Kisi Bhi Android Mobile Ki Screen Full HD me Record Kaise Kare DU Screen Recorder

How to record full hd android mobile screen using du screen recorder full details






Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki ham kaise apne android mobile ka screen hd me record kar sakte hai. Ji haan dosto technology ke duniya aajkal itne teji se badhraha hai ki ham soch bhi nahi parahe hai. Ham jo sochte hai technology usse pura kardeta hai. Bilkul aise hi android ki duniya hai ham jo kuchh android phone me karna chahte hai usske liye koi na koi application internet par available hota hi hai. Ab ham android mobile phone ka bhi screen record karsakte hai wo bhi hd quality me kafi features ke sath. Pehle kya hota tha computer ki bhi screen record  karne me kuchh paresani hota tha android ki to baat hi chhodiye. Hame pehle kisi chij ka screen record karne ke liye alag se ek badhiya camera set up karna padta tha. Fir bhi ham utne jyada achhe se mobile ke screen ko record nahi kar pate the. Par android ki duniya iss problem ko najar andaj karke isska bhi solution le aaya. Aur android ke liye aise application available kardiya jisse ham apne android mobile ka screen record kar sakte hai. Par kya hota tha pehle android mobile ka screen record karne ke liye hamara phone root hona chahiye tha. Bina root bale phone me ham uss screen record bale application ko use nahi kar pate the. Badhti technology ki duniya dekhiye fir aaya bina root bale phone ke liye screen record karne ka application jisse ham apne mobile phone ki screen ko bina root ke hi record kar sakte the. Par ussme me bhi kya hota tha uss application se screen record ki gayi sabhi videos me uss application ka watermark aata tha yani uss application ka name niche ya side me likha huwa aata tha. Kafi logo ko wo pasand nahi tha fir bina watermark bala bhi application net par available hogaya jisse ham apne android mobile phone ka screen bina watermark ke record karsakte the. Iss application ke ham apne mobile screen to record kar pate the par isske bhi kuchh conditions tha jaise ki hamara phone lollypop ya version 5.0 se upar hona chahiye tha ya fir usse niche version bale phone rooted hona chahiye tha. Ab usswakt kafi logo ke pass lollypop ka version 5.0 ya isse upar version bala phone nahi tha aur root kafi log apne phone ko karna nahi chahte hai. Aise me wo sab apne mobile ki screen record nahi kar pate the.  Par ab android ki duniya dekhiye ab aise aise application internet par available hai jisse ham apne kisi bhi android mobile phone ke screen ko record kar sakte hai. Chahe wo rooted ya rooted nahk bhi ho ya fir lollypop ho ya lollypop nahi bhi ho.


Mobile ki screen record khaskar kaun karta hai aur kyun :-



Waise to mobile ki screen lagbhag bahut se log karte hai apne apne kaam ke liye. Par yaha par mai aapko kuchh unlogo ke bareme bataunga jo kafi screen record karte hai.


# Students | Teachers :-

Students ya teacher bhi kafi apne mobile ki screen ko record karta hai. Khaskar teacher agar aap online teaching karte hai to jahir si baat hai aap screen record karte hi honge. Aapke pass computer nahi hai to aap mobile se bhi videos banakar kisiko online vej sakte hai aur online teaching ka subidha de sakte hai.



# Blogger | Youtuber :-

Agar aap ek blogger ya youtuber hai to sure aap apne mobile ka screen record karte honge. Sabse jyada to youtuber kyunki ek technology channelbale youtuber ko mobile ka screen record kafi jyada karna padta hai. Youtuber ke liye ye lagbhag daily ka kaam hai.


# Gamer :-

Agar aap ek gamer hai ya fir aapko game ke aadat se majbur hai to aap mobile ki screen record karke kisiko dekha bhi sakte hai ki maine iss game me highest itne score hasil ki hai. Ya fir aap game khelte wakt mobile ki screen record karke youtube se paise bhi kama sakte hai.


# cyber ya others :-

Cyber bale bhi mobile ki screen ko record karta hai apne kaam ke liye. Sath hi sath others log bhi apne mobile ka screen record karna chahte hai.


Khair jo bhi screen record karna chahte ho kisi bhi karan se sab ke apne apne wajah hota hai. To chaliye ham janlete hai ki kaise ham apne android mobile ka screen record kar sakte hai. To aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.


