How to use musically app | how to create duet video using music.ly full details in hindi :
Namaskar dosto aap sabhiko mere iss howtohelpinhindi.blogspot.com blog me bohot bohot swagat hai. Aaj ham sikhenge ki musically yani music.ly app kya hai. How to use musically app hindi. Matlab musically app ko kaise use karte hai. Musically app duet yani do video ke combination bala video kaise banate hai. Aajkal kafi popular hai musically app har jagah par issika charcha chal raha hai. Aap facebook pe dekhte honge instagram par dekhte honge yaha tak ki aap youtube par vi dekhte honge ki log musically app ko use karke achhe achhe apna duet video share kar raha hai kafi popular ho chuka hai musically. Music.ly aur musically dono same hi chij hai to aapko confused hone ki jarurat nahi hai. Jab aap facebook insta ya fir youtube par kisika itne achhe achhe duet videos dekhte honge yo aap bhi sochte honge na ki yaar issne kaise kiya ye kafi achha hai. Aap wo janne ke liye betab hote hai. Kyunki maine bhi jab apna duet video upload kara tha to kafi sare mere friends mujhse facebook pe message karke , comment karke ya fir call karke puchha tha ki yaar tune itna achha video kaise banaya mujhe bhi batado. Kaunse application se banaya wagera wagera. To chaliye ab ham isse thoda details me jante hai.
Musically yani music.y kya hai | what is musically in hindi :
Dekhiye dosto musically ek duet video bananeka application hai jaha se aap kisi bhi dialogue pe apna videos achhe shoot karke share kar sakte hai. Aap chahe to uss video ko apne phone e download bhi kar sakte hai ya fir usse aap facebook, instagram , ya youtube par bhi share kar sakte hai. Musically app ko use karke kafi log popular ho bhi ho chuka hai aur wo achhe khase paise bhi kama rahe hai. Ham aapko kisi post me wo bhi jarura batayenge ki musically app use karke paise kaise kamate hai. Aise duet video bananeka to kafi sare application internet par available hai par aci musically kafi jyada popular app hai. Dubiya var me isska use horaha hai. Ye avi trending par hai. Like application bhi same music.ly ki tarha hi hai aap ussko bhi use kar sakte hai wo bhi kafi popular hai par aaj aapko music.ly ke hi bareme batane bala hu. Kisi aur post like app ko kaise use karte duet video banane ke liye wo bhi bataunga. Musically app download aap playstore pe dekhenge to 100 million se jyada ho chuka hai aur ye avi bhi kafi teji se popular hota jaraha hai. Musically app ka rating bhi kafi achha hai reviews bhi bohot achhe mile hai logo se. Aap musically app ko playstore se bhi download kar sakte hai aapko niche download lik dedunga.
Aap jiss bhi country me dekho ge to kafi sare log musically aap ko use karte hai. Musically app me aapko kafi sare dialogues aur songs milega jaise ki hollywood , bollywood aur wagera wagera to aap uss dialogues or songs pe apna videos shoot karke kafi achha duet video bana sakte hai. Mai aapko isske bareme bhi bataunga ki kaise aap musically app ko use kar sakte hai. To musically app 2017 or 2018 me to kafi popular raha ab dekhte hai 2019 me kaisa rehta hai mere khayal se ye sayad aur bhi kuchh din jyada chalega.
Duet video bananeka app kaun kaun sa hai :
Dekhiye dosto internet par aise kafi sare application hai jissme aap apna duet video bana sakte hai. Yaha par mai aapko kuchh application ke bareme bata derahahu jisse aap apna duet video bana sakte hai.
◆ music.ly
◆ Like App
◆ Dubmash
◆ vigo live
◆ Etc.
To aaj mai aapko sirf music.ly App ko use karne ke bareme sikhaunga. Agar aap music ly appko use karna sikh gaye to lagbhag wo sab bhi same hai. Aur musically app ko use karke hi aap kafi achha video bana sakte hai. To chaliye sikhlete hai ki musically app ko use kaise karte hai.
How to use musically app in hindi | music ly app ko use kaise kare :
Aaj mai aapko musically app ko kaise use karte hai lagbhag isski puri details me batane ki kosis karunga. To aap aur download link bhi dedunga to aap post ko achhe se padhte rahiye. Aap beginner bhi hai to bhi musically App ko achhe se use kar sakte hai koi jyada khas nahi hai. Aap bohot aasani se iss musically app use kar sakte hai.
-> Sabse pehle aap apne phone me music.ly application ko download karke install karlijiye.
Aap playstore se ya niche diye gaye download link se bhi musically application ko download kar sakte hai. Aap niche musically app ka icon bhi dekh sakte hai.
See Also :
∆ Microsoft OneDrive Online Storage Kya Hai Ise Kaise Use Karte Hai Full Details
∆ freelancing kya hai ise paisa kaise kamaye | freelancer kaise bane puri jankari
∆ Godaddy account ka username aur password bhul jane par reset kaise kare
-> Usske badh aapko musically app ko open karna hai. Fir aapko musically ek music.ly ka account create karne ko bolega jo ki kafi simple hai.
Aapko apna first name , email , password , date of birth , aur mobile number dalkar musically ka account create kar lena hai.
-> usske badh aapko musically app apne home par lejayega. Jahapar aapko kuchh popular videos dikhegi jo logone musically pe banaye hote ya fir musically account me upload kiye hote hai. Aur wo videos kafi popular hogaya hota hai.
Kuchh logoko ki to 20 million , 15 million ya isse bhi jyada followers hai music.ly App me.
-> To agar aapko uss popular videos bale me se koi videos pasand aata hai to aap usspar click karke uss songs ya koi hollywood ya fir bollywood dialogues pe apna video shoot kar sakte hai.
Ya fir aapko waha par ek search ka option dikhega aap usspar click karke koi hollywood , bollywood dialogues ya fir songs search kar sakte hai. Aisa nahi hai ki musically me sirf hollywood ya bollywood dialogues ya songs hi milte hai aapko bohot se country ka dialogues aur songs dekhne ko milega.
-> Jaise hi aap kisi video pe click karte hai to aapke samne kuchh options show hojata hai aapko right samne kuchh isstarha ka options dikhega.
◆Profile image :
Ye jo profile me image ka icon aapko dikhega wo aapke profile ka nahi hoga. Ye image uss bande ke profile ka hoga jissne wo banaya hai. To aap uss bande profile ke image bale option par click karke usska profile check kar sakte hai. Ki wo banda kaun hai kaha ka hai ussne kitne videos banaye hai wagera.
◆ Heart Icon :
Aap iss heart ke icon bale option par click karenge to wo video like hojayega. Matlab aap uss heart ke option par click karke kisike videos ko like kar sakte hai.
◆ Comment :
Iss option par click karke aap usske musically video ko comment karke bata sakte hai ki wo videos kaisa hai. Ya fir aapko kya achcha laga ya fir kuchh bhi aap comment kar sakte hai.
◆ Triple dots (•••) :
Aap iss triple dots bale option par click karke usske video ko share bhi kar sakte hai. Jahapar aapka man kare wahapar aapko kuchh share options dikhaidega aap chahe to ussko kahi par share bhi kar sakte hai. Agar wo abusive video hai to aap report abuse bhi kar sakte hai.
◆ Disc or CD icon :
Iss option par aap click karenge to aap iss video ka dialogues kaha se liya gaya hai. Aap wo sab usske naam ke sath dekh sakte hai. Wahapar aapko kuchh popular , trending , recent videos ka bhi options dikhega to agar aap chahe to wo bhi use kar sakte hai.
#Search icon :
Home ke badh aapko ek search ka icon dikhega niche. Aap usspar click karke koi bhi videos , ya music search kar sakte hai jo ki musically App me upload ki gayi hai.
Wahapar aapko kuchh categories dikhega aap uss catagory ke hisab se apne pasand ka videos search kar sakte hai. Aapko popular , song chart , leaderboard , live , comedy , talent sport , kafi saare #tag etc. Kuchh iss types ke catagory aapko dekhne ko milega. Aap waha se sikhkar khudka bhi video bana sakte hai.
# ( + ) :
Yaha aap + ke option par click karenge to aapke samne kuchh iss tarha ke options show hoga.
Pic Music :
Agar aap iss pic Music bale option par click karenge to aapko ek online library aur ek my songs ka option dikhega to aap waha se apna music pic kar sakte hai.
Aap jaise hi koi Music pic karenge to aapko uss Music pe video shoot karne ko bolega aur aapke samne automatically video shoot ka option aajayega. Wahapar bhi aapko kuchh options dikhega jisska aapkk achhe se use karenge to aap kafi achha musically video bana payenge. Options kuchh istarha ka hoga aap screenshot me bhi dekh sakte hai.
- Epic :
Aap iss epic option ko bhi use karke dekh sakte hai ki iss option me kiss type ka video banta hai.
- Slow :
Aap iss option ko select karke video banayenge to aapka video slow hojayega aur music waise ki waise hi rahega to music ke sath video ki achhi combination nahi banega.
- Normal :
Iss Normal ke option par click karke lagbhag aap apna ek thik thak musically vidoe bana sakte hai.
- Fast :
Ye option thik hai iss option ko select karke musically video banayenge to aap kafi achhe video bana sakte hai. Issme kya hota hai ki aapke music ya fir dialogue jo hoga wo kafi slow play hoga to aap achhe se ussme act kar sakte hai. Agar aapse thoda bohot mistake bhi hota hai to musically app automatically video ko music pe mila dega.
