How to find lost or stolen android mobile phone full details in hindi
Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham ek bahut hi important topic ke bareme sikhenge. Actually aaj ham apna guma huwa ya fir chori hogaya phone ko kaise khojte hai wo bhi bina kisi apps ke. Isske bareme aaