Android mobile se deleted contacts ko restore | recover kaise kare full details

How to recover | restore deleted contacts on your android mobile phone full details in hindi






Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai aaj ham sikhenge ke apne mobile phone se deled huye contacts ko recover kaise kare. Aap aise hamare blog ko visit karte rahiye. Aur apne dosto ko bhi hamare blog ke bareme bataiye. Taki wo bhi kuchh lega. Dekhiye dosto kai bar ham hamare sath kya hota hai ki hamare phone me kitne important contacts hote hai. Jaise ki hamare relations, family , friends , Boss, teachers , kisi office, ya kisi college , school , airlines etc. Aise bahut se jaruri contacts hamare mobile phone me hote hai. Aur hamse galti se kabhi kabhi wo sare contacts delete hojata hai. Fir hame kafi paresani hota hai. Ham kitne hairan hote hai ki kash wo number firse wapas la pate. Kaise ab ham uss sabhi number ko firse recover karsakte hai. Hamjyada logo ke contacts apne phone me rakhte hai to jahir si baat hai ki hame unsabhibke sath koi na koi kaam to jarur padta hai. Aur jaruri ke wakt hamare pass wo contacts na hone ke wajah se hame kafi problem hota hai. Usswakt ham chahte hai ki kisi bhi tarha yaar hamare pass wo contact wapis aajaye.




Kis type ke contacts ko ham recover karna chahte hai :-


1. Office :-

Agar aap ek office me kaam karte hai to jahir si baat hai ki aapko aapke office ke sath contact karneke liye har wakt jarurat padta hai.


2. Family :-

Kabhi kabhi kya hota hai hamare mobile phone me se galati se hamse hamare family ka hi number delete hojata hai. Aise me ham kahi bahar hote hai to hame apne family ko call to karna hi hota hai aur number na hone ke wajah se hame kafi paresani hote hai.


3. Friends :-

Dekhiye dosto ka bhi contacts hamare liye kafi important hota hai. Kuchh dosto ke sath ham itne close hote hai ki hame unka contacts chahiye hi hota hai. Aise me hamse unka contacts delete hojata hai to hame kitni problem hoti hai.


4. Relations yani restedar :-

Relations ke contacts kiske mobile phone me nahi hota hai. Aur kisko relations ke sath kaam na padta ho nahi bhi padte hai to bhi ham apne relations ko call karte hai. Aise me hame hamare relations ka contact na ho to hairani hoga hi aapko pata hi hai.


5. Boss :- 

Hame hamare boss ka bhi contacts apne pass rakhna kafi jarurat hota hai. Hame kabhi kisi kaam ke wajah se kahi bahar jana hota hai yafi office ja nahi pate hai. To aise me ham apne boss ko call karke unse chhuti le sakate hai. Ya unhe bata sakte hai ki aaj iss kamke wajah se mai nahi aa paunga.


6. School / college :-

School ya college ka bhi contacts hamare pass hona kafi jarurat hai kai bar koi form khulta hai ya notice nikal ta hai aur ham kahi bahar hote hai. Kaibar exam ka date nikalta hai aise me agar hamare pass uss school ya college ka contacts hota hai to ham call karke uss notice ke bareme ya kisi bhi chij ke bareme janakari hasil karte hai.


7. Teacher :-

Agar aap ek student hai ya parents hai to aapko Teacher ka bhi contacts rakhna chahiye. Ye bhi hamare liye kafi fayade mand hota hai. Kyun ki hame study se related koi problem aati hai to ham apne teacher se puchh sakte hai. Agar parents hai to apne bachoke liye tution ke liye ya fir kisi suggestions ke liye teacher ko call karsakte hai. Aise me hamare pass contacts nahi hota hai to hame kafi problem aati hai.


8. Transport / Restaurant :-

Agar hame kahi jana hota hai aur hame ticket lena hota hai bus ya plane ka kisi bhi transport ka to ham usse call karke ticket booked kara lete hai. Restaurant me bhi aise karte hai. Agar aise me hamare pass unka contacts nahi hota hai to hame kafi problem hoti hai.


Contacts hamse delete kaise hojata hai :-


Ye koi badi baat nahi har kisi se contacts delete hota hai. Chahe wo koi bhi ho. Yaha kuchh common reasons hai jinke wajah se hamse koi contact galati se delete hojata hai.

1. Hamare phone ka contacts list full hojane ke wajah se ham kuchh contacts delete karte hai hai to galati se important contact bhi delete hohata hai.


2. Bahut sare anjan number contacts me hone ke wajah se ham delete karte karte apne kaam ke number ko delete karlete hai galti se.


3. Hamara phone bache ya koi anjan insan chalaraha hote hai aur galati se usse delete kardete hai.

4. Mobile phone me contacts save hota hai aur ham kabhi kuchh karne ke liye delete all data kardete hai aur galati se hamare phone ka contacts delete hojata hai. Etc.



Apne mobile phone se deleted contacts ko firse recover |restore kaise kare yani wapis kaise laye :-



1. Sabse pehle aap apne mobile me Deleted Contacts application ko play store se download karke install kar lijiye. Aap niche digayi download link se bhi iss application ko download kar sakte hai.

Deleted contacts app icon





2. Deleted Contacts application ko aapko open karna hai. Deleted Contacts open hote hi aapko All contac show karega ye wo contacts hai jo aapke mobile me save hai. Side me dekhenge to aapko Deleted Contacts ka option dikhega aapko usspar tap yani click karna hai.



3. Deleted Contacts par click karne ke badh aapko sab deleted contacts dikhega jo aapke mobile phone se delete hogaya hai.


4. To aapko jiss jiss deleted contacts ko recover yani restore karna hai uss contact par aapko tap karna hai. Deleted Contact ke name par tap yani click karte hi aapk contact restore hojayega.

Aapko contacts ka name bhi likha huwa dikhega jiss name se aapne save kiya tha.


5. Aap upar right side me dekhenge to aapko 3 dotted line dikhega aap usspar tap yani click karenge to aapko restore aal ka option dikheg. Aap restore all je option par click karke apne sabhi deleted contacts ko ek sath restore kar sakte hai.




Aise karke aap apne sabhi deleted contacts ko firse restore kar sakte hai.


To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye sithandWritinge nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post dekh sakte hai. 

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

2 comments

comments
September 11, 2018 at 9:17 AM delete

Kya mobile format karne ke baad bhi contact restore ho jayenge

Reply
avatar
January 2, 2020 at 12:14 AM delete

Nice article, this post is very interesting to me. Thanks...

The Android users are increasing daily and I hope this recovery tool may help the smartphone users which are suffering from data loss and media files deletion from them.

I would like to recommend you the android data lost users to use Android Data Recovery Software to get easily and in just a few steps they will get back their all lost data from LeMax, Realme, Samsung, Blu Dash, Xiaomi, Huawei, ZTE, Lenovo, Motorola, Oppo, OnePlus, and much more mobile phones also.

Reply
avatar