Android mobile ka screen hd me kaise record kare using Du screen recorder :-



1. Sabse pehle aap apne android phone me DU Screen Recorder application ko install karlijiye.

 Aap playstore se bhi Du Screen Recorder ko download karsakte hai.

Download Du Screen Recorder


2. DU Screen  Recorder application ko install karne ke badh aapko usse open karna hai. fir aapko kuchh instructions show karega aapko usse follow karna hai. Du screen recorder start hojane par aapko back chale jana hai.


3. Fir aapko aapke mobile screen par Du screen recorder ka icon dikhega. Aapko uss screen recorder ke icon par click karna hai. Fir aapke Samne kuchh istarha ka options show hoga.




#  Red Dot yani Screen record :-

Ji han aap iss red dot bale option par click karke apne mobile ka screen hd e record kar sakte hai. Chaliye kaise ham issko use kare janlete hai.




a) Red dot bale icon par click karenge to du screen recorder aapko bolega aapke screen par jo kuchh bhi show hoga ham usko record karlenge. 

Agar aap bar bar nahi iss notice ko dekhna chahte hai to aap Don't Show Again par tick karke start now par click kar dijiye. Ya fir aise hi Start now par click kardijiye.


b) Ab ulta count down suru hoga 3 2 1 karke fir aapke mobile ka screen hona start hojayega. 


Agar aap screen recording kuchh der ke liye rokna chahte hai to aap apne mobile ke screen ko upar se niche slide karke Recording ko Pause ke option par click karke roklijiye. Fir aap wahi se resume bhi karsakte hai.


c) Agar aap apna recording save yani stop karna chahte hai to fir se screen ko niche slide karke stop par click kardijiye.

Stop par click karne par aapka recording video save hojayega fir aapko wo share ka options dega. Aap chahe to usse share bhi kar sakte hai.


# Home :-

Aap firse Du ke icon par click karenge to aapko Red Dot ke niche ek home ka icon dikhega. Aap iss icon par click karenge to Du app ke home par chalejayenge. Aap waha se video select karke usse edit bhi kar sakte hai. Aur settings wagera bhi.


# Recording Tool box :-

Aap Du ke icon par click karenge to aapko live option ke upar ek tool box setting ka icon dikhega. Aap uss par click karenge to aapko fir kuchh iss type ka options dikhega.





* Du Screenshot :-

Aap chahe to Du Screenshot ko bhi enable kar sakte hai. Isse aapke screen par ek screenshot ka icon aajayega jisse aap kisi bhi chij ka screenshot le sakte hai bina apne mobile phone ke button ko touch kiye. Screenshot me app ka icon bhi nahi aayega.

◆ Camera :

Aap chahe to camera ko enable karke apne screen par isska icon la sakte hai.


◆ Brush : 

Aap chahe to brush ke option ko enable kar sakte hai. 

◆ Gif Recorder :

Aap chahe to gif recorder ko enable karke gif recording bhi kar sakte hai.


◆ Show touches :

 Aap isse enable karenge to aap kisi bhi chij par touch karenge to aapko touches dot dikhega.


◆ Water Mark :

Issko enable karenge to aapke video aur photos me du screen recorder ka water mark yani name ya icon dikhega.


# Live :

Aap Du screen recorder ke icon par click karenge to aapko niche ek liVe ka option dikhega waha se sidhe apne facebook , youtube ya twitch par live dikha sakte hai.



Du Screen recorder ke kuchh popular features :-


#  Video Edit :

Aap issme kafi badhiya video editing kar sakte hai. Aap issme video ka background  change karsakte hai. Video Trim karskate kisi bhag ko remove karskate hai. Koi music laga sakte hai video me.  Subtitles add kar sakte hai.  Intro aur outro laga sakte hai. Crop kar sakte. Video ka speed manage kar sakte hai. Rotate kar sakte hai.


#  Video  Marge :

Yaha se aap apne video marge bhi kar sakte hai easily.


# Video to Gif :

Aap apne video ko gif me bhi convert kar sakte hai.

# Wifi transfer:

Aap wifi transfer features ka bhi istemal kar sakte hai.


# Edit Image :

Aap apna koi image bhi edit karsakte hai.


# Stich Image :

Aap sabhi image ko ek sath stich karsakte yani ek sath jod sakte hai.


DU Screen recorder ka settings kaise set kare :-


Ye apne hisab se kar sakte hai. Phir mai kuchh yaha par aapko bata diraha hu. Issme main 2 settings hai ek video aur ek control.

