Kisi Bhi Android Mobile Ki Screen Full HD me Record Kaise Kare DU Screen Recorder

How to record full hd android mobile screen using du screen recorder full details






Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki ham kaise apne android mobile ka screen hd me record kar sakte hai. Ji haan dosto technology ke duniya aajkal itne teji se badhraha hai ki ham soch bhi nahi parahe hai. Ham jo sochte hai technology usse pura kardeta hai. Bilkul aise hi android ki duniya hai ham jo kuchh android phone me karna chahte hai usske liye koi na koi application internet par available hota hi hai. Ab ham android mobile phone ka bhi screen record karsakte hai wo bhi hd quality me kafi features ke sath. Pehle kya hota tha computer ki bhi screen record  karne me kuchh paresani hota tha android ki to baat hi chhodiye. Hame pehle kisi chij ka screen record karne ke liye alag se ek badhiya camera set up karna padta tha. Fir bhi ham utne jyada achhe se mobile ke screen ko record nahi kar pate the. Par android ki duniya iss problem ko najar andaj karke isska bhi solution le aaya. Aur android ke liye aise application available kardiya jisse ham apne android mobile ka screen record kar sakte hai. Par kya hota tha pehle android mobile ka screen record karne ke liye hamara phone root hona chahiye tha. Bina root bale phone me ham uss screen record bale application ko use nahi kar pate the. Badhti technology ki duniya dekhiye fir aaya bina root bale phone ke liye screen record karne ka application jisse ham apne mobile phone ki screen ko bina root ke hi record kar sakte the. Par ussme me bhi kya hota tha uss application se screen record ki gayi sabhi videos me uss application ka watermark aata tha yani uss application ka name niche ya side me likha huwa aata tha. Kafi logo ko wo pasand nahi tha fir bina watermark bala bhi application net par available hogaya jisse ham apne android mobile phone ka screen bina watermark ke record karsakte the. Iss application ke ham apne mobile screen to record kar pate the par isske bhi kuchh conditions tha jaise ki hamara phone lollypop ya version 5.0 se upar hona chahiye tha ya fir usse niche version bale phone rooted hona chahiye tha. Ab usswakt kafi logo ke pass lollypop ka version 5.0 ya isse upar version bala phone nahi tha aur root kafi log apne phone ko karna nahi chahte hai. Aise me wo sab apne mobile ki screen record nahi kar pate the.  Par ab android ki duniya dekhiye ab aise aise application internet par available hai jisse ham apne kisi bhi android mobile phone ke screen ko record kar sakte hai. Chahe wo rooted ya rooted nahk bhi ho ya fir lollypop ho ya lollypop nahi bhi ho.


Mobile ki screen record khaskar kaun karta hai aur kyun :-



Waise to mobile ki screen lagbhag bahut se log karte hai apne apne kaam ke liye. Par yaha par mai aapko kuchh unlogo ke bareme bataunga jo kafi screen record karte hai.


# Students | Teachers :-

Students ya teacher bhi kafi apne mobile ki screen ko record karta hai. Khaskar teacher agar aap online teaching karte hai to jahir si baat hai aap screen record karte hi honge. Aapke pass computer nahi hai to aap mobile se bhi videos banakar kisiko online vej sakte hai aur online teaching ka subidha de sakte hai.



# Blogger | Youtuber :-

Agar aap ek blogger ya youtuber hai to sure aap apne mobile ka screen record karte honge. Sabse jyada to youtuber kyunki ek technology channelbale youtuber ko mobile ka screen record kafi jyada karna padta hai. Youtuber ke liye ye lagbhag daily ka kaam hai.


# Gamer :-

Agar aap ek gamer hai ya fir aapko game ke aadat se majbur hai to aap mobile ki screen record karke kisiko dekha bhi sakte hai ki maine iss game me highest itne score hasil ki hai. Ya fir aap game khelte wakt mobile ki screen record karke youtube se paise bhi kama sakte hai.


# cyber ya others :-

Cyber bale bhi mobile ki screen ko record karta hai apne kaam ke liye. Sath hi sath others log bhi apne mobile ka screen record karna chahte hai.


Khair jo bhi screen record karna chahte ho kisi bhi karan se sab ke apne apne wajah hota hai. To chaliye ham janlete hai ki kaise ham apne android mobile ka screen record kar sakte hai. To aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.


Android mobile ka screen hd me kaise record kare using Du screen recorder :-



1. Sabse pehle aap apne android phone me DU Screen Recorder application ko install karlijiye.

 Aap playstore se bhi Du Screen Recorder ko download karsakte hai.

Download Du Screen Recorder


2. DU Screen  Recorder application ko install karne ke badh aapko usse open karna hai. fir aapko kuchh instructions show karega aapko usse follow karna hai. Du screen recorder start hojane par aapko back chale jana hai.


3. Fir aapko aapke mobile screen par Du screen recorder ka icon dikhega. Aapko uss screen recorder ke icon par click karna hai. Fir aapke Samne kuchh istarha ka options show hoga.




#  Red Dot yani Screen record :-

Ji han aap iss red dot bale option par click karke apne mobile ka screen hd e record kar sakte hai. Chaliye kaise ham issko use kare janlete hai.




a) Red dot bale icon par click karenge to du screen recorder aapko bolega aapke screen par jo kuchh bhi show hoga ham usko record karlenge. 

