Microsoft OneDrive Online Storage Kya Hai Ise Kaise Use Karte Hai Full Details

What is Microsoft oneDrive online storage and how to use it in hindi :

Microsoft OneDrive Online Storage Kya Hai Ise Kaise Use Karte Hai Full Details



Namaskar dosto dosto aap sabhiko mere iss howtohelpinhindi.blogspot.com blog me bohot bohot swagat hai. Aap sabne mujhe itna pyaar diya iske liye aap sabhiko bohot bohot dhanyavad. Aajka topic hai ki Microsoft one drive kya hai. Microsoft one drive par account kaise banaye. Microsoft one drive online storage ko kaise use karte hai. Isstarha ke sabalon ka jabab aapko mai iss post me dene ki kosis karunga. To chaliye ham issko details me jan lete hai.

Microsoft one drive online storage kya hai :


Onedrive ek online storage hai. Jahapar ham apne data ko store kar sakte hai.  Aap issko memory card ya pen drive bhi bol sakte hai. Par memory ya pendrive ek physical device hogaya jaha par ham apna data store to kar sakte hai par ussko hamesha hamare sath rakhna padta hai. Ham kuchh bhi apne memory card ya pen drive se nilkalna ya dekhna chahte hai to hame ek aur device ki jarurat padti hai jaise ki computer ya mobile etc. Kyunki avitak memory card ya pendrive me koi aisa display nahi aaya hai jisme ham apna data dekh sake. One drive ek online storage hai. One drive Microsoft ka product hai jaise dosto aapko pata hoga Ms word, ms power point , windows , windows 10 etc. Aise hi Microsoft ne isse bhi launch kiya tha. Jahapar ham apna data online upload ya kahi par transfer kar sakte hai.


Dekhiye dosto duniya kafi teji se badal rahe hai aur ham baat kare technology ki to sayad har chij se jyada fast yahi badal raha hai. Ek jamana tha jab log cd , dvd, cassette wagera kharid kar koi movie ya shows dekhta tha. Issme kya hota tha ki har wo jagah par aapko ek tv cd dvd lekar jana hoga jaha par aap dekhna chahte the. Ussme bhi electricity compulsory tha. Aur badalti technology ko unhi sabhi problem ko aur bhi digital banadiya aur chalaaaya internet technology bas ab aapke pass ek mobile phone laptop hai to aap kahi se bhi kabhi bhi kuchh bhi dekh sakte hai jab man chahe tab. To dosto issi tarha ke problems ko najar andaj karke online storage ko banaya jisse ab hame kahi par kuchh lejane ki jarurat nahi bas ek internet bale smart phone ya fir laptop hai to ham apne sabhi data ko online se hi kahi se bhi access kar sakte hai. Ye bhi same google drive ki tarha hi hai. Agar aapko google drive ke bareme nahi pata hai to isspar bhi bahut jald ek post likhne bale hai. Microsoft one drive me aapko ek account me  30GB tak free storage milega. Matlab aap one drive me 30gb tak apna photos , videos, docs ya aise koi data upload yani store kar sakte hai. Usse jyada karna chahenge to aapko usska premium storage plan lena hoga. Ya fir aap ek aur naya account banakar use kar sakte hai.

Microsoft oneDrive account kaise banate hai :


Maine Microsoft account kaise banate hai usske upar pehle ek article likh raha hai to aap Microsoft ka account create karne ke liye hamara ye article dekhsakte hai. Issme maine Microsoft ke bareme puri details ke sath bataya hu. Microsoft ke bareme hamare blog par aur kafi post hai aap wo bhi padh sakte hai.

Also See:





Microsoft onedrive ko kaise use karte hai | how to use onedrive :



Dekhiye ye bhi lagbhag same google drive ke jaisa hi hai. Aapko onedrive.live.com kholkar apne Microsoft account se login karna padta hai. Agar aapke pass Microsoft ka account nahi hai to aap create bhi kar sakte wohi se. Agar aapko Microsoft ka account banana nahi aata hai to koi baat nahi aap hamar Microsoft account kaise banate hai wo post dekh sakte hai. Aap chahe to apne android phone ke liye oneDrive ka android application bhi download kar sakte hai. Ya fir agar aap iOs , pc me oneDrive application ko use karna chahte ho to aap usske liye bhi Microsoft oneDrive app ko download kar sakte hai. Aap sidha onedrive.live.com kholkar bhi apne Microsoft oneDrive me login kar sakte hai. Jab aap apne Microsoft oneDrive account me login hojayenge to aapko kuchh isstarha ka options dikhega.


