Ekbar me 9999 bar ya unlimited missed call kaise kare apne dosto ko full details

How to do 5000 times missed call to our friends at one call amazing tricks in hindi



Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me ekbar firse bahut bahut swagat hai aaj ham sikhenge ki ham ekbar me kaise 200,400, 999 ya 2000 ya fir 5000 aap jitna chahe missed call karsakte hai. To aajka ye jo post hai kafi majedar hai. Main hamesha aapke liye aise naye naye tips and tricks sab lekar aata rehta hu to aap hamare sabhi post ko sase pehle pane ke liye hamare blog howtohelpinhindi.blogspot.com blog ko visit karte rahiye. Aur hamare blog ko subscribe karna na bhule subscribe karlenge to sabse pehle aapko hamara post mil jayega. Aaj ke iss post se apne dosto hairani me par denge fir wo bhi sochega ki aapne usse itni bar missed call kaise kardi. Aur aap smart bankar maje lesakte hai. Par dosto aapse ummid karta hu ki aap iss post ka galat istemaal na kare ye jo post hai sirf knowledge ke liye hai.


Ham dosto ko ekbar me 5000 bar ya isse jayada missed call kyun kare :-


Dekhiye ye to aap oar depend karta hai ki aap apne dosto 5000 bar ya isse jyada missed call kyun karna chahte hai. Kabhi hamara koi code language bhi hota hai hamne apni gf bf ya fir dosto se bola hota hai ki jab maii 10 bar missed xall karunga to online aana. Ya fir ham apne dosto ko bahut jyada missed call karke usske sath prank karna chahte hai. Ab kisiko 1000 bar ya 5000 bar missed call karoge to koi bhi full ban jayega ki aakhir issne itne sare missed call kaise kardi. Par ekbar fir kehn chahta hu ki aap please isska koi galat use na kare ye post sirf knowledge ke liye hai. Par ekhibar kisiko itna bhi missed call mat kijiyega taki wo aapse paresan hojaye. Warna aap dono me thoda duri badh sakta hai. 

Ekbar me kisiko kaise 5000 bar ya unlimited missed call kare full details - How to help in hindi :-




Isske liye aapko ek application download karna hoga jiska naam hai "Talk Zang missed call  Bomber ". Ye application aapko play store par sayad nahi milega aap issko niche diye gaye link se download karsakte hai. To chaliye ab jante hai isska istemal kaise karte haii 999 bar ya unlimited missed call karne ke liye.


1. "Talk zang Miss call Bomber" application ko apne phone me install karne ke badh usse open kijiye. 


2. Talk Zang application ko open karne ke badh aapko Continue in English ke option par click karna hai.


3. Usske badh aapko kuchh options dikhega kuchh istraha,

# Start :-

Isspar click karke aap start karsakte hai.

# Call catcher :-

Iss option par click karke aap koi call receive karsakte hai agar koi aapko call karta hai to.

# Language :-

Yaha se aap apna language yani bhasa select karsakte hai. Ki aap kiss language me iss application ko use karna chahte hai. Hosakta issme wo sabhi language na bhi ho jo aab chahte hai. Par lagbhag bahut se language hota hi hai.


# Tutorial :-

Iss option par click karke aap tutorial bhi dekhsakte hai ki iss application ko kaise use karte hai.

# About :-

Iss option par click karenge to aapko iss apps ke bareme details me jankari milega. Agar aap cgahte  hai to isska details bhi check kar sakte hai.


# Exit :-

Iss option par click karenge to aapka application band hojaye. Yani aap iss option par click karke aap jab chahe iss application ko band karsakte hai.


4. Agar aap 200 ya isse jyada missed call karna chahte hai to aap start ke option par click kardijiye. 

5. Fir aapko Choose a victim ka option dikhega yani issme aapko bolega ki aap kisko apne itne sare missed call ka sikar banana chahte hai. Jisse bhi aap unlimited missed call karna chahte Usska contact number daliye.


Note :- contact number aapko usske country code ke sath dalna hoga warna ye call nahi jayega. 


6. Contact number dalne ke badh aapko next ke button par click kardena hai. Fir aapko Step 2 me missed call Number select karne ko bolega ki aap kitne sare missed call karna chahte hai. To aap missed call Number select karlijiye agar aap 200 bar missed call karna chahte hai to 200 likhdijiye. Fir aap next ie button par click kardijiye.


7. Step 3 me aapko Missed call duration set karne ko bolega to aapko Missed call duration set karna hai matlab aap kitne der tak ring bajbana chahte hai.