# Video Settings :


◆ video resolution :

Issme aap apne video ka resolution set kar sakte hai. Aap kaise quality me record karna chahte hai wo. Aap full hd me screen record karna chahte hai to aap 1080P select kijiye.


◆ Video Quality :

Aap issme video quality set kar sakte hai. Aap high quality me record karna chahte hai to jo sabse jyada mb hai aap wo select kijiye.


◆  Record Audio :

Aap apne video me audio bhi record karna chahte hai to aap record Audio bale option ko enable kardijiye.


# Video Location :

Issme aap video ko kis folder me rakhna chahtre hai wo select karskate hai.


◆ Video Invert color :

Iss option par click karke aap apne video ke color select kar sakte hai.


# Control settings :-

Ye aap khudhi apne hisab se kar lijiye post kafi lamba hichuka hai. Baki sab aapne tarike se manage karsakte hai.



Related Search :-

Android mobile phone ka screen kaise record kare , android mobile kisl screen record kaise kare without root , android mobile ke screen record karne ka app ya software , android mobile phone ka screen record kaise karte hai, how to Record mobile screen in hindi, android me screen record kaise kare, android mobile se screen record kaise kare, Du screen recoder kya hai, how to download du screen recoder du screen recoder app kaise download kare , Du screen recoder se mobile ke screen kaise record kare full details.

Aap hamare blog ko subscribe karna na bhule aur post ko share harur kijiye. Aap hamare is howtohelpinhindi.blogspot.com blog ko visit karte rahiye ham aise aur bhi post lekar aapke liye aate rahenge. Aap hamara aur bhi post padh sakte hai niche catagory me jakar.


Mobile Phone Chori Hone Ya Khojane Par Kaise Khoje Kocation Kata kare Lock kare

How to find lost or stolen android mobile phone full details in hindi





Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham ek bahut hi important topic ke bareme sikhenge. Actually aaj ham apna guma huwa ya fir chori hogaya phone ko kaise khojte hai wo bhi bina kisi apps ke. Isske bareme aaj ham achhi tarha se sikhenge. Dekhiye aajkal kiske pass mobile phone nahi hai. Har kisike pass dekhenge to ek smart phone to milhi jayega. Kyunki jamana itna develop hogaya hai kisi din par din technology ka bikash hota hi jaraha hai. Farak itna hai ki kisike pass thode saste smart phone hote hai to kisi ke pass thode mehange. Ab ye to sab apne apne sochke hisab se phone kharidte hai. Aajkal to lakho ki price me bikne bale phone bhi logo ke hath me hote hai. Agar aise man lijiye aapka phone kahi gum hogaya yani khogaya ya fir chori hojaye to aap kitna paresan honge. Kyunki log mahange phone sirf logo ko dikhane ke liye hi nahi balki usske jariye log apne apne bahut si important work bhi karte hai. Aajkal to log mobile se hi marketing , internet bankin etc. Aise bahut se kaam mobile se hi karne lage hai. Aise aapka phone gum hojata hai ya fir chori hojata hai to aapko kafi problem aata hai.

Bahut baar ham apne purane yaadgar chij jaise ki koi photo , video , voice etc apne phone me rakhe hote hai phone chori hojane par wo sab khojata hai. Fir hame kafi absos hota hai ki kash ham wo sab wapis lapate. Manlijiye aapka phone kahi gum hogaya aur kisi achhe insan ke hath me chalegaye wo to aapka phone dena chahta hai par aapko wo bina kisi adress ko kaise dega. 

To aaj ham unhi tariko ke bareme janenge ki kaise ham apne guma huwa ya fir chori huwa phone ko bina kisi app ke kaise khojenge. Dekhiye internet par aise bahut se  application maujud hai jinke jariye aap apne guma huwa ya gir chori huwe phone ko khoj sakte hai. Par kuchh apps me kya hota hai ki wo apps aapke uss chori huyw ya fir gum hogaye mobile bhi pehla install honi chahiye tab jake aap usse recover kar payenge. Yaha par mai aapko batane bala hu ki aapke gum hogaye ya fir chori huye mobile phone me koi aise third party apps pehle se install na bhi ho to ham kaise khoj payenge wo bhi bilkul legally.