Files :
     
              Iss option par click karke aap apne oneDrive storage me jitne bhi files hai wo sab dekh sakte hai ya fir waha par apna koi naya files upload kar sakte hai.



Recent :
              Yahapar aapko ek Recent ka bhi option dikhjayega. Aap iss option ko bhi use kar sakte ho.

        


Photos :

             Photos ke option par jab aap click karenge to aapko apne wo sare photos dikhjayega jo aapne apne oneDrive ke online storage ke share yani upload ki hai. Aap chahe to waha par upload bhi kar sakte hai.


◆  Shared :


             Yaha par aapko wo sara chij dikhjayega jo bhi aapne share kiya hai.


Recycle bin :
             Ye kafi achha option hai Recycle binka yaha par aap apne deleted data yani files ko fire Recycle kar sakte hai. Matlab aap deleted Files ko firse recover yani restore kar sakte hai.


◆ETC :
        oneDrive me aapko aise aur bhi bohot options aur features mil jayega jo aapke liye kafi fayade mand rahega.


Agar aapke phone me oneDrive ka application hoga aur aap koi photos , music , videos ya koi files apne phone sidha share karenge to aapko oneDrive share ka bhi option milega to aap waha se bhi apne Files ko sidha share kar sakte hai apne Microsoft ke oneDrive account me. Aap chahe to pura ka pura folder bhi upload kar sakte hai.


Microsoft oneDrive storage safe hai :


Dekhiye dosto Microsoft koi chhoti moti company nahi hai ye baat aapko bhi pata hai. Ye koi bhi product launch karta hai to pehle sochta hai ki agar hamne isse band kardiya ham pe duniya ka kya asar padega kyunki bohot se aise bhi log hai jo ki apna kafi sara important data isspe store kar ke rakhte hai. Agar ye future me kabhi band bhi karega to aapko pehle warn kardega. Aapke documents ya files puro tarha se Microsoft oneDrive account me safe hai. Bas aapko apne account ka details apne pass rakhiye jaise ki , E-mail , password , verification number etc. Aapka data pura safe rahega aur aap jab chahe use kar sakte hai. Memory card ya pendrive kharab huwa to aapka sara music , videos , wagera gaya par issme aisa nahi hota hai kyunki online storage hai. So aapko befikra hokar sabdhani se isse use karna hai.


To dosto ab aap Microsoft oneDrive kya hai isspar account kaise banatw hai. oneDrive online storage ko kaise use karte hai. Kya onedrive safe hai ya nahi ye sare chij aapne iss post me jaan li hai. Insabhi sabalaon ka jabab maine iss post dene ki kosis hai jo rehgaya ho usse mai agle kisi post me dene ki kosis karunga. Microsoft oneDrive account me login kaise kare , Microsoft oneDrive account login , microMicr onedrive apk , Microsoft onedrive apps download , Microsoft oneDrive sign up , Microsoft oneDrive account create, Microsoft oneDrive application download.
Agar avi aapke manme koi sabal hai to aap hame comment me puchh sakte hai. Aap apne dosto ke sath iss post ko share karna na bhule. Iss blog par likhe gaye sabhi post sirf knowlede ke liye hota hai. Aap aise aur bhi bohot se articles english me padhna chahte hai to dailynewlearn.com par jakar dekh sakte hai. Aapne apna bahumulya samay dene ke liye dhanyavad aise hi naye naye jankari lekar mai aapke sath aata rahunga.


Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

2 comments

comments
May 18, 2022 at 3:29 PM delete

I like your all post. You have done really good work. Thank you for the information you provide, it helped me a lot. I hope to have many more entries or so from you.
Very interesting blog.
howcrack.org
Microsoft OneDrive Crack

Reply
avatar