HOW TO RECOVER DELETED FILES like photos,videos,musics,apllications etc ON ANDROID IN HINDI
Namaskar dosto aap sabhiko mere blog bahut bahut swagat hai. Aaj mai aap sabko batane bala hu ki apne android phone me deleted files like videos, pictures, musics, software etc. Kaise firse recover kare yani wapis laye. Pehle ye sirf computer pe hota tha ab technology itna aage badhgaya hai ki ab aap apne android phone par bhi deleted files ko recover kar sakte hai wo bhi free me.
ALSO READ-
Android phone me deleted files ko recover kyu kare
Dekhiye kaibar ham apne phone me se koi videos, images, pictures, musics ya fir software jo ki hamare phone par bina kam ke pade hote hai ham usse delete kardete hai. Ya fir ham apne mobile koi achha videos ya fir lene ke liye ham apne phone par pade videos, musics, images ya kisi software ko delete kar dete hai. Aiseme kya hota hai hamara koi important ya koi yadgar videos, images, musics ya software delete hojata hai aur fir ham absos karne lagte hai yar ye kaise delete hogaya.
Fir ham soch rahe hote kash koi aisa bhi tarika hota jisse ham apne deleted files ko recover kar pate. To dosto ab aapko Aisa kuchh sochne ki jarurat nahi hai. Aaj mai aapsabko ek aisa tarika bataunga jisse use karke aap apne phone me deleted files ko firse recover kar payenge.
ALSO READ-
Apne android phone par deleted files like videos, images, musics, software etc. Ko kaise recover kare
Agar aap apne deleted files ko firse recover karna chahte hai to aapko ek application download karna hoga. Application ka naam hai Dumpster aap isse play store se download kar sakte hai. Aap niche icon bhi dekhsakte hai ya fir niche digayi download link par click karke download kar sakte hai. Aise to internet par kai application miljayega jisse aap apne android phone par deleted files recover kar sakte hai. Par mai aaj Dumpster ke bareme hi batane bala hu kyuki ye kafi badhiya application hai. To chaliye details me samajhte hai.
1. Sabse pehle aap apne android phone par Dumpster application ko install karlijiye fir usse open kijiye.
2. Aap niche picture me dekhenge to ek left side me 3 line hoga jaha par likha hoga Dumpster All aap uspar click karke image, videos, music, software etc select kar sakte hai.
Aise me kya hota hai agar aap image select karenge to sirf delete huyi image ko hi recover kar payenge. Agar aap software select karnge to aap sirf software ko hi recover kar payenge.
Par mai aapko suggest karunga aap all hi rehne dijiye ya fir all select kijiye jisse aap kuchh bhi delete hone par recover kar payenge.
3. Test karne ke liye ab aap apne phone me se kisi bekar images, videos, misic ko delete kar lijiye ya fir kisi software ko uninstall kar lijiye.
4. Fir aap Dumpster open kijiye ab aapko waha par wo sare files dekhega jo aapne delete ki hai. Agar aap just kisi bade file ko delete ki hai to usse Dumpster me aane me thoda time lagata hai.
5. Ab aap jis file ko recover ya re install karna chahte hai aap usse open kijiye.
Open hone ke badh agar aap sare deleted videos me se kuchh hi important files ya videos recover karna chahte hai to right side me ek check mark yani tick ka sign hoga aap usspar click karke select karlijiye aur restore ke button par click kardijiye.
6. Agar aap ek ek karke recover karna chahte hai to sirf ussi files ko open kijiye jisse aap recover karna chahte hai. Fir aapko niche ek restore ka button hoga aap uspar click kardijiye.
7. Agar aap apne sabhi filesko ekhibar me restore karna chahte hai to files open karke restore all par Click kardijiye fir aapka sara files firse aapke phone me aajayega jo aapne delete ki thi.
Waha par ek delete ka bhi option hoga aap chahe to usse delete bhi kar sakte hai. Ya fir share ke button par click karke apne files ko kahi par share bhi kar sakte hai.
Sabse pehle Dumpster application ko open kijiye. Fir left side me Dumpster likha hoga uske just left side me 3 vertical line hoga aap uspar click kijiye. Fir hoga empty Dumpster ka option usspar click kijiye. Fir empty ka button aayega uspar click kardenge to aapke sabhi files Dumpster me se delete hojayega.
To dosto hamne bahut hi aasani se sikh li hai ki apne android phone me deleted files ko kaise fir se recover kare.

Note- Agar aapne apne deleted files ko recover ya fir reinstall kar li hai to Dumpster me jitne bhi bina kam ke files pade hai usse delete kardijiye fir aapka phone memory khali hojayega.
ALSO READ-
Dumpster me sabhi files ko ekbar me kaise delete kare-
Sabse pehle Dumpster application ko open kijiye. Fir left side me Dumpster likha hoga uske just left side me 3 vertical line hoga aap uspar click kijiye. Fir hoga empty Dumpster ka option usspar click kijiye. Fir empty ka button aayega uspar click kardenge to aapke sabhi files Dumpster me se delete hojayega.
To dosto hamne bahut hi aasani se sikh li hai ki apne android phone me deleted files ko kaise fir se recover kare.
ALSO READ-
To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.