Agar aap 10 sec tak ring bajbana chahte hai to 10 second likhdijiye. Mai to kahunga kam hi rakhiye lagbhag 5 second jitna. Kyunki jyada dertak ring bajega to hosakta hai wo call receive karle issiliye kam hi rakhiye.

8. Fir aapko Start ke button par click kardena hai. Fir kuchhder process hoga aur Call chala jayega. Fir apne aap 5 second badh ya fir aapne jitna duration time rakhe hai utne der badh call disconnect hojayega. Aise hi automatically ye bar bar call lagega jitne bar aapne select kiye honge.


Aap iss application je madat se jitna chahe kisiko bhi Missed call karsakte hai. Ummid karta hu aapko post achha laga hoga.


To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.



Apna facebook post ko selected friends ya kisi personal friend se kaise hide kare

How to hide facebook post from selected friends in computer and mobile full details in hindi




Namaskar dosto aapsabhiko mere blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki apne facebook ki post ko kisi selected yani kuchh hi friends se kaise hide karte hai. Jab ham facebook par koi photos, videos, ya fir status post karte hai to kuchh aisa bhi post hota hai jo ham apne kuchh friends ya family member ko nahi dikhana chahte hai. Ab sabal ye aata hai ki aham apne facebook par kiye pust post ko kisi ko kyun nahi dikhaye. Iska to sabke apne apne bahut si reasons hota hai. Jab ham kisi ke party functions me jate hai waha par khub masti karte hai dosto ke sath bahut sare selfie lete hai fir ham sochte hai ki ab insabhi photos ya videos ko kyun na facebook pe post karde. Agar hamne photos me kuchh aise harkat kiye hote jo kuchh friends ke liye to thik hai par kuchh friends ke liye sayad nahi bhi ya hosakta hai ham apne kisi family member ke darse koi chij upload ya fir post nahi kar pate hai.


Aise me ham sochte hai yaar agar ye photos ham apne facebook  par post karde to ye party hamsabke liye yaadgar banjayega. Par kya karu agar aisa post mere vaiya ne dekhliya to mujhe khub dat padega. Aajkal to hairstyle ka jamana hai aur har koi apna hair style change karta rehta hai. Aise me ham bhi apna hair  style kuchh new karlete hai air ham uska selfie apne facebook par upload karne ko sochte hai. Par hame dar lagta rehta hai ki aare yaar mere facebook me to mere teachers bhi add hai agar wosab mera aisa photos dekhega to mera image usske najar me sayad kharab hojayega kya karu. Ab itne se bat ke liye ham apne teachers ko to unfriend nahi karsakte hai na kyuki hame unse bahut kaam ho hai. Aise bahut si sabke apne apne reasons hota hai jinke wajah se ham apne facebook post ko kuchh hi yani selected friends se hode karna chahte hai. 


Hamare facebook me kai friends aise bhi hote hai jo hamare kisi photos, videos ya fir post pe gande comments karte rehte hai ya fir hamare post ka majak udate rehte hai. Fir ham sochte hai ki kash koi aisa tarika hota jinse ham apne post ko kuchh hi yani kuchh selected friends se hide karpate matlab chhupa pate to kitna achha hota. 


Ab aapko aisa nahi sochna padega kyuki aaj mai aapko yahi batane bala hu ki facebook par apne photos, videos ya kisi post ko kuchh hi selected friends se kaise hide kare. Apne facebook post ko selected friends se hide kyu karte hai ye maine aapko upar kuchh reasons yani karan se sath batadi hai. Par sabke apne apne reasons yani karan hota hai facebook par apne photos, videos ya fir post ko kuchh friends se hide karne ka.



Facebook par apne photos, videos, status yani kisi post ko kuchh hi yani selected friends se kaise hide kare -



To chaliye ham details me samajhte hai ki facebook par kuchh selected friends se apne kisi post kaise hide karte hai mobile aur computer dono se. Lagbhag dono me same hi process hai bas thoda sa hi change hai.


Computer se facebook par apne kisi post ko kuchh selected friends se kaise hide kare -



1. Sabse pehle aap facebook.com par jakar apne uss facebook id se login kar lijiye jisme aap apne facebook post ko selected friends se hide karna chahte hai.


2. Usske badh aap koi status likhiye ya fir koi apna photos aur videos select kijiye. Ab aap post karne se pehle side me ya niche dekhenge to ek privacy ka option dikhega ussme pehle se public hoga aapko uss option par click karna hai. Aap picture me bhi dekhsakte hai.


