail, yahoo, hotmail etc. Maine apna email account Gmail pe banaya hai to gmail email se email kaise vejte hai wo bataunga.

1. Sabse pehle aap accounts.google.com ya fir gmail.com par jakar apne gmail yani google account se sign in karlijiye. Agar aapne accounts.google.com par jakar sign in ki hai to aapko Gmail bale icon par click karna hoga. Agar aapne gmail.com sign in ki hai to koi problem nahi.


2. Ab aapke samne ek Gmail ka page khulega jisme side me likha hoga compose to aap compose bale button par click kardijiye.

3. Fir aapke samne ek chhota sa windows khulega jisme upar likha hoga new message options kuchh istarha hoga,

# To:-

Sabse pehle hoga to ka option aapko to bale option ke blank yani khali jagah par usska email address dalna hai jisse aap email vejna chahte hai. Jaise maine di hai onlyforyou195@gmail.com aap picture me bhi dekhsakte hai.



# subject:-

Aap subject me kis topic par email karna chahte hai wo likh sakte hai. Jaise maine di hai Happy Dashain aap kuchh bhi topic likh sakte jis topic par aap bat karna chahte hai. Aap achhe topic likhiye jisse aapki mail receivers ko samajh aajaye ki email kis bareme hoga. aap picture me dekhsakte hai.


# write message:-

Ab aap message likh sakte hai yani email likh sakte jo aap vejna chahte hai. Jaise maine likha hai Happy Dashain 2073 or 2016
Niche ya fir kisi side me dekhenge to aur bhi kuchh options hoga kuchh istarha,


# Formatting

Iss option pe click karke aap language choose karsakte hai size set karsakte hai italic, underline, colour etc. Select karsakte hai.


# Attach file

Isme click karke aap apne computer ya fir mobile se koi file ya fir document attach karsakte hai.

# Drive

Isme click karke aap google drive se koi file ya fir document ko attach karsakte hai.

# insert photo

Issme click karke aap koi photo select kar sakte hai.


# insert link

Agar aap email ke message me koi link add karna chahte hai to iss option par click karke add karsakte hai.


# emojis

Aap iss option par click karke aap apne email me koi emojis bhi use karsakte hai.

Ab aapko finally send ke button par click karna hai. Fir aapko ek message dikhega jis me likha hoga your email has been sent view message matlab aapka message ya fir email send ho chuka hai aap usse dekhsakte hai.












To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega. Ekbar niche home par jarur click karke sabhi post dekhlijiye.
 
                         Thank you




Blog kya hai? blogging kyun important hai full details with questions-answer

What is blog? Why blogging is important??




Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai. Aaj ham janenge ki blo kya hai blog kaun kaun bana sakta hai aur blog kyun banana chahiye. To chaliye sabse pehle ham details me jante hai ki aakhir blog hai kya.

Blog kya hai?? What is blog in hindi??


Blog ek website hai. Jahapar aap apna bichar, information ya fir anubhav yani feelings ko likh kar duniya ke sath share kar sakte hai ya fir apne pehchan internet ki duniya me bana sakte hai. Pehle kya hota tha jab internet nahi tha to log apne bichar, information ya apne purane yad gar chij ko ek diary me likha karte the ya fir log likh te the. Par aajkal internet ke jamane me internet hone se log apne yad gar chij ko diary ya log ke wajay sidha blog ya website par likh kar duniya ke samne share karte hai.

Agar kaha jaye to internet par jo bhi log ya patrika  likhte hai usse hi blog kaha jata hai. Web log ka hi short name blog hai. Blog rakhne ki gati bidhi ko blogging kehte hai. Agar ham blog par kuchh likh te hai to ham huwe blogger aur jo log hamare duwara likhe gaye blog ko read karte hai yani padh te hai to wo huwa reader yani traffic.



Blo kitne type ya prakar ka hota hai??