Agar aap bar bar nahi iss notice ko dekhna chahte hai to aap Don't Show Again par tick karke start now par click kar dijiye. Ya fir aise hi Start now par click kardijiye.


b) Ab ulta count down suru hoga 3 2 1 karke fir aapke mobile ka screen hona start hojayega. 


Agar aap screen recording kuchh der ke liye rokna chahte hai to aap apne mobile ke screen ko upar se niche slide karke Recording ko Pause ke option par click karke roklijiye. Fir aap wahi se resume bhi karsakte hai.


c) Agar aap apna recording save yani stop karna chahte hai to fir se screen ko niche slide karke stop par click kardijiye.

Stop par click karne par aapka recording video save hojayega fir aapko wo share ka options dega. Aap chahe to usse share bhi kar sakte hai.


# Home :-

Aap firse Du ke icon par click karenge to aapko Red Dot ke niche ek home ka icon dikhega. Aap iss icon par click karenge to Du app ke home par chalejayenge. Aap waha se video select karke usse edit bhi kar sakte hai. Aur settings wagera bhi.


# Recording Tool box :-

Aap Du ke icon par click karenge to aapko live option ke upar ek tool box setting ka icon dikhega. Aap uss par click karenge to aapko fir kuchh iss type ka options dikhega.





* Du Screenshot :-

Aap chahe to Du Screenshot ko bhi enable kar sakte hai. Isse aapke screen par ek screenshot ka icon aajayega jisse aap kisi bhi chij ka screenshot le sakte hai bina apne mobile phone ke button ko touch kiye. Screenshot me app ka icon bhi nahi aayega.

◆ Camera :

Aap chahe to camera ko enable karke apne screen par isska icon la sakte hai.


◆ Brush : 

Aap chahe to brush ke option ko enable kar sakte hai. 

◆ Gif Recorder :

Aap chahe to gif recorder ko enable karke gif recording bhi kar sakte hai.


◆ Show touches :

 Aap isse enable karenge to aap kisi bhi chij par touch karenge to aapko touches dot dikhega.


◆ Water Mark :

Issko enable karenge to aapke video aur photos me du screen recorder ka water mark yani name ya icon dikhega.


# Live :

Aap Du screen recorder ke icon par click karenge to aapko niche ek liVe ka option dikhega waha se sidhe apne facebook , youtube ya twitch par live dikha sakte hai.



Du Screen recorder ke kuchh popular features :-


#  Video Edit :

Aap issme kafi badhiya video editing kar sakte hai. Aap issme video ka background  change karsakte hai. Video Trim karskate kisi bhag ko remove karskate hai. Koi music laga sakte hai video me.  Subtitles add kar sakte hai.  Intro aur outro laga sakte hai. Crop kar sakte. Video ka speed manage kar sakte hai. Rotate kar sakte hai.


#  Video  Marge :

Yaha se aap apne video marge bhi kar sakte hai easily.


# Video to Gif :

Aap apne video ko gif me bhi convert kar sakte hai.

# Wifi transfer:

Aap wifi transfer features ka bhi istemal kar sakte hai.


# Edit Image :

Aap apna koi image bhi edit karsakte hai.


# Stich Image :

Aap sabhi image ko ek sath stich karsakte yani ek sath jod sakte hai.


DU Screen recorder ka settings kaise set kare :-


Ye apne hisab se kar sakte hai. Phir mai kuchh yaha par aapko bata diraha hu. Issme main 2 settings hai ek video aur ek control.

# Video Settings :


◆ video resolution :

Issme aap apne video ka resolution set kar sakte hai. Aap kaise quality me record karna chahte hai wo. Aap full hd me screen record karna chahte hai to aap 1080P select kijiye.


◆ Video Quality :

Aap issme video quality set kar sakte hai. Aap high quality me record karna chahte hai to jo sabse jyada mb hai aap wo select kijiye.


◆  Record Audio :

Aap apne video me audio bhi record karna chahte hai to aap record Audio bale option ko enable kardijiye.


# Video Location :

Issme aap video ko kis folder me rakhna chahtre hai wo select karskate hai.


◆ Video Invert color :

Iss option par click karke aap apne video ke color select kar sakte hai.


# Control settings :-

Ye aap khudhi apne hisab se kar lijiye post kafi lamba hichuka hai. Baki sab aapne tarike se manage karsakte hai.



Related Search :-

Android mobile phone ka screen kaise record kare , android mobile kisl screen record kaise kare without root , android mobile ke screen record karne ka app ya software , android mobile phone ka screen record kaise karte hai, how to Record mobile screen in hindi, android me screen record kaise kare, android mobile se screen record kaise kare, Du screen recoder kya hai, how to download du screen recoder du screen recoder app kaise download kare , Du screen recoder se mobile ke screen kaise record kare full details.

Aap hamare blog ko subscribe karna na bhule aur post ko share harur kijiye. Aap hamare is howtohelpinhindi.blogspot.com blog ko visit karte rahiye ham aise aur bhi post lekar aapke liye aate rahenge. Aap hamara aur bhi post padh sakte hai niche catagory me jakar.


Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

1 comments:

comments
July 19, 2018 at 2:10 AM delete

Aapka whatsapp number chaiye please help

Reply
avatar