Apna chori huwa ya fir guma huwa phone  kyun khoje :-


Why we find our lost or stolen phone in hindi :-


Ab dekhiye ye to sabke apne apne reason hota hai ki ham apna khoya huwa phone kyun dhunde. Par yaha par mai kuchh aise hi common reasons bata rahahu jinke wajah se log apne chori huwa ya fir khoya huwa phone ko dhund te hai.

Aajkal log mobile se hi net banking karte hai to ussme kuchh important data hone ke wajah se. Mobile me family photos, videos ya fir koi aise private ya memorial chij hone ke wajah se. Mobile phone mehange hone le wajah se. Phone me kuchh jaruri data hone ke wajah se. Aise bahut se reason hai jinke wajah se log apne gum hogaye ya fir khoye huwe phone ko dhundta hai. Kaibar ham apne ghar par hi kahi par phone rakhdete par hame wo mil nahi raha hota hai. Jaruri contacts , messages hone par bhi ham khojte hai.

To chaliye ham janlete hai ki ham apne khoye huye ya fir chori huwa mobile phone ko kaise dhunte hai. Aap iss post ko achhi tarha se padhiye air samajhiye.


Apne chori huwa ya fir khoya huwa Mobile phone kaise pata lagaye bina kisi apps ke mobile aur computer dono se :-


How to find lost or stolen phone  using mob without any apps and software in hindi :-




Dekhiye isske liye aapke apne uss khoye huye ya fir chori huwa phone me pehlese gmail yani google account login hona chahiye. Aap playstore , youtube , gmail jaise google ke kisi service me apne gmail account se chori huwe phone login hona bahut jaruri hai. Aajkal to lagbhag har kisike phone me to pehle se gmail login hota hi hai kyunki bagair gmail account ke ham android phone me bahut kuchh nahi chala payenge. To chaliye jante hai kaise ham apna khoya huwa Mobile phone khoje.


1. Sabse pehle aap apne kisi dusre phone ya fir computer ke browser me google open karlijiye. Aap google.com par jakar bhi google ko open kar sakte hai.


2. Usske badh aap apne browser me search kijiye Android Device Manager. Aap picture me bhi dekhsakte.



3. Fir aapko kuchh kuchh results show hoga to aapko sabse pehle bale option jissme likha hoga Android Device Manager - google
Aapko iss option par click karna hai aap picture me bhi dekhsakte hai.

4. Usske badh aapko apne uss gmail account se login karne ko bolege jo aapke gum hogaye ya fir chori huye phone me login hai. 

Agar aapne 2-3 gmail account  apne uss khoye huwe phone me login kar rakhe hai to aap koi bhi ek gmail account se apne iss phone ko login karsakte hai.


5. Login karne ke badh aapke samne android device manager open hojayega. Jissme aapko map dikhega aaur kuchh options bhi. Options kuchh isstarha hoga ,



# Phone model with Icon :-

Aap yaha par aap apne uss khoya huwa phone ka model yani naam aur apne phone ka picture bhi dekhsakte hai. 

Agar aapne apn wo gmail account 3-4 mobile phone me login kar rakhe hai to aap uss phone bale model number par click karenge to aapko wo sabhi phone ka model aur picture dikhayega to aapko uss model bale Icon par click karna jo phone aapka gum hai yani khogaya hai.



# Location :-

Yaha par aapko ek dot ka option dikhega jo ki location hai. Aap uss dot bale Icon par click karke apne phone ka location pata kar sakte hai. Ji haan location lagbhag exact hi bata hai. Wo bata dega aapka phone avi kaha par hai kitne meter ki duri par hai. Isskeliye aapke uss khoye huwe ya fir chori huwe phone ke location on honi chahiye aur internet bhi uplabh honi chahiye.


# Lock :-

Yaha par aapko ek lock ka option dikhega to aapko uss lock ke option par click karna hai. Aapko apne phone ko lock kardena hai taki koi aapke data ko miss use na kare. Aap lock ke option par click karenge to aapko fir new lock screen ka kuchh option dikhega. Options kuchh iss tarha hoga,

● new password :-
Yaha par aapkoi ek password dal dijiye. Yad rahe aap google ka password yaha par mat daliyega. Koi ek naya password dal dijiye.

● confirm password :-
Yaha par aapna wohi firse daliye jo aapne upar dala hai.



● Recovery message (optional) :-
Yaha par aap kuchh likhdijiye kyunki ye message phone lock honepar screen le upar show karega.

Aap kuchh bhi recovery message me likhsakte hai jaise ki "Plz agar ko ye mila hai to mujhe mere iss number 98******64 par call karke lauta dijiye. Kyunki issme mera important data hai. Badle me mai aapko kuchh paise inam dunga. " Ab dekhiye ye to uss person par depend karta hai jissko aapka phone mila hai. Kuchh phone lauta bhi dete hai.

●  Phone number (optional) :-
Yaha par aap ek phone number daldijiye jiss par wo person call karke aapko bata dega ki aapka phone mere pass hai lejaiye. Ye bhi lock screen ke upar show hoga.

Usske badh aap niche lock ke button par click kardijiye. Aap picture me bhi dekhsakte hai. Aapko phone lock kardena hi chahiye kyunki aap jab uss phone par ring karenge to wo aapka call end ya call kat na paye.


# Ring :-

Yaha par apko ring ka option milega usspar click karke aap apne uss chori huwe ya khoya huwa phone ko ring kar sakte hai.
Agar apne phone ko lock karlihai to aap jab ring karenge to koi dusra aadmi isse nahi band karpayega. Ye apne aap bajta rahega fir kuchh minute badh automatically band hojayega. Aapka phone chori hogaya hai to aap phone ko ring na kare warna chor usse silent ya fir off kardega.


# Erase :-


Ye jo hai Erase ka option ye bilkul last bala option hai. Ye option usswakt ke liye hai jab wo person aapka guma huwa phone nahi lauta raha hai. To aap iss erase ke option par click karke apne uss guma huwa phone ka wo sabhi data delete kar sakte hai jo aapke phone par tha. Jaise ki aapke phone ka contacts , call , messages , photos , videos , music , data etc. Aapke phone ka wo sabhi data deleted hojayega.


To dosto ye thi wo tarika jisse aap apne guma | khoya huwa ya fir chori huwa phone ko khoj sakte hai. Agar aapko ye sab karne par bhi aapka phone pata na lage to to aap police case bhi karsakte hai.

Related Search :-

How to find lost or stolen android mobile phone using android device manager ,

How to find lost or stolen android mobile phone location , 

Chori hua khogaya  gum hua android mobile phone ka pata kaise lagaye,

Chori huye ya khogaye android mobile phone ka location kaise pata kare , 

Lost or stolen android mobile phone ko kaise khoje bina kisi application ke ,

Chori hua ya khoya hua android mobile phone kaise pata lagaye.


To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post dekh sakte hai.

Deleted google gmail account ko firse recover | restore kaise kare full details

How to recover | restore deleted google gmail account in Hindi




Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki ham kaise delete google aur gmail account ko recover kar sakte hai. Dekhiye ham sochte hai ki deleted account ko firse recover nahi kar sakte hai. Par aaj kal technology itne teji se aage badhraha hai ham soch bhi nahi parahe hai ham jo sochte wo hojata hai matlab aaj kal lagbhag sabhi chij possible hai. Bas farak hamare soch par padta hai. Waise ham sochte hai deleted account ko sayad ham firse recover nahi kar payenge. Haan bahut se aise account hai jisko ham sayad recover na bhi kar paye par google hame apne gmail account ko galati se deleted hojane par bhi firse recover ka option deta hai. Matlab ham apne deleted google yani gmail account ko recover kar sakte hai. Ham deleted google aur gmail account ko recover to kar sakte hai par iska bhi kuchh conditions hai. Conditions mai aapko aage bataunga. 

Google ya gmail account ko ham delete kyun karte hai :-


Waise to ham bahut se reason yani wajah se apna google yani gmail account ko delete karte hai. Sabke apne apne reasons hote hai par yaha par mai aapko kuchh common reasons bataunga jiske wajah se ham apne gmail yani google account ko delete karte hai.


1. Multiple gmail account hone ke wajah se :-

Kabhi kabhi kya hota hai ki hamare pass multiple gmail account hota hai yani ham bohot gmail account banalete hai. Par badhme hame utne sare gmail account ko manage karne me hame kafi paresani hota hai. Aur ham delete karna chahte hai.

2. Gmail ka Password Leak hone ke wajah se :-

Kabhi kabhi kya hota hai ham apne gmail account ka Password user id se related rakhdete hai ya fir aise rakhdete hai jisse log aasani se pata yani guess kar lete hai.

3. Gmail account hack hone ke wajah se :-

 Hamara gmail account kabhi kabhi hack bhi hojata hai kisi wajah se. Aise ham agar ham login karlete hai to ham usse kisi karan bas delete karna chahte hai.

4. Hamare gmail account me koi paresani aajane kewajah se :-

Kabhi kabhi hamare gmail account me koi aisa problem aajata jo ki hamse solve nahi hota hai phir ham chahte hai ki apna google yani gmail account delete hi kyun na karle.

5. Hamara gmail account kuchh  dosto ke device me login hone ke wajah se :-

Kabhi kabhi ham apne dost ya relation ke mobile ya computer me apne gmail account se login karlete hai aur apna koi kaam karte hai. Aise me ham kabhi kabhi apna gmail account log out karna bhuljate hai. Aur fir hame dar lagta hai ki kahi wo hamare gmail se koi scam yani hamara Gmail account ka koi galat fayada na uthaye. Ham dusro ke mobile me apna google yani gmail account apne device se log out karna nahi aata hai to ham apna google yani gmail account hi delete karne ko sochte hai. Etc. 

Sabhike apne apne reasons hota hai google yani gamil account delete karne ka. Ham Google yani gmail account delete to karlete hai par fir ham usse recover bhu karna chahte hai kabhi kabhi chahe koi bhi wajah se ho. Agar hamse galti se bhi kabhi kabhi account delete hojata hai to hame lagta hai ki ab ham firse apne Gmail account ko recover kar payenge ki nahi. Google yani gmail account ko delete karne ke badh firse recover karne ka bhi sabke apne apne reasons hote hai. Par mai aapko kuchh aise common reasons bata raha jinse ham apne deleted google yani gmail account firse recover karna chahte hai.


Deleted google yani gmail account ko ham firse recover kyun karna chahte hai :-


1. Bohot gmail account ko delete karte wakt jaldbaji me important Gmail account deleted hojane ke wajah se.

Dekhiye kabhi kabhi kya hota hai hamare pass jyada gmail account honeke wajah se ham kuchh Gmail account ko delete kardete hai par kabhi kabhi jaldbaji me hamara important gmail account bhi delete hojata hai. Fir hame absos hota hai ki yaar mujhe ye Gmail account to delete karna hi nahi tha. Ab kya karu fir ham uss deleted google yani gmail account ko firse recover karna chahte hai.


2. Gmail me important data like photos videos documents etc hone ke wajah se.

Hamare gmail account me kafi sare data ham rakhe hote hai jaise ki photos , videos , music , ya fir documents jisse ham kabhi khona nahi chahte hai. Par kisi bhi wajah se hamse hamara google yani gmail account delete hojata hai to ham uss important documents ko recover karne ke liye apne uss deleted google yani gmail account ko firse recover karna chahte hai.


3. Galati se google yani gmail account delete hojane ki wajah se.

Kabhi kabhi hamse galati se bhi hamara google yani gmail account delete hojata hai. Hamar dhyan kahi aur hota hai aur hamse wo Gmail account delete hojata hai jo ham delete nahi karna chahte hai. Fir ham uss deleted google yani gmail account recover karna chahte hai.



4. Gmail deleted karne ke kuchh der badh uss gmail account me koi important mail aane ke wajah se.


Kabhi kabhi kya hota hai ki ham apna google yani gmail account delete to karlete hai par delete karne kuchh der badh hame koi uss gmail me important mail vejta hai. Jisse hame dekhna hi kota hai. Jaise ki koi hame aisa documents mail karta jissko hame jaise bhi karke dekhna hota hai aise me ham apne google yani Gmail account ko firse recover karna chahte hai.


5. Kisise galati se hamara gmail account delete hojane ke wajah se.

Kabhi kabhi hota hai ham apne phone ko ghar pe xod dete hai fir hamara koi chhota bhaii ya fir koi bache phone ko chalane lagta hai aur galati se unse hamara Gmail account delete hojata hai. Fir ham apne uss deleted google yani gmail account ko recover karna chahte hai. Etc. Khair wajah jo bhi ho chaliye ham janlete hai ki kaise ham apne deleted google yani gmail account ko firse recover karsakte hai. Delete google yani gmail account ko ham recover to karsakte hai par isska bhi kuchh conditions hai. Conditions kuchh istarha ka hai.

Conditions for recover to deleted gmail account :-




a) Aapka google yani gmail account delete hone ke 2 dinke andar aap isse firse recover yani reactive karsakte hai. 2 se jyada hone par aap apne deleted google yani gmail account ko firse recover yani reactivate nahi kar payenge.


b)  Aap apne deleted gmail account ko firse recover yani reactive karenge to 24 hour ke badh ye achhi tarha se active hojayega.


To chaliye ham janlete hai ki ham kaise apne deleted google yani gmail account ko firse recover yanu reactive karsakte hai. To aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.


Deleted google yani gmail account ko firse recover yani undelete kaise kare :-


1. Sabse pehle aap apne browser me gmail.com ya fir accounts.google.com kholkar Gmail ke login page par chake jaiye.


2. Waha par aapko apna delete ho chuke Gmail ka email address aur password dalna hai. Fir next ya fir sign in ke button par click karenge to wo bolega.



Sorry the email or password you entered is in correct. Matlab aapne jo email aur password dala hai wo galat hai hame usse find nahi kar parahe hai.

3. Fir aapko Sign in ke niche ek Need help? Ka option dikhega aapko usspar click karna hai. Next par click karenge to aapko kuchh istarha ka questions puchhega.

Having Trouble singing in ?

() I don't know my password

() I don't know my username

(●) I'm having other problem singing in




To aapko I'm having other problem singing in ke option par tick kar dena hai. Matlab I'm having other problem bale option ko select karna hai. 


4. Aapko apna deleted email address dalne ko bolega aap dalkar continue par click kardijiye.



5. Usske badh aapko bolega enter the last password you remembered. Matlab aapne last bar jo password dala tha wo kya hai kaha jaye to aapka gmail ka Password kya tha wo daldijiye. Fir continue par click kardijiye.


6. Uske badh aapko apna wo mobile number ya recovery email address dalna hai jisse aap apna wo deleted Gmail account create kithi.



7. Fir aapke mobile pe ya recovery bale Gmail par ek verification code vejega uss code ko yaha par dal dena hai. Verification code dal dene ke badh aapko firse continue par click karna hai.


Ab aapka deleted google yani gmail account firse recover yani restore hogaya hai. Ho sakta hai wo uss wakt login na bhi ho wo aapko temporary problem dikhaye par aap try karte rahenge to hojayega. 24 hour tak aapka deleted google yani gmail account firse recover yani restore hojayega.


To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.

Kisi Bhi Android Mobile Ke Bareme Puri Jankari Kaise pata kare - Full details

How to get | check all information about android phone in hindi





Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelPinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham janenge ki ham kisi bhi android mobile ke bareme full details yani puri jankari kaise pata karsakte hai. Android mobile phone k bareme kuchh log to kafi aasani se pata karlete hai. Par kuchh logo ko mobile ke bareme puri details pata karna nahi aata hai. Fir wo dusre logo ko dikhane jate hai ki mere android mobile me kya kya features hai jaise ki kitne Ram hai kitne internal storage , kaunsa android version hai lollypop ya kitkat ya fir koi others

Mobile phone ke full details ham kyun pata karna chahte hai :-



Dekhiye aajkal aise aise android phone aane lage hai jo jiske bareme aam aadmi to kya thoda bahut mobile ke bareme janne bale bhi usska full details nahi bata sakta hai. Kyunki unhe bhi check karne me kafi paresani hota hai. Hamko jab koi hamare relations ta fir hamare liye hamare Daddy vaiya ya fir koi android phone ladete hai to ham sabse pehle uss phone je khasiyat ke bareme janna chahte hai.


Jab ham kabhi mobile ko kharidne jate hai ya fir kharid kar late hai to sabse pehle ham mobile ke khasiyat ke bareme janna chahte hai. Mobile ke bahut se information ham pata nahi karpate hai waise jo expert hai wo to aasani se pata karleta hai par jisko jyada mobile ke bareme nahi pata hai usse thoda paresani hota hai. Aaj mai aapko yahi batane bala hu ham kaise kisi bhi android mobile ke bareme puri jankari pata kar sakte hai.


New Android mobile phone me khaskar kya kya pata karte hai :-


Waise to sab apne apne hisab se mobile ki khasiyat pata karte hai par kafi log kuchj istarah ka chij pata karna chahte hai.


# Internal storage :-

Lagbhag sabhi log apne mobile phone ka internal storage pata karna chahte hai. Wo dekhte hai ki hamare phone ka internal storage jyada hai ki nahi.