Jaha tak mujhe pata hai ham blog ko 2 ya 3 type ke roop me le sakte hai,

#Personal blog:-

Agar aap ek student hai to aap apne subject, thouths ya study ke bareme me blog banakar blog likh sakte hai. Agar aap teacher hai to aap blog ke madhyam se aap online gyan yani knowledge duniya ke sath share kar sakte hai. Ya fir aap ke andar koi kala hai to bhi aap usse apne blog ke jariye duniya tak pahucha sakte hai.


# Professional blog:-


Ye ek business ke liye perfect blog hota hai. Jiska koi business hota hai wo apne business ke sare details blog jariye logo tak pahuchata hai. Kai log apne products le bareme bhi logo ko blog ke jariye bata hai. Kai log apne school, college, coaching, hotel, shop etc. Aise bahut chijo ko blog ke jariye advertise karte hai ya fir dusro iske bareme batate hai.


# E-commerce:-


Blog ko ham E-commerce ke roop me bhi le sakte hai issme ham apne kisi products ko online sell kar sakte hai aur bahut se log kar bhi rahe hai.


Blog kaun kaun bana sakta hai?



Blog har koi bana sakte hai issme koi age limit nahi hota hai. Agar aap ek student hai, teacher, actor aur actress, designer hai, dancer hai, painter hai, singer hai, business man hai ya fir ek normal insan hai to bhi aap blog bana sakte hai. Blog har kisike liye available hai.

Aaj kal to kai log apne aas pas ghate ghatna ko bhi blog ki jariye duniya ke sath share kar rahe hai. Kai log blog ke jariye anpe ikchaa anusar ka knowledge bhi hasil kar rahe hai waise hame blog par sirf likh ne ko hi nahi balke sikhne ko bhi milta hai. Ham bahut kuchh blog se sikh sakte hai aur jankari le sakte hai.

Blog aur website me difference aur fark kya hai??



Blog me complex programming ki jarurat nahi padta hai. Ye easy design hota hai issko manage karne me bahut hi aasani hota hai. Websites me complex programming ki jarurat hoti hai isse design ya fir use karne ke liye programming ki jarurat padti hai. Ye blog jitna easy nahi hota hai.


Kaun kaun se site par ham blog bana sakte hai?



Waise to blog banane ke kaise sare sites hai mai kuchh popular site ke bareme bata rahahu jahapar aap apna blog bana sakte hai. Jaise ke blogger, WordPress, tumblr. Aap inme se kisi site par bhi blog bana sakte hai. Par mai suggest karunga ki aap blogger par hi blog banaiye fir badhme aap chahe to WordPress par shift hosakte hai.

Blog kyun banaye blog banane ka fayada kya hai?



Dekhiye waise to blog banane ka bahut sare wajah hosakta hai. Par kuchh fayada niche points me diyaga hai,

1. Aap apne personal thoughts yani bichar ko dusre logo ke sath share kar sakte hai.

2. Aap blog ki jariye social work yani dusro ka help kar sakte hai.

3. Aap apne feelings ko bhi blog ke jariye duniya ke sath share kar sakte hai.

4. Aap kisi ghatne ke bareme likh kar blog ke madhyam se logo ko bata sakte hai.

5. Apne peresani ya questions ko bhi blog ki jariye logo tak pahucha kar problem ka samadhan kar sakte hai.



6. Agar aapko likhe ki hobby yani shaukh hai to aap blog pe likh sakte hai.

7. Agar aap teacher hai to online blog ke jariye students ke sath gyan yani knowledge share kar sakte hai.

8. Agar aap ek business man hai to apne products ko online advertising kar sakte hai ya sell kar sakte hai.

9. Aap kisi school, college, hotel, internet, temple, restaurant, books etc. Ke bareme blog par likhkar duniya ko bata sakte hai.

10. Blog par advertise dikhakar paise bhi kama sakte hai.

Blog kis topic par bana sakte hai?



Aap koi bhi topic par blog bana sakte hai par mai kahunga ki blog achhe kam ke liye banaya gaya hai to aap bhi isse achhe kam ke liye hi use kare koi bhi illegal topic par blog na banaye aur nahi blog me illegal post dale. Aajkal internet, neta, abhineta, khana bana, fashion, technology aur bhi aise bahut sare topic par blog ban raha hai aur pehle se bhi bana hai. Kai log ka blog to itne famous hai ki wo apne blog ke jariye logo ko advertisement dikha kar bahut sare paise kama rahe hai. To aap bhi blog bana chahte hai to bana sakte hai.

To dosto hamne achhi tarha se jan li hai ki blog kya hai, blog kyun banaye, blog kaun kaun bana sakta hai, blog kis topic par bana sakte hai, blog banane ka fayada kya hai, blog aur website me fark kya hai, blog ko kitne type se le sakte hai, blog kaun kaun se site pe bana sakte hai etc.

#Blog kaise banaye kisi anjan se kyun nahi banbaye ye ham agle article me sikhenge.














To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega. Ekbar Home Jarur dekhiye.
         
                       Thank you

Free me offline translation kaise kare google translate ko use karke

How to use google translate offline in hindi




Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki offline translation kya hai aur kaise kare. Kai bar aisa hota hai ki hame kuchh translate karna hota hai. To jaruri nahi ki har jagah internet uplabdh ho. Jab ham kuchh translate karna chahte aur internet nahi hota hai to ham kitna nervous yani udas hojate hai. Aur sochne lagte hai kash ham bina internet ke bhi offline translation kar pate to kitna achha hota.



Android phone par install apps and games ka backup kaise le ya extract kare




To dosto aise sirf aap hi nahi balke wo sare log sochte hai jinhe aise problem vugatna padta hai. Sabse pehle sabal ye aata hai ki ham kisi language ko translations kyu kare. Dekhiye language translate karne ke waise to bahut wajah hosakta hai kuchh niche points me digayi hai. To chaliye ham jante hai points me.

Languages translate kyun kare?


1. Jab ham kahi par jate hai to waha par kuchh likha hota hai. Hosakta hai wo kisi aur language me ho to hame samajhne me dikat hota hai.

2. Agar aapke English thoda kamjor hai. Aur Internet par koi mail aata hai wo vi English me to hame kitna dikat hota hai samajhne me.

3. Facebook ya Twitter par kisi ke sath chat kar rahe hote hai aur wo English me kuchh vejdete hai to kitna paresani hota hai na usse samajhne me.

4. Aap kisi office me ya fir cinema gharome ya fir zoo me aise kuchh jagah par jate hai to warnings ya fir suggestions ke roop me kuchh prohibited likha gaya hot  hai. Aur agar aise me aapko wo languages nahi aati hai to aapse wo galati ho hi jati hai.

5. Aajkal to dekhiye har jagah par English ka use horaha hai aur aapko agar English achhi tarha se nahi aata to aap ko kaisa feel hota hoga.

6. Aajkal har koi Facebook,Twitter aur whatsapp use kar raha hai. Aur English me post karna to aajkal sabka shokh ban chuka hai aur agar aap nahi sanajh pa rahe hai to kitna nervous feel hota hi na.

7. Aap kisi aur country me ghumne ya fir kam karne ya fir kuchh vi wajah se jate hai aur aapko uss country ka language nahi pata hai ya fir English bhi nahi pata hai to aapko kitne problem honge waha par.

Aise bahut si problem hai jinke karan log language translate karna chahte hai. Agar aap translate vi karna chahenge to hosakta hai aapke pass uswakt internet uplabdh na ho. Aise me ham kya karenge. To inhi sabhi problem ko najar andaj karke ham aapke liye laye hai ek aise tricks jisse aapke translating problem dur hojayega.

To chaliye ham jante hai ki offline translation karne ke liye kya kare iske liye aap apne android phone par Google translate naam ki app download kar lijiye. Aap google translate app ka icon niche dekh sakte hai. Waise to internet par aise bahut si app majud hai jinke help se aap translate kar sakte hai. Magar aaj mai aap sabhiko google translate ke bareme batane bala hu to aap google translate app ko play store se download kar lijiye ya fir niche digayi download link par click karke google translate app ko download kijiye.



