Biography Of Facebook Ceo Or owner Mark Zuckerberg Success story in hindi


Facebook ceo or owner Mark Zuckerberg biography or success story in hindi



Namaskar dosto aap sabhiko mere blog howtihelpinhindi.blogspot.com me swagat hai.
Aaj mai aapsabko batane bala hu ek aise kamyab insan ke bareme jinhone bahut jald iss duniya ko badaldi hai. Itne kam age me itna bada kaam karna sab ke baski baat nahi. Iss duniya me paida to bahut se log hote hai par kuchh log duniya badalne ke liye hota hai. Aaj ham janenge facebook ke ceo yani owner Mark Zuckerberg ke bareme.


Mark Zuckerberg ek aise insan ka naam hai jisse aaj duniya janta hai. Haan wohi Mark Zuckerberg jinhone facebook banaya tha. Aaj ham inke biography ke bareme janenge. Aaj kal dosto ham jaise bahut sare yuwa facebook ke ceo Mark Zuckerberg ki tarha banna chahte hai. Ji haan dosto aur agar insan chahe to bahut kuchh kar sakta hai. Bas ham me karne ki lagan aur interest honi chahiye. Aakhir Mark Zuckerberg bhi to ek insan hi tha aur fir ham bhi to ek insan hai. Insan agar chahe to kuchh bhi karsakta hai.

Biography Of Facebook Ceo Or Owner Mark Zuckerberg in hindi :-


To chaliye dosto ham jara Mark Zuckerberg ke upar najar dalte hai. Facebook ki chairman Mark Zuckerberg ka janam 14 may 1984 me huwa tha. Mark Zuckerberg ko bachapan se hi computer me bahut jyada interest tha. Bachpan se hi wo programming likhne laga tha. Unke pita unko computer programming me kafi help karta tha. Par Mark Zuckerberg ka dimag itna talent tha ki unke kuchh questions ka jabab unke pita ko bhi nahi pata hota tha. Fir unke pita ne Mark Zuckerberg ko ek achhi knowledge dene ke liye ek teacher ko bulaya. Wo teacher har roj Mark Zuckerberg ko computer programming sikhata tha. Kai baar to mark apne questions se apne teacher ko bhi hairani me par deta tha. Mark ki talent ko iss baat se bhi pata lagaya ja sakta hai ki. Mark to programming me kafi mahir thi hi fir jake unhone 12 years ke umer me hi ek Zuck Net naam ka messenger banaya. Jisse unke pita ko clinic me kafi help milta tha.

Zuck Net messenger ka isstemal wo apne gharse apne pita ke office me baat karne ke liye  karta tha. Dosto Mark dusre bacho ke compare me kafi jyada talent tha computer ki duniya me. Jiss age me bachhe computer pe game khelna sikhta tha uss age me Mark Zuckerberg game banata tha. Ab aap andaja laga sakte hai ki wo kitna interested tha computer me. 


Fir wo  Howard University me admission leliya. Waha par bhi unke talent ka kafi charcha hone laga. Unke intelligence ko dekhte huye logo ne unhe programming expert ke naam se bhi bolane laga. Ab ham ye jante hai ki aakhir unhone facebook ke bareme kab socha. Dekhiye jab wo college me padhte the tab ek facebook naam ki ek book huwa karta tha. Jisme college ke sabhi student ke photo aur unka details hota tha. Iss book ko dekhne ke badh Mark ne kuchh isi tarha sochkar ek facemash naam ki website banayi. Iss website me khaskar Mark apne college ki ladke aur ladki ki photos aamne samne rakhakar logo se puchha karta tha ki sabse jyada hot kaun hai.  Iske liye photos ye apni college ki ek site ko hack karke lati thi jo ki uss samay inke college me wo site kafi popular bhi tha.

Ab Mark ka ye website college me kafi famous hogaya. Par kai ladkiyon ko ye sab pasand nahi aaya aur wo jake complaint kardi. Aur fir Mark Zuckerberg ko isske wajah se bahut dat bhi khaana pada. Fir  4 February 2004 me jakar Mark Zuckerberg ne The Facebook naam ki ek website banayithi. Website banane ke badh wo apne college ke friends ko apne website me registration karbaya kartha tha. Issi tarha usska banaya huwa The Facebook naam ki website Howard University me kafi famous hogaya. Fir badhme jakar dusre university ke students bhi iss website ko pasand karne lage. Fir Mark Zuckerberg ne socha ki ab iss site ka sirf students hi nahi balke sare duniya isska use karega.

Fir Mark Zuckerberg ne apne site ko universities ke alaba world me famous karne ke liye unhone ek team banaya aur kafi mehanat usspar ki. Fir 2005 me jakar unhone The Facebook naam ki website ka naam baldi aur fir ussa naam sirf Facebook kardiya. Aur facebook ki colour unhone blue isliye di thi kyun ki unhe blue colour kafi achhi tarha dikhta tha.


Saal 2007 tak facebook par lakho business page aur profile ban chuke the. Fir Mark Zuckerberg ko laga ab wo samay aagaya hai facebook ko duniya pe raaj karbane ki. 2011 me facebook duniya ka popular website me chinhe jate the aur Mark Zuckerberg ne apne kadi mehanat aur lagan se internet ki duniya me ek alag hi pehchan bana li thi. Taajub ki baat ye hai ki jab Mark Zuckerberg ne facebook  ki website banayi thi uswak wo sirf 19 years ka tha. 

Dosto aajke duniya me facebook kaun nahi use karta hai. Facebook company ne itna success pa li hai ki wo aaj top 10 me se ek badi popular site ke roop me dekhejate hai. Aur Mark Zuckerberg bhi duniya ke top billionaire me chinhe jate hai. 

Dosto mai aapko kuchh baaten batana hi bhul gaya Mark Zuckerberg ka Janam White plains, New york me huwa tha. Mark ka full name Mark Elliot Zuckerberg hai.  Unka home town Dobbs ferry, new York hai. Mark Zuckerberg ka occupation computer programmer, internet interpreneur hai. Mark ka new worth US $ 58.6 billion hai. Inka 1 children bhi hai. Ye khud facebook ka chairman aur Ceo bhi hai.


Note :-  Dekhiye dosto ye mujhe 100% nahi pata hai ki ye sab kitna sahi aur kitna galat hai. Mujhe inke bareme jitna jankari tha wo maine aapke sath share kardi taki aapko bhi inke bareme kuchh pata chale ya fir hosakta hai. Aapko mujhse bhi jyada inke bareme pata ho agar hai to aap bhi apna jankari comment box me bata sakte hai ya fir hamare facebook page me message karke bhi bata sakte hai.


Aur haan dosto agar aapko yeh post achha laga ho to please hame comment karke jarur bataiye. Aur isse apne dosto ke sath facebook,twitter aur whatsapp jaisi social media par jarur share kijiye. Taki dusro ko bhi aap ki wajah se kuchh sikhne ko mile. Ham aapke liye issi tarha aur bhi naya naya post lekar aate rahenge bas aap sab pyar aur sath chahiye.



Also Read:-


Part - 2 padhneka aur padhahuwa 100% yaad rakhne ka top 10 remembering methods


Gmail account me auto reply setup kaise kare | gmail vacation responder kya hai



Google or gmail ka profile name kaise change kare full details hindi me



Hamara naye naye post padhne ke liye site ko subscribe jarur kijiye aur facebook page ko like jarur kijiye.

Like our Facebook page

HOWTOHELPINHINDI


Go To Home


Thanks for visit HOWTOHELPINHINDI.blogspot.com

Gmail account me auto reply setup kaise kare | gmail vacation responder kya hai


How to send or set up out of office auto reply or auto vacation responder on your gmail or google account in hindi ?



Namaskar dosto aap sabko mere blog howtohelpinhindi.blogspot.com  me swagat hai. Aaj mai aapko batane bala hu ki google mail yani Gmail me auto email reply kaise set up karte hai. Gmail ka ye feature bhi hamare liye kafi badhiya sabit huwa hai. To chaliye isse pehle ham janlete hai ki auto responder ya vacation responder ya fir out of office kya hai. Isse related aur bhi aise kai post hai hamare website pe aap wo bhi sakte hai. Mai aapko niche post ka link de raha hu. Aap post ko sabse neche ek view web version ka option hoga aap uspar click karke padhiye taki aapko category bhi dikhega. Matlab computer version hojayega so sab kuchh dikhega.

Also Read :-


Part-1 Padhne ka ya Padha huwa 100 % yad yani remember karne ka 10 tarika



Apne facebook timeline me logo ko post ya tag karne se kaise roke full deatails



What is auto responder or vacation responder or out of office or auto reply in hindi??


Dekhiye auto responder or vacation responder or out of office ya fir auto reply ye sab ek hi chij hai. Bas insab ka naam farak farak hai but insab sab ka meaning ek hi hai. Par aakhir ye gmail auto reply hai kya. Dekhiye auto reply yani out of office ya fir vacation responder ye ek gmail ka feature hai. 

Aajkal to gmail account ka use har koi karta hai chahe wo personal use ke liye kare ya fir kisi office, blogging, mailing etc. Aise bahut si reason hai jiske wajah se ham Gmail ka istemal karte hai. Dekhiye agar aapka koi office ke gmail account hai aur uss account me hamesa koi na koi mail aata rehta hai. Kai bar kya hota hai aapka office 1 hapte ya fir 2 hapte ke liye kisi wajah se band hojate hai. Khashkar school aur college me aisa akshar hota hai vacation chhuti. 

Aise me aapko koi mail karta hai to aap unka reply nahi de pate hai. Agar aap blogger ya youtuber hai to aap ke sath bhi kabhi kabhi aisa hota hoga. So agar aap kisi ke email ka reply nahi depate honge to wo person thoda naraj ya dukhi sa hojata hai aur phir wo aapse ummid nahi rakhte hai. Par unhe reality pata hi nahi hota hai ki ham avi busy hai ya fir kahi bahar hai. Aise wakt ke liye google ne apne gmail user ke liye ye feature provide ki hai.


How to use and set up auto gmail reply in hindi??


To chaliye ham jan lete hai  ki ham iss feature ko kaise use kare.  Aur apne apne gmail me ye auto vacation responder feature ko kaise set kare.

1. Sabse pehle aap apne browser me jakar apne uss gmail account me login karlijiye jisme aap auto reply lagana chahte hai. Aap gmail.com par click karke bhi login karsakte hai.

2. Apne gmail account me login karne ke badh aap ko right side ek setting ka icon dikhega aap uss icon pe click kardijiye. App niche picture me bhi dekh sakte hai.



3. Fir aapke samne kuchh options dikhega unmese ek option setting ka hoga to aap setting ke option pe click kijiye.

4. Usske badh aapke samne bahut sare option aajayega fir sabse niche scroll karenge to aap ek auto reply or out of office ya auto responder ya fir vacation responder ka option dikhega.

Aap auto reply ke right side me dekhenge to aap ko kuchh iss tarha ka option dikhega.

# Out of office auto reply Off

# Out of office auto reply On


Aapko indono option me checkmark karneka box dikhega. Hosakata hai aapko auto reply ke jagah par vacation responder off/On likha huwa dikhe indono ka matlab same hi hai.

5. Gmail pehle se isse auto reply Off me checkmark kiye honge. To aap Out of office auto reply On ya vacation responder on bale option me checkmark yani tick kardijiye.



6. Fir aapko first day and last day ka option dikhega aap ussme apna date select karlijiye.


# First day :-


Date me aap first day me ye select kijiye ki aap kiss date se chhutti lene bale hai ya fir kisi kam se bahar jane ke wajah se gmail nahi use karne bale hai. To date me aap day,  month aur year select kijiye.

# Last day :-


Issme aap ko last day select karna hoga matlab aap kitne dinke ke liye chhutti le rahe hai. Matlab aap kitne din tak gmail use nahi karne bale hai. So aap last day  me bhi day, month aur year select kijiye.

7.  Subject


Ab niche aapko ek Subject ka option dikhega. Aap usme subject likhdijiye ki aap kyun nahi gmail par active rahenge jaise ki maine likha hai celebrating vacation kyun ki mujhe chhutti pe jana hai. Aise hi aap bhi apna subject likh sakte hai. Aap picture me bhi dekhsakte hai.


8. Message :-


Ab aapko apna message likhna hai jo aap auto reply me kehna chahte hai. To aap iss message ke option me apna message likhdijiye jo jo aap auto reply me kehna chahte hai. Jaise ki maine likha hai demo ke liye.