3. jab aap uss privacy yani public bale option par click karenge to aapko ek aur option dikhega more option ka aap uspar click kijiye. Jap aap more option par click karenge to aapko ek aur option dikhega custom ka fir aap uss custom ke option par click kardijiye.






4. Custom par click karte hi aapke samne ek custom privacy ka window khiljayega jissme aapko do options dikhega. Options kuchh istarha hoga,

# Share With -

Iss option ko aap jaise hai waise hi chhod dijiye isske bareme bhi ham aapko kisi aur articles me details me batayenge.


# Don't Share With :

Iss option me aap apne uss friends ka naam search kijiye jinhe aap apne uss post ko nahi dikhana chahte hai. Jaise ki maine dala hai aap picture me bhi dekhsakte hai.



5. Jab aap apna friends select karlete hai ki ye kis kis ko nahi dikhana hai to fir aap niche dekhenge to waha par aapko ek option dikhega Save Changes ka aap uspar click karke usse Save kardijiye.


Ab aapka privacy custom hogaya hai. Ab aapne jo photos, videos selected ki hai ya fir jo post likhi hai usse publish yani karenge to ye post aapke un friends ko nahi dikhega jo aapne select ki hai. Aap apne post ko publish karke ek bar check karlijiye.

To chaliye ab ham ab ham sikhte hai ki mobile se kaise apne facebook post ko kuchh selected friends se hide karte hai. Aap isse achho tarha se padhiye aur samajhiye. Issme bhi lagabhag same hi process hai bas thoda sa hi change hai fir bhi chaliye ham aapko bata hi dete hai.



Mobile se kaise apne facebook post ko kuchh selected friends se hide kare -


1. Sabse pehle aap facebook.com par jakar apne uss id se login karlijiye jissme aap apne post ko Kuchh selected friends se hide karna chahte hai.


2. Usske badh aap wo photos, videos select karlijiye ya wo status likhlijiye jo aap selected  friends se hide karna chahte hai. Pos ko publish karne se pehle aap side me ya niche ya upar dekhenge to aapko kahi par ek privacy ka option dikhega jissme pehle se hi public select hoga to aapko uss privacy yani public bale option par click karna hai.


3. Waha par aapko kuchh options show hoga ussme aapko ek friends except.... Ka bhi option dikhega aapko friends except bale option par click karna hai.


4. Fir aapke samne ek page khulega share with ussme aapko kuchh options dikhega sabhi ko chod dena hai ek option hoga except ka ussme aapko apne uss friends ka naam search karna hai jisse aap apna ye post nahi dikhan chahte hai. Fir aap unsabhi friends ko select karlijiye jissme aap apna ye post nahi dikhana chahte hai.



5. Friends select karne ke badh Save ka button hoga Save kardijiye. Agar facebook application se kar rahe hai aur save ka button nahi hai to friends select karne ke badh back kardijiye.


6. Aap apne uss photos, videos ya fir uss status ko publish yani post kardijiye.


Ab aapka ye post aapke unsabhi friends ko nahi dekhega jinhe aapne select ki thi.

Aap ekbar check jarur karlijiye to hamne aaj ye sikhlihai ki apne facebook post ko kisi selected friends se hide kaise karte hai. Ab bhi aapko iss post se related koi problem aaraha hai to hame comment karke jarur bataiye ham aapke problems ka jitna ho sake solve karne ki kosis karenge.



To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye sithandWritinge nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.

Ladki yani female | male | bache kisi ke voice me call kaise kare unknown number se 

How to call anyone in any voice like mae | female| kids and others from Android with unkwon number hind hindi




Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me ekbar firse swagat hai. Aajham sikhenge ki ham kisiko ladki ke aabaj ya fir male - female , young kids etc ke aabajme kaise call kar sakte hai wo bhi unknown number se. Ji haan ye bahut hi majedar application hai isska istemal karke aap pane dosto ke sath kafi sara prank kar sakte hai. Par aapko ekbaat bata du isska galat istemal karke logo ko jyada paresan na kare ye post sirf knowledge ke liye hai. Agar aapne abhitak hamara howtohelpinhindi.blogspot.com blog ko subscribe nahi ki hai to aap niche subscribe par jakar karlijiye. Aur aapko subscribe karlena chahiyo kyunki mai yahapar roj aaoje liye naye naye post lekar aata rehta hu. Subscribe karlene par aapko hamare sabhi naye post ki information miljayega. 