# Camera information :-

Ji haan apne mobile phone ka Camera ke bareme kauna nahi pata karna chahta hoga. Lagbhag sabhi log apne mobile phone ka font aur Back camera kitne MP hai wo check karna chahte hai. Sabhi log chahte hai ki hamare phone ka camera kafi jyada MP ho. Bahut se phone me camera je bareme pata karna thoda muskil hota hai. Par aaj mai aapko jo tarike batane bala hu usse koi paresani nahi hoga.


# Screen Size :-

Ham apne mobile phone ke screen ke size ke bhi bareme janna chahte hai ki hamare phone ka screen kitne inch ka hai kitna lenth aur breadth hai. Kyun Screen ka size kafi hamare liye kafi importance rakhta hai.


# RAM :- 

 Ji haan dosto RAM kafi important hota hai hamare android mobile phone me. Hamare phone ka ram jitna jyada hota hai ham apne mobile phone me utne jyada application ko install karke usee run karsakte hai. Isiliye jyada ram bale phone ko choose karte hai.


# Android version :-

Jab baat aati hai android mobile ki details pata karne ke bareme to android version check karne ka sabal aata hi hai. Har koi apne mobile phone ka android version check karta hai. Ham chahte hai ki hamara android version jitna hosake jyada ho. 


To chaliye ham janlete hai ki kaise ham kisi bhi android mobile phone ka full details pata kar sakte hai. To aap postko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.


Kisi bhi android mobile phone ka puri jankari kaise check yani pata kare :-



1. Sabse pehle aap apne android mobile phone me My Android application ko download karke install karlijiye.

Aap playstore se bhi iss application ko download karsakte hai ya fir niche digayi download link se. Waise to internet par kafi sare aise application hai jinke help se ham android mobile phone ka details pata karsakte hai. Par ye application mujhe best laga.



2. My Android application ko install karne ke badh aap usse open kijiye fir aapko kuchh options dikhega.  Aap insabhi options par click karke apne mobile phone ke puri details pata kar sakte hai.


Options kuch istarha hoga,



# My Phone Apps :

Iss option par click karke aap apne mobile phone par install unsabhi app ko dekh sakte hai. Aur aapne apne phone me kaunsa application ko kis date par install hai wo sab bhi dekh sakte hai. Aapke mobile pehle se jo application install rehta hai wo kis date par install huwa hai aap wo bhi dekhsakte hai.




# Memory :

Aap memory ke option par click karke apne mobile phone ka internal aur external storage ke bareme pata karsakte hai.


# Screenshot :

Iss option par click karke aap apne mobile me kistarha se screenshot lesakte hai wo dekhsakte hai. Aur jan pata kar sakte hai ki aapke mobile phone me kis tarha ka screenshot supported hai.


# Call History :

Iss option par click karke aap apne phone ka known aur unknown calls check karsakte hai. Issme today , yesterday aur last week ka call details pata kar sakte hai.


# Location Tracking :-

Aap iss option ko use karke apne phone ka location bhi track karsakte hai.


# Internet :

Iss option me aap apne phone ke internet ke bareme bata karsakte hai. Wifi supported hai ki nahi pata karsakte hai. Ya fir aapka wifi abhi kis network se connected hai pata kar sakte hai.


# Scre Size :

 Iss option par click karke aap apne android mobile ka size pata kar sakte hai ki aapke phone kitne inch aur pixels ka hai.


# Screen Density :

Option par click karke aap apne phone ka screen density Low hai ya medium ya high ya fir extra high ya fir extra extra high ye sa check karsakte hai.


# RAM :

Iss option par click karke aap apne mobile phone ka RAM pata kar sakte hai ki aapke mobile me kitne GB RAM hai.


# Android Version :

Iss option par click karke aap apne mobile phone ka android version check kar sakte hai. Aapka phone lollypop hai kitkat ya usse upar kuchh koi bhi ho check karsakte hai.


# Manufacturer and Model :

Iss option me apne mobile ka manufacturer pata kar sakte hai. Aur apne mobile ka model bhi aapke phone dual sim support hai ki single wo bhi dekh sakte hai.


# Android Tips :

Iss option par click karke aap android bareme kuchh tips lesakte hai. Jo features aapke mobile me available hota hai.


Iss my android application ko use karke aap kisi bhi mobile ke full details pata karsakte hai. Aap hamare aur bhi aise kafi achhe achhe post niche catagory me jakar dekh sakte hai.


To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post dekh sakte hai.