 Sorry mai avi 4 din ke liye chhuti pe hu isiliye abhi appka reply nahi de sakta. Fir bhi mai bahut jald aapke email ka reply dene ka kosis karunga. Thanks for email us.

9. Ab aapko niche ek option dikhega,


# Only send a response  people in my contacts :-


Aapko iss option me ek checkmark ka bix dikhega ussme check yani tick karna hai. Agar aapko auto reply sirf apne contacts balo ko dikhana hai to aap check yani tick kardijiye. Agar aap chahte ki ye auto reply sabko dikhe to aap isse aise hi chhod dijiye. Issme check nahi kijiye.


10. Save changes :-


Ye jo last option hai save changes iss pe click karne se pehle aap ekbar apne message aur date ko achhi tarha se check karlijiye. Aur auto reply On karna mat bhuliyega. Sab sahi se hojane ke badh aap save changes ke button par click kardijiye. Aba aapka auto reply yani auto vacation responder aapke gmail me set hogayega.


Agar aapko gmail me auto reply band karna hai to aap auto reply ya fir auto vacation responder ko off karke save kardijiye. Fir aapka G-mail me se auto reply band hojayega.


Also Read :-



Google or gmail ka profile name kaise change kare full details hindi me


Email kya hai?/what is email? Email ki puri jankari hindi me




Aur haan dosto agar aapko yeh post achha laga ho to please hame comment karke jarur bataiye. Aur isse apne dosto ke sath facebook,twitter aur whatsapp jaisi social media par jarur share kijiye. Taki dusro ko bhi aap ki wajah se kuchh sikhne ko mile. Ham aapke liye issi tarha aur bhi naya naya post lekar aate rahenge bas aap sab pyar aur sath chahiye.

Hamara naye naye post padhne ke liye site ko subscribe jarur kijiye aur facebook page ko like jarur kijiye.


Like our Facebook page HOWTOHELPINHINDI


Padhai karne ke liye kaunsa sa time best hai day or night study tips in hindi

What is the best time to study day or night in hindi? | Study Tips




Namaskar dosto aap sabko mere blog howtohelpinhindi.blogspot.com me swagat hai. Aaj ka ye post students ke liye hai. Dekhiye ham jaise bahut students iss baat ko lekar confused rehta hai ki ham day me padhe ya fir night me. Kaunsa time hamare liye better hoga. Aksar ham iss baat ko lekar chintit rehte hai. Fir ham aise kai success ya talent students se ya fir teacher se bhi puchhte hai ki aare tum kab padhte ho. Subhah jaldi uthkar padhte ho ya raat ko der raat tak padhte ho. Ham teacher se bhi yahi sabal puchhte rehte hai ki sir ham subha uthakar padhe ya fir raatko. In problem ka solution to har koi batata hai. Jyadatar log hamse yahi kehte hai ki subhah subhah uthkar padho. Kyun ki ham subhah sokar uthte hai to hamara mind kafi fresh hota hai iss wajah se ham jaldi samajhlete hai. Haan ye bhi sahi hai.


Ussi me koi hamse kehta aare yaar raat ko der raat tak padho. Ya fir puri raat padho kyun ki raat to apna hota hai. Dinka sara samay idhar udhar me hi nikal jata hai hai. Din me hamare family hote hai hame kaam pe lagane ke liye. Koi dost aajata hai hame kahi jaane ke liye ghar pe bolane to ham bhi kahi chale jate hai. Aise me ham confuse hojate hai ki ham kiss time par padhe din me yaa raat me.


Dekhiye suniye sabki par kariye sirf apni jo aapko achha lage. Sabblog ek jaise nahi hote hai. Kisike pass der raat tak jagne ka chhamta hota hai. To kisiko raat ko bahut jaldi sojane ka. To ab aapko lagta hoga ham kab padhe subhah ya fir raat ko.


Din me padhe ya fir raat ko kaunsa study tine better hoga??


To chaliye ham aapko day aur night karke 2 part me alag alag samjhate hai.


# Day Study :-


Dekhiye ye bhi ek  bahut hi badhiya time hai study ke liye. Agar aapka class morning me chalta hai to mai aapko suggest karunga day study karne ki. Agar aapka class morning hai aur agar aap der raat tak padhenge aur subhah jaldi nahi uthpawoge aur jahir si baat hai aapka class kafi chhutega. Kai din aap subhah jaldi na uthne ke wajah se class late kar jawoge fir aapko waha par bhi daat milega. Late hone ki wajah se teacher ke gaali sunna padega fir aap thoda irritate hojaoge. Usske hadh kitne din aap late ki wajah se class chhod denge.

Agar aap class time par chale bhi jate ho to aapko class me nind aanelagega aur kuchh achhi tarha se samajh nahi pawoge. So mai suggest karunga agar aapka class morning hai to aap day study hi kare. Isske liye aap raatko thoda jaldi sojaiye aur subha jaldi uthkar padhiye. Din ke time aapke liye kafi important hai so jyada idgar udhar me mat bitaiye. Jitna hosake time ka sadupyog kijiye.



Subhah uthakar padhne se hame kafi benifits milta hai. Subhah subhah hamara grasping power kafi jyada hota hai jisse ki wajah se ham bahut jald kuchh samajh lete hai. Mind bhi fresh hota hai.


# Night Study :-


Night study bhi bahut si logo ke liye kafi badhiya sabit huwa hai. Agar aap night me padhte ho to aapke pass kafi sara time hota hai study karne ke liye. Kehte haina Din sabka aur raat apna ji haan dosto aapko raat ko koi nahi disturb karne bala hoga aap santi se padh sakte hai. Jaise subhah hone lagta hai log bhi jagne lagte hai fir disturbance chalu hojata hai. Aur raat ko khaskar aisa khuchh nahi hota hai. Na to koi aapko koi kaam karne ko bolega aur nahi aap social media pe jyada chatting me time barbad karoge. Kyun ki der raat ko sab online se chale jate hai. Aur agar aapka day class hai to aapke pass padhne ke liye din me kafi jyada time nahi hoga. So aap raatko padh sakte hai.

Agar aapka exam ka time aagaya hai aur koi bolta hai ki mai suvah jaldi uthkar padhta hu tum bhi padho to aap aisa mat kijiyega. Kyuki jahir si bat hai raat ko 2 bajetak padhne bala student suvah 4 baje uthkar padhe to wo bimar padega hi. So kisike kuchh kehne ke wajah se apna schedule mat change kariyega. Kyuki aadat badalne me kafi sara time lagta hai. Par haan agar aapko apna schedule day me karna hai to thoda dhire se kariyega warna aapka tabiyat bhi kharab hosakta hai.

Maine tv pe ad dekha tha Sahrukh khan ka tha. Jissme sahrukh khan ye kahe the ki jab duniya soti thi to mai jagta tha khudko hi syabasi deta tha aur khudko hi dat ta tha. Ye mujhe  kafi pasand aaya.


Dekhiye dosto kuchh pane ke liye ham ko kuchh khona padta hai. So suniye sab ki aur kare sirf apni jo aapko achha lage. Main ye nahi kehta ki aap mere hi bataye huye raste pe chaliye. Aapko jo achha lagta hai aap wohi kijiye.



Note :-
Ham kisiko hamare bataye huwe tarike ko jabardasti kisiko follow karne ke liye nahi bolte hai. Iss site ka maksad kisiko kuchh karne ke liye force karna nahi hai. Ham yaha par jo kuchh bhi bata rahe hai sab knowledge ke liye baki aapko jo achha lage wo kijiye.


Aur haan dosto agar aapko yeh post achha laga ho to please hame comment karke jarur bataiye. Aur isse apne dosto ke sath facebook,twitter aur whatsapp jaisi social media par jarur share kijiye. Taki dusro ko bhi aap ki wajah se kuchh sikhne ko mile. Ham aapke liye issi tarha aur bhi naya naya post lekar aate rahenge bas aap sab pyar aur sath chahiye.

Hamara naye naye post padhne ke liye site ko subscribe jarur kijiye aur facebook page ko like jarur kijiye.

Like our Facebook page HOWTOHELPINHINDI


See All Post click here 

All Post


Part - 2 padhneka aur padhahuwa 100% yaad rakhne ka top 10 remembering methods

How to do study ? How to remember 100% what we learn Top 10 methods in hindi part -2



Namaskaar dosto aap sabhiko mere blog howtohelpinhindi.blogspot.com me ekbar firse swagat hai. Aaj  ham padhai karneka tarika aur padhahuwa 100% yaad rakhne ka un sabhi 5 tariko ke bareme janenge jo agle din nahi bata paya tha. Agar aapne hamare agle post nahi padhe hai to ekbar jarur padhlijiye. Kyu ki kyuki isska aadha part usime hai. Niche digayi link par click karke. 




To chaliye ham jan te hai part 2 ke bareme. Agar aap mobile se padhrahe hai to aap thoda jyada niche dekhenge ek view web version ka option hoga aap usspe click karke computer version me padhsakte hai. Hosake to aap web version me padhne ki kosis kijiye aapko sabhi chij show hoga aur tags yani catagory bhi dekhega. Fir aap catagory yani folder ko open karke aur bhi apne pasand ka post padhsakte hai.

Padhne ka tarika ya padha huwa 100% yaad rakhne ka tarika part - 2



6. Break between study sessions :-


Kai bar ham ghanto to padhte hai par uss padhai ka koi labh nahi hota hai. Matlab koi output nahi aata hai. Ham padhne ke liye to 3-4 ghante continue padhte hai par importance ye hai ki ham sikhe kitne hai. Ek research ke anusar hamara mind 50-52 minutes tak concentrate hota hai. Uss ke badh concentration kam hojata hai. So aap padhte hai to 40 ya 50 minutes ke bich me ek chhota sa 5-10 minutes ka break jarur lelijiye. Aur break ke time bhi hosake to mobile se dur hi rahe. Break ke time kya kare isske bareme bhi ham kisi post me details me batayenge.

7. Freshing or meditation break :-


Agar aap break le rahe hai to mobile se jitna hosake dur hi rahe. Aur Agar aap mobile use kar bhi lete hai to social medai jaise ki facebook,twitter,whatsapp aur instagram se dur hi rahe. Kyuki thoda thoda karke insab me bahut time waste hota hai. So aap iss break ke time me meditation kijiye ya fir fresh hokar padhne baithiye. Par yaad rahe break bahut jayada samay ka nale. 10 minute ka break thik rahega.

8. Revision note :-


Aap padhte samay important aur difficult question ya topic ka summary banaye. Hosake to important topic me highlight kardijiye isse revision ke time aapko kafi help milega. Kam samay me jyada revision karpayenge. Aap chahe to apne phone me bhi important topic ka photo lekar kabhi bhi dekhsakte aur usse samajh sakte hai. Mobile ka upyog kijiye durupyog nahi.


9. Revision at the end of the day :-


Ye ek student ke liye bhut hi important chij hai. Aap kitne bhi kyun na padhlijiye agar aap usse revision nahi karenge to aap usse bahut jald bhul jayenenge. So agar aap din ke 14 ghante padhte hai to unme se 2 ghante chhodkar 12 ghante padhiye. Ye jo 2 ghanta bachta hai isse aap revision ke liye chhod dijiye. Aap dinke end me aapne un 12 ghanto me jitne padhe haii unsabhi ko in 2 hour me revision kijiye. 

Agar aap dinke end me revision karenge to aap bahut jald hi usse samajh jayenge kyuki wo topic aapne ussi din padha hoga. Revision note yani summary aap padhte samay banaye hi honge so aap kam samay me bahut jyada revision kar payenge. Par padhte samay aur revision karte samay fully concentrate hone ki kosis kijiye.

Revision ke bareme mai kisi aur post me  bahut jald details me batane ki kosis karunga. 


10. Space Repetition :-


Ye bahut hi important topic hai lagbhag sabse jyada important. Issme hame ye sikhne ko milta hai ki padhe huye topic ko longtime tak kaise yaad rakhe. Ye revision pe aadharit hai issiliye ham isse kisi agle post bahut hi details se samjhane ki kosis karenge. Wo post available karte hi aapko uss post ka link yaha pe daldunga.


To dosto mai ummid karta hu ki isse aapko jarur kuchh sikhne ko mila hoga. Issme 100% remembering hai iska matlab ye nahi ki aap jitne padhenge wo sab remember hojayega. Par haan aap maximum padhahuwa remember karloge.


Note :-

Ham kisiko hamare bataye huwe tarike ko jabardasti kisiko follow karne ke liye nahi bolte hai. Iss site ka maksad kisiko kuchh karne ke liye force karna nahi hai. Ham yaha par jo kuchh bhi bata rahe hai sab knowledge ke liye baki aapko jo achha lage wo kijiye.