Google translate download


To chaliye ham jante hai ki kaise iska istemal yani upyog kare full details ke sath.








Google translate se offline translation kaise kare


1. Sabse pehle aap apne android phone par Google translate app ko install karlijiye.

2. App ko install karne ke badh open kijiye. Yad rahe avi aap apne internet se connected jarur rahe aapko avi offline nahi hona hai.

3. App open hone ke badh ek English ka option aayega aur dusra aapke country language ka.

4. Aapke country language ke side  me ek drop down ka sign yani chinh hoga uspar click kijiye. Ya fir left side aapko 3 bar dikhega uspar click karenge to aapke samne kuchh options show hoga jisme ek offline translation ka vi option hoga aap uspar click kardijiye.


5.  Fir aapke samne sabhi language ka option dikhega aur sabhi option ke side me ek download arrow hoga.

6. Aap jis language me offline translate karna chahte uss language ke side me jo download arrow hai uspar click kardijiye.



Eg. Agar aap hindi English ko hindi me translate karna chahte to hindi side bale download arrow par click kare.

Note:- Jo language pehle se hi download hoga usme tick yani check mark laga rahega.



7. Fir aapke samne ek popup sa khul jayega aur aap usme me dekhenge Hindi offline translation likha hoga. Aur niche likha rahega ki aap jab offline honge to vi aap hindi me translate kar sakte hai. Aap picture me dekh sakte hai.

8. Niche dekhenge to aap jis language ko download karna chahte uss ka translation file dikhega jisme aapke language ka size bhi hoga aur sabse niche download ka button hoga uspar click kardijiye.

9. Ab aapse puchha jayega ki aap apne language ko only wifi se download karna chahte hai ya fir mobile network ya wifi dono me  se kisi se. Agar aapke pass wifi hai to only wifi select kijiye. Niche remember this setting par check yani tick kardijiye aur fir download ke button par click kardijiye.

10. Fir aapka language download hone lagega. Aur download hojayega to aapne jis language ko download ki hai uspar check mark  yani tick lagjayega.

11. Ab aap apne internet connection ko band kardijiye. Fir aap translation bale page par jaye.

12. Ab aap kuchh bhi type kare fir wo text aapne jo language download ki hai ussme automatically translate hone lagega. Jaise maine English se hindi me translate ki hai. Aap picture me bhi dekh sakte hai.




Example:-

English:-  where are you?

hindi:- आप कहाँ हैं
            Aap kahaan hain










To hamne sikhli hai ki Engish se hindi ya apne country ke language me offline translation kaise karte hai. Ussme ek reverse ka bhi option hoga aap us par click karke hindi se ya aapne jo language pack download ki hai usse English me bhi translate kar sakte hai. Aap niche picture me bhi dekh sakte hai.



Example:-
Hindi:- kya kar rahe hain aap
              क्या कर रहे हैं आप

English:- What are you doing?


Itna hi nahi aap chahe to apne converted text ko Facebook, Twitter, Email, Bluetooth ya fir kahi par share bhi kar sakte hai. Aap usse copy ke button par click karke copy bhi kar sakte hai ya fir favourite ke button par click karke aap usse favourite translated word bhi bana sakte hai. Aap upar picture me bhi dekh sakte hai.









To dosto hamne sikhli hai ki Engish language ko hindi,Nepali ya fir apne kisi bhi language me offline translation kaise karte hai.  Aapko ye article kaisa laga aap hame comment karke jarur bataiye aur agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega. Ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi aise article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Ekbar fir mai aap sabse kehna chahunga ki agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega. 

            Thank you

Android phone par install apps and games ka backup kaise le ya extract kare

How to extract or backup install app in hindi



Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki apne android phone par kisi bhi app ko extract kaise kare ya fir backup kaise le. Bahut si logo ke man me ye bhi sabal aata hoga ki ham apne phone par install app ka backup kyun le. Iske to bahut se karan hota hai.


Installed app ko extract kyun kare


Aap sab jante hai ki jab ham apne phone reset karte hai to hamare phone par installed aise bahut se  aaps hote hai jo uninstall hojata hai aur wo phone me ya fir SD carde me nahi hota matlab delete hojata hai. Khaskar play store se download kiyegaye application to uninstalled hohijata hai. Aise me hame firse wo application ko download karne me kitne problem hota hai. Jaruri nahi ki hamko har application ka naam yad rahe jo hamare phone par installed tha aur ab uninstall hogaya hai.
Agar hame kuchh popular application ka naam yad bhi rahega to hame download karne me bahut sare data kharch karna padega aapke bahut sare kimti time waste hoga. Kai apps to 50mb ya fir 100Mb ya fir usse jyada bhi hota hai. Aise me itne bade size bale apps ko jinke pass wifi hai ho to jaise bhi karke download karlega. Aur jo mobile data pe chala rahe hai usse itne bade bade size bale apps ko download karne me bahut paise aur data kharch karne padte hai. Aur apps bahut jyada kam ka ho to download karna hi padega.

Aise me ham sab sochte rahte hai ki kash koi aisa tarika ya fir application hoga jiske help se ham apne phone par install apps ko apne SD card ya fir apne kisi folder me extract karke rakh pate to kitna achha hota. Fir ham apne phone ko reset kar sakte the.

To dosto ab aapko ye sare problems nahi jhelna padega ham aapke liye lekar aaye hai in sabhi problems ka solutions. Ab aap apne phone  par install apps ko apne sd card ya fir kisi vi folder me extract karke rakh sakte. Isske liye aapko internet se ek application download karna hoga jiska naam hai Apk extractor ji haan ham iss app ke help se apne phone par install app ka backup le sakte hai. Aap is app ko play store se download karlijiye apk extractor search karne par number 1 par aayega aur niche likha rahega meher  aap niche icon dekh kar download karlijiye ya fir niche digayi download link par click kijiye. Play store par aise bahut se apps mil jayega jinke help se aap apne phone par install apps ka backup le sakte hai. Appko jo achha lage aap wo app use kare.




Apne phone par install apps ko  extract or Sd card me transfer Kaise kare ya fir backup kaise le



1. Sabse pehle aap apne android phone par apk extractor app ko install karlijiye. Fir iss appko open kijiye.

2. Apk extractor app ko open karte hi aapke samne aapke phone par install sabhi apps dikhne lagega. Waha par search ka bhi ek option hoga aapke phone par bahut apps hai to aap jis app ka backup lena chahte hai usse search karlijiye. Aap niche picture me dekh sakte hai.



3. Aab jis app ka backup lena chahte hai ya fir extract karna chahte hai uss par click kar dijiye.

4. Ab aapka app extract hogaya hai. Aur aapke phone par ek extract folder banchuka hoga ussme jakar dekhlijiye. Fir aap kabhi bhi apne app ko install kar sakte hai.

5. Apk extractor ko open karenge to aapke app ke side me ek drop down ka button hoga uspar click karke aap chahe to apne app ko kahi par share bhi kar sakte hai ya fir uska information bhi lesakte hai.

Apk extractor app ka  setting kaise set kare


Kai bar aisa hota ki hamse anjane me kisi appka setting bigad jate hai aise me ham wo kam sahi se nahi kar pate jo karna chahte hai. To agar apk extractor app ka setting bigad jaye to kaise set kare.

1. Sabse pehle aap apk extractor app ko open karlijiye. Open karne ke badh apps ke side me 3 dots ka ek bar hoga uspar click kijiye fir setting ka option hoga uspar click kijiye. Aap upar picture me dekh sakte hai.