Aabaj change karke ham kisiko call kyun kare wo bhi unknown number se :-


Dekhiye ye to aap par depend karta hai ki aap aawaj change karke kyun kisi ko call karna chahte hai. Par kuchh log apne prankster dosto ke sath prank karne ko sochta hai. Kuchh dost ke sath prank karne me hame kafi majja aata hai. To specially log isse prank karne ke liye hi use karta hai. Issme unknown number issliye dikhata hai ki agar  hamara number dosto ke pass gaya to wo pehchan jayega. Agar unknown number dekhega to usse koi sak nahi hoga ki ye mera dost hoga. To aise hi kuchh wajah se log female ke aabaj me prank karte hai. To chaliye suru karte hai aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.


Ladki yani female ya fir male ya bache (kids) ke aabaj me kaise call kare unknown number se :-


Isske liye aapko playstore se ek application download karna hoga jiska naam hai "Fun call voice changer in call" isse apne phone me install karlena hai. Aap niche digayi download link se bhi download karsakte hai.




To chaliye ham janlete hai ki isska istemal kaise karte hai.

1. Fun call application ko install karne ke badh usse open kijiye.  Open karne ke badh upar left side me country ka flag dikhega aapko wahase country select karna hoga.


2. Usske badh aapko usska number dalne ko bolega aap jisse call karna chahte hai. Aapchahe to upar right side me se contact select kar sakte hai.


3. Number dalne ke badh aapko  call ke button par click kardena hai. Call button par click karne badh aapko kuchh voice select karne ka options milega jaise ki,

 man , woman ,william , kids regular aap female ke aabaj me call karna chahte hai to aap woman select kijiye.


4. Ab aapka call jane lagega jab aap call me bolenge to call receiver ko female ki voice sunaii degi. 

Note :- 

◆ Yaha par aapko female ya kisike voice me call karne ke liye kuchh limited seconds ya minutes country ke hisab se diyajayega. Aap isse badha bhi sakte hai bas aapko invite karna hoga friends ko ya kuchh apps install karna hoga. Aise hi kuchh task dega ye application aur aap usske task ko pura karke apna talk voice time badha sakte hai.

◆ Jab aap call karenge to aapka original number nahi jayega kisi aur country ka number jayega. Jitne bar call karenge alag alag country ka number show hoga usske phone par. Jaise ki kabhi kabhi +8888, +4444 etc.


To aap istraha se apne kisi dost ke phone par female ke voice me call karke prank karsakte hai.


To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.

Android mobile par install apps ko hide aur unhide kaise kare bina kisi apps ke

How to hide and unhide install apps on your android mobile phone without any application





Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me ekbar firse swagat hai. Aaj ham sikhenge ki android mobile phone par install apps ko hide aur unhide kaise karte hai. Dekhiye aajkal lagbhag sabhi kaam jo computer se hote the wo ab Mobile se hone laga hai. Sabhi Logo ke pass aajkal ek android phone hota hi hai. Aur aapko to pata hi hoga android mobile ke liye ek par ek application aajkal launch kiye ja raha hai. Aajkal android ke liye aise aise apps aane laga hai ki ham apne bahut se kaam mobile phone se hi use karte hai. Pehle to koi bhi apps computer ke liye bantr hai. Par duniya itne aage chalagaya hai ki  lagbhag har wo computer bale apps ko mobile ke liye bhi available kardeti hai taki ham usse kahi bhi aur kabhi bhi use kar sake. Aapne dekha hi hoga aajkal log bank ke karobar , online shopping , online ticket , online study etc. Se lekar yaha tak log online job bhi ab Mobile se hi karne lage hai. Aur karna bhi chahiye kyunki hame isse aasani hota hai ham kabhi bhi aur kahi isska use karpate hai. Mobile ek mini computer hai. Aur ham bhi chahte hai koi badhiya apps computer ke liye aate hai to kash ko mobile ke liye aaye. Taki ham bhi wo kaam mobile par use kar paye.


Android mobile phone par install apps ko hide kyun kare ?