Aur haan dosto agar aapko yeh post achha laga ho to please hame comment karke jarur bataiye. Aur isse apne dosto ke sath facebook,twitter aur whatsapp jaisi social media par jarur share kijiye. Taki dusro ko bhi aap ki wajah se kuchh sikhne ko mile.

Hamara naye naye post padhne ke liye site ko subscribe jarur kijiye aur facebook page ko like jarur kijiye.


Read All study Realted Post


Read All Post


Like our Facebook page
HOWTOHELPINHINDI



Thanks for visit howtohelpinhindi.blogspot.com

Part-1 Padhne ka ya Padha huwa 100 % yad yani remember karne ka 10 tarika

Study and 100% remembering top 10 methods in hindi part -1




Namaskar dosto aap sabhiko mere blog howtohelpinhindi.blogspot.com me swagat hai aaj ka hamara ye post students ke liye hai. Aaj ham  janenge ki padha huwa chij ko 100% yaad yani remember kaise kare. Dekhiye Ham sab students ke paas lagbhag same hi reason hote hai. Ham sab padhte to hai par usse achhi tarha se samajh nahi pate ya fir usse yaad nahi rakh pate.

Padhte to sabhi students hai par padha huwa chij sab log yaad nahi rakh pate. Aaj ham padhte 2 din 3 din badh usse vul jate hai. Koi 1 hapte baadh to koi 1 mahine badh to koi exam ke time bhool jata hai. Bhulte to har koi hai bas kisi kisi ke pass padhe huwe chij ko yaad rakhe ki tarike hote hai. Agar ham koi padha huwa chij bhul jate hai aur kisi ko yaad rehta hai to hame lagta hai ki hamara mind jo hai wo kamjor hai. Par bilkul bhi nahi bhulte wo log bhi hai bas wo tarike lagakar padhte hai jisse usse padha huwa chij yaad reh jati jati hai.

Dekhiye hamesa hamne ye suna hai ki hard work jyada smart work karna chahiye. Ab iska matlab ye nahi ki hard work nahi karna chahiye. Par aap jitne hard work karte ho utne smart work karoge to aap bahut jald apne manjil me kamyab hojayenge. To chaliye aaj ham jante hai ki padhai me kaise hard work ke sath sath smart work kare.

Aajka ye post issi topic par hai ki padha huwa chij ko yaad kaise rakhe. To chaliye ham kuchh points me jan lete hai ki padha huwa chij remember kaise kare.

Padha huwa chij yaad yani remember karne ka 5 tarike -


1.  Reading And Recite:-


Aap 30% afford reading me lagaye aur 70% apne aapko sikhane me. Par haan padhte wakt fully concentrate hokar padhe.

Ab apne aapko padhai me fully concentrate kaise kare iske bare mai kisi aur articles me details me bataunga.

Kisi bhi insan ka ek achha teacher wo khud hota hai. Log aapko jitna bhi sikhane ki kosis kyu na karle jab tak aap khud nahi sikhana chahenge aapko koi nahi sikhasakta. Isiliye aap apne aapko ek teacher ki tarha guide kijiye.

Agar aapke pass koi topic padhne ke liye 1 hour time hai to aap 30 miutes usse padhne me dijiye aur baki ke 40 minutes usse samajhne aur bolne aur sikhne ke liye dijiye.


2. Visualisation/pictures


Aap padhte wakt apne topic ko kisi videos ya pictures ke sath jod dijiye. Isse kya hota hai hai hame koi bhi padha huwa chij aasani se yaad hojata hai aur ham usse jaldi bhulte bhi nahi.

Manlijiye agar aapko Pura ramayan first book me padhkar bolbe kehta to aap jyada kuchh ramayan ke bare me nahi bata pate. Ussi Ramayan ko hamne video me dekhkar iss tarha itne kam samay me yaad karli hai ki usse ham sayad hi bhool payenge. Hame kahi se bhi puchhe to ham uske bareme bata sakte hai.

3. Memory Technique :-


Agar aapko kisi bhi topic ko yaad karne me koi problem hota hai. To aap is technique ko apna sakte ho. Iss technique me aap apne tarike se kisi bhi topic ko samajhne be liye short me koi trick apna sakte ho. Jaise ki koi word aapko yaad karne ke bolde to aap un sabhi word ke first word jod kar koi easy word banakar bhi yaad rakhsakte hai.