2. Fir aapke samne apk extractor app ka setting khul jayega. Setting set karne ka option kuchh istarha hoga.

# Save path:-

Iss option me aap click karke folder choose karsakte hai ki aap apne extract kiye app ko kis folder me rakhna chahte hai.


#Apk file name saving format:-

Iss option par click karenge to aapke samne kuchh options show hoga jisme apk name ka option hoga uspar check yani tick kardijiye fir hoga pkg name iss option par bhi tick kardijiye. Baki ke options ko khali chhod dijiye. Fir Ok ke button par click kardijiye.


# Show all applications:-

Isme Off aur On ka button hoga to aap On kar dijiye taki extract karte wakt aapke share file show ho.


# Auto Backup:-

Issme bhi Off aur On ka button hoga aap agar apne application ko automatic extract karna chahte hai to On kar dijiye nahi to aise hi rehne dijiye.

Baki ke sabhi options ko aise hi chhod dijiye aap chahe to apne tarike se bhi setting set kar sakte hai.








To dosto hamne sikhlihai ki apne file ko extract kaise kare ya fir backup kaise le ya fir SD card me kaise transfer kare. Ab aapko app uninstall hone ke badh bhi koi problem nahi hoga aap usse firse reinstall kar sakte hai.

To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

                      Thank you












HOME jarur dekhiye

Apne mobile phone ki contacts ko hide ya secure or lock kaise kare dusro se

How to hide or lock our phone contacts?



Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki apne mobile phone ki contacts ko dusre logo se kaise bachaye ya fir chupaye. Post thoda lamba hai par puri details ke sath hai. Jarur puri padhiye.

Apne Contacts dusro se hide kyun kare

Ab sabal uthta hai ki ham apne contacts ko logo se chhupaye kyun iske bahut sare reasons yani karan hosakta hai. Kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki koi hamare mobile phone chala raha hota hai. Ya fir chalne ke liye mobile phone magte hai aur ham unhe apne phone dedete hai.

Kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki jab ham kahi ghumne jate hai. To hamare kisi friends koi gana, videos, pictures ya fir moves dekhne keliye ya fir send karne ke liye hamara mobile phone magta hai aur ham unhe apna phone dedete hai. Uske badh wo kuchh der to mobile chalane lagte aur ham uspar najar andaj nahi karte. Par jaruri nahi ki har koi achha insan hi hoga.

Kai log to aise bhi hota ki wo mobile dekhte dekhte hamare contacts ko bhi dekhne lagte hai. Hamare contacts me sirf male hi nahi balke female bhi hota hai. Hamare family ka vi contacts usme hota hai. Kisi personal byakti ka bhi jisse ham nahi chahte hai ki wo contacts koi dekhe. Par kai log ki aadat bahut hi kharab hota hai wo kisike bhi contacts ko dekhne lagte hai. Jahir si bat hai jab koi contacts dekhega to wo sabhi contacts ko dekhega. Aur fir usme se wo kai contacts apne phone me save karlete hai fir wo uss contacts owner ko call ya message karke paresan karne lagte hai.

Kabhi kabhi to hamare best friends bhi aise karne lagte hai. Aise aap soch rahe honge ki kash mai apne kuchh contacts ko dusro se hide kar pata to kitna achha hota. To ab aapko aisi problem aur nahi jhelna padega ab aagaya hai iss problem ka solution. Aur ham apne contacts ko hide dusro se hide karsakte hai.

Apne Contacts ko dusro se hide karne ka fayada


1. Galat niyat bale log aapke contacts ko chori nahi kar payega.

2. Aap ke personal contacts ko koi dekh nahi payega.

3. Aapke contacts owner ko koi paresan nahi kar payega.

4. Aapke contacts puri tarha se safe rehega etc.

Apne Contacts ko hide karne ka ya dusro se chhupane ka tarika

Ham apne sare contacts ko ya fir kisi private contacts ko contacts hide application ke help se hide kar sakte hai. Aap chahe to internet par aise bahut si app uplabdh hai jisse aap apne contacts ko hide karsakte hai. Par aaj mai hide contacts ke help se kaise contacts hide kare wo batane bala hu. Aap hide contacts application ko play store se download karlijiye aap application ka icon niche dekh sakte hai. Niche digayi link se bhi  hide contacts application download kar sakte hai.