Dekhiye to aap par depend karta hai ki aap apne mobile phone par install apps ko hide karna chahte hai. Sabke apne apne reason hote ki wo apne mobile phone par install app ko hide kyun karna chahte hai. Par mai kuchh aise reasons bataraha hu jo ki common hai jinke wajah se log apne mobile phone par install apps ko hide karna chahta hai. Dekhiye bahut se log aajkal netbanking mobile se hi karte hai. Kuchh kharid bikri karne ka kaam bhi mobile se karte hai. Insab kamo ke liye apps hota hai uss apps me hamare sari details hota hai. Kai aise bhi apps hote hai jinme apna personal details ya family videos , photos rakhe hote hai aur ham chahte hai ki wo koi na dekhe. Kuchh aise paid apps bhi hote hai jo ki kafi mehnge hote hai aur ham chahte hai ki wo koi share na karpaye. Kuchh apps me ham apne sabhi account ke email password rakhe hote hai taki bhul janepar ussme se dekhlu par. Par hamara dost ya fir koi Mobile dekhne ke liye mangta hai to ham unhe dedete hai par kuchh log sabhi chij dekhte rehte hai. Aur ham chahte hai ki wo sab hamare personal chij na dekhe. Inhi kuchh wajah se hame apne mobile phone par install appsko hide karna padta hai. Khair sab ke apne apne wajah hota hai mobile phone par install apps ko hide karneka wo bhi bina install kiye.


Android mobile phone par install apps ko hide karne se kya fayada hoga ?


Dekhiye Mobile phone par install apps ko bina uninstall kiye hi hide karne se hame kafi kuchh fayada hota hai. Jaise ki hamare private data safe rahega. Family photos, videos ya fir documents safe rahega. Paid apps share hone se bachega. Apps galati se uninstall nahi hoga jinke wajah se hame koi data khone ka dar nahi hoga. Logoke darse Bar bar apps ko install uninstall nahi karna padega. Bank details ya personal details bhi safe rahega.


Android mobile phone par install apps ko hame hide karna chahiye ya fir nahi ?


Dekhiye ye jo mai mobile phone par install apps ko hide air unhide karne ka tarika batane jaraha hu isse koi problem nahi hoga kyunki ye android ka hi feature hai. Ye lagbhag sabhi android mobile phone par hota hai khas kar Samsung ke android phone me to hota hi hai. Aap hide karsakte hai isse koi nuksan nahi hai balki hame fayada hi hoga jo ki maine upar bata di hai.



Android mobile phone par install apps ko ham fir se unhide kar payenge kya?


Ji haan android ne install apps hide ko unhide karne ka bhi feature derakha hai. Aap jab chahe tab apbe mobile phone par install apps ko hide air unhide karsak hai. Issme install apps ko hide aur unhide karne ke liye aapko koi extra third party apps download karne ki jarurat nahi padega. Kyunki ye android ka feature hai jo ki lagbhag Samsung ke sabhi android phone me hota hai. To chaliye ham janlete hai ki apne android phone par install apps ko kaise hide aur unhide karte hai wo bhi without uninstall ke.


Android mobile phone par install apps ko hide aur unhide kaise kare full details hindi me



1. Sabse pehle aap apne mobile phone ke home screen par jaiye. Fir aap application menu par click kijiye. Yani uss icon par click kijiye jisspar click karne se aapke phone par install apps dikhta ho. Aap picture me bhi dekhsakte hai.


2. Apps ka menu open hote hi aapko upar ek 3 dotted line dikhega aapko usspar click karna hai.

3. 3 dotted line par click karenge to aapko kuchh options show hoga jinme se ek hide apps ka option hoga aapko uss hide apps bale option par click karna hai.


4. Hide apps par click karte hi sabhi apps me select box lag jayega. Matlab aap apne mobile phone par install apps me se kis kis appko hide karna chahte hai wo select kijiye.

5. Apps select karne ke badh upar  ek done ka option dikhega aap usspar click kardijiye.

Ab aapka wo sabhi apps hide hogaya hai jo aap hide karna chahte the. To chaliye ab ham janlete hai ki hamne jo apps hidd ki hai ab usse firse unhide kaise kare bina kisi apps ke.


Android mobile ki installed hide apps ko unhide kaise kare :-


1. Aap apne mobile phone ke Application menu bar me jaiye.  Application menu bar open hote hi upar dekhenge to aapko 3 dotted line dekhega aapko usspar click karna hai.

2. Fir aapko kuchh options dikhega jinme se ek show hidden apps ka option hoga aapko usspar click karna hai.

3. Ab aapke samne wo sare apps dikhega jo aapne hide kar rakha hai. To aap jiss jis apps ko unhide karna chahte hai usse select kijiye.


4. Usske badh aap done ke option par click kardijiye. Ab aapka apps unhide hogaya hai.


To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.