Jaise ki maan lijiye aapko 1 atom me hota hai proton,electron and neutron. Aapko ye 3 word yaad rakhana hai aap sabhibke first word lelijiye. Jaise ki-


Proton = P
Electron = E
Neutron = N


Ye tino first word milkar bangaya Pen to aap pen kabhi bhul nahi pawoge kyuki ye bahut hi popular word hai. Ab hame jab jab nahi rahega ham pen ko yaad karke un tino word ko yaad rakhsakte hai. Aise hi aap apne tarike se trick laga sakte hai.


4. Discussion :-


Discussion ek bahut hi badhiya method hai study karne ka. Aap apne 3-4 dost ki ek group banalijiye. Aur aap din me koi bhi topic padhlete hai. To aap ek time par kabhi apne dosto ke sath uss topic se related bato par discussions kijiye. Agar aapko kisi subject ko padhne me jyada interest nahi lagta hai. To aap uss subject ke bareme discuss kare. Isse kya hota hai aapka dost uss topic ya subject ke bareme kuchh naya naya bate batayenge jo aap ko yaad reh jayega aur dhire dhire aapko un subject bhi man lagne lagega jo aapko jyada achha nahi lagta.


Note :-
Agar aap apne dosto ke sath koi topic discussion kar rahe hai to aap sharmaiyega mat. Matlab ye nahi sochiyega ki mujhe ye nahi aati mai iske bareme discuss kyu karu. Ya fir wo question kyu puchhu. Dekhiye agar aap aise sochenge to kuchh sikh nahi payenge. Aare yaar apne dosto ke sath kya laj maan na. Agar abhi aap laj man kar bhi sikh loge to aapko badhme  kabhi lajana nahi padega warna aur bhi kai jagah pe laaj man na padega.  Isiliye aap bagair laj mane questions discussion kijiye aur dhyan dekar suniye aur samajhiye.


Khas kar aap discussion uss samay par kijiye jab aapko padhne me boring lagta ho. Discussion bahut hi badhiya method hai padhai karne ka. Ab ye nahi ki harwakt discussion hi kare. Aap tarike se samay milakar discussion kijiye. Aur haan discussion kare to koi schedule banakar kare ya fir koi achha topic pe kare jo aapko kaam lage.

5. Instant Test :-


Instant Test ye bhi ek bahut hi badhiya method hai padhahuwa chij samajhane ka. Isme kya kare agar kahi gaye ho. Waha par aap khali baithe ho jaise ki kisi dost ya ristedar ke ghar Ya fir bus me baithkar kahi jarahe ho. Uswakt aap ye sochiye ki aaj aapne kya padhatha ya fir kal kya padhe the. Aise koi bhi topic samajhne ki kosis kiniye aur usse apne mobile ke note me likhiye. Wo sari bate likhiye jo aapko padha huwa topic me se yaad hai. Fir ghar jakar dekhiye ki kya kya aapko yaad tha aur kya nahi yaad tha. Kitna sahi hai aur kitna galat. Isse aapko kafi fayada milega.


Baki ke 5 tarike ham agle article me bahut jald likhenge. Aap uss post ko bhi hamare site par bahut jald padhpayenge. Mai agle post likhte hi yaha par bhi uss post ka link dedunga.


Note :-

Ham kisiko hamare bataye huwe tarike ko jabardasti kisiko follow karne ke liye nahi bolte hai. Iss site maksad kisiko kuchh larne ke liye force karna nahi hai. Ham yaha par jo kuchh bhi bata rahe hai sab knowledge ke liye baki aapko jo achha lage wo kijiye.

Aur haan dosto agar aapko yeh post achha laga ho to please hame comment karke jarur bataiye. Taki ham aur bhi aise post aapke liye aasake. Aur isse apne dosto ke sath facebook,twitter aur whatsapp jaisi social media par jarur share kijiye. Taki dusro ko bhi aap ki wajah se kuchh sikhne ko mile.

Hamse koi galati hogaya ho to please hame maaf kardijiyega.

Hamara naye naye post padhne ke liye site ko subscribe jarur kijiye aur facebook pe like.
Like our Facebook page

HOWTOHELPINHINDI


SEE ALL POST