Hide Contacts Download


1. Sabse pehle aap apne android phone par hide contacts ko install karlijiye. Install karne ke badh hide contacts application ko open kijiye.

2. Open karne ke badh aapko ek password dalne ko bolega. Aap apne password daldijiye.
Yad rahe password aisa rakhe ki koi guess ya anuman na kar paye. Fir uss password ko kahi par likhle taki aap bhulne par bhi usse dekh sakte hai.

3. Password dalne ke badh aapke samne sare ke sare contacts show hoga jo ki aapke mobile phone ki contacts me save hai.

4. Aap jis contact ko hide karna chahte hai yani chhupana chahte hai uss par click kare. Fir aapke samne kuchh options show hoga.

5. Aapke samne 3 options show hoga options kuchh istarha hoga,

                     


#Call:- aap chahe to call ke option par click karke uss contact owner ko call bhi kar sakte hai.

#Sms:- Aap chahe to sms ke option par click karke uss contact owner ko messages bhej sakte hai.

#Secure it:- yahi wo option hai jisse aap apne contacts ko hide karsakte hai. Agar aap iss option par click karenge to aapke wo contact hide hojayega jispar aap click kiye hai. Fir aapke  wo contacts aapke phone ke contacts list me hide hojayega.

Ab koi nahi aapke hide contacts ko dekh sakta hai. Koi agar hide contacts application ko open karke bhi dekhna chahega to ussko password dalne ko bolega fir wo aapka contacts bina password ke dekh nahi sakta hai.


Chaliye short me jante hai kaise contacts hide kare


Aap sabse pehle hide contacts application ko open kijiye. Open karne ke badh aapke samne aapke sare ke sare contacts show hoga. Aap us contact par click kare jisse aap hide karna chahte hai. Fir secure it bale option par click kardijiye. Aapke contact hide hojayega. Aap upar picture me dekh sakte hai.

Apne hidden ya secured contacts ko kaise dekhe aur unsecured kare


1. Ab aab apne secure contacts ko dekhne ke liye hide contacts application ko open kijiye. Open karenge to aapko wo password deneko bolega jo aapne pehle dalatha. Aap apna sahi password dalkar app ko open karlijiye.

2. Fir contacts ke side me ek secured contacts ka opton hoga uspar click kijiye. Fir aapke wo sabhi contacts dikhega jisse aapne hide ki hai.

                


3. Aap jis contact ko unhidden ya unsecured karna chahte hai uspar click kijiye.

4. Fir aapke samne kuchh options show hoga aap insecure it bale option par click kijiye.

5. Ab aapka contacts unsecured hojayega aur aapke phone contacts me aajayega.

Hide contacts application ki password kaise aur kyun change kare


Ab sabal uthta hai ham password kyun change kare iski koi khas wajah to nahi hai magar kabhi kahbi aisa bhi hota hai. Hame lagta hai ki hamare password logoko pata chal chuka hai ya fir kuchh achha suitable password kyun na rakhlu. Ya fir aapka koi aur bhi wajah hosakta hai. To sikhlete hai password kaise change karte hai.

1. Sabse pehle aap hide contacts application ko open karlijiye fir upar ek lock ka icon hoga uspar click kijiye. Niche picture me dekh sakte hai.

                 


2. Fir aapko new yani naya password deneko bolega aap apne hisab se password set karlijiye. Fir confirm password me bhi wohi password dale.

3. Password set karne ke badh Ok ke button par click kardijiye. Ab aapka password change hogaya.

To dosto hamne sikhli hai ki apne contacts ko hide kaise kare.

To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar 
Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye.
Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

                 Thank you

Ye bhi jarur padhiye