- Lapse :
Ye bhi ek achha option hai aap issko select karke apne lips wagera milakar ek achha professional musically video bana sakte hai.
Note :
Aapko bichme ek red color ke video ka icon dikhega to aapko usspar continuously click kare rehna hai tabtak jabtak aapke dialogues khatam na hojaye yani aapka musically video jabtak shoot na hojaye.
-> musically vidoe banjane ke badh aapko ek video ka name dalna hota hai. Aap video me #tag bhi laga sakte hai. Aapko right side me video cut, rotation , time , delete ye sab option bhi milega aap insab ko bhi use kar sakte hai. Aap timer lagakar bhi video bana sakte hai.
-> fir aapko ek private ka option dikhega aur ek post ka to aap video ko kisiko dikhana nahi chahte hai to aap private karke save kar dijiye. Ya fir aap chahte hai ki aapka video sabhi log dekhe to aap post par click kar dijiye. Aap chahe yo share bhi kar sakte hai.
# Shoot First :
Aap + ke option par click karenge to aapko ek shoot ka bh option dikhega to aap waha se bhi video ko shoot kar sakte hai.
# From Gallery :
Aap chahe to apne gallery se bhi apne video ko upload kar sakte hai musically app me.
# ulta Z notification icon :
Yaha par ek ulta z ka option dikhega aap usspar click karenge to dekh payenge ki aapke videos par kitne like aur comment aaye hai.
# My Profile option :
Iss option par click karke aap apne profile ko kafi achhe se manage kar sakte hai. Apna details wagera de sakte hai.
Also See :
∆ Paytm account ko permanently delete ya deactivate ya fir block kaise kare
∆ Short Time Study Tricks : 1 din | 1 week me exam ki tyari kar exam me top kaise kare
∆ Deleted google gmail account ko firse recover | restore kaise kare full details
∆ Bina Password Ke Wifi Connect Aur Share Kaise Kare QR Code Ke Help Se
Ladki sath apna duet video kaise banaye - musically video :
Agar aap ladki ke sath apna video rakhna chahte hai to aap ussi dialogue pe kisi ladki ko bolna hoga ki aap iss dialogue pe ek apna video bana dijiye fir send kar dijiye. Ya fir aap musically app me se hi kisi ladkika video download kar lijiye aur uss dialogue par ek apna bhi video shoot karlijiye. Fir aap kisi ek achhe video Editor se dono videos ko dono side me stich ya i join kar kardijiye jiss tarha se aap video banana chahte hai. Video editing ke aise bohot se application hai jisse aap dono videos ko ek sath stich kar sakte hai. Aap chahe to viva video , vid stich , power director etc. Aise koi bhi video editing software se apne dono videos ko ek sath stich kar sakte hai par vid stich kafi achha aur easy hai use karne me. Aap vid stich ko use karke dono videos ko asani se stich kar sakte hai aur apna ek duet video tyar kar sakte hai. Fir aap use kahi par share bhi kar sakte hai social media wagera kahi par ya fir aap sidha apne phone me bhi save kar sakte hai.
How to find bollywood dialogue in musically app :
Aap musically app me bollywood dialogue bhi khoj sakte hai par kafi logon ko jyada bollywood dialogue easily nahi mil raha hota hota hai. Aapko musically app me popular video me dikh jayega bollywood song ya dialogue bhi. So aap sidhe wohi se bhi bana sakte hai. Ya fir aap search baar me search kare Hindi dialogue , bollywood dialogue to bhi sayad aapko milsakta hai. Ya fir koi bollywood pe apna duet video banya hai to aap sidhe wohi se bhi uss dialogue par ek apna duet video bana sakte hai process maine upar bata hi di hai. Musically app me bollywood song ya dialogue kaise search karte hai wo mai aapko kisi dusre post me details me bataunga.
Mujhe lagta hai niche diye gaye lagbhag sabhi musically app se related sabalon ka jabab aapko iss post me dekhne ko mil gaya hai. Aur jo reh gaya hai mai ussko kisi aur post me jarur cover karunga.
musically app how to use , how to use musically app in hindi , musically app for pc , musically online , musically app videos , musical.ly online login , download musically videos , new musically update 2018 , musically login with instagram , musically app का इस्तेमाल कैसे करे। etc. Dosto agar aapko iss post se thoda sa bhi kuchh sikhneko mila hai to aap isse subscribe aur apne dosto ke sath facebook , twitter jaise social media par share karna mat bhuliye. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to iam sorry. Issi tarha aap hamare blog howtohelpinhindi.blogspot.com blog visit karte rahiye.
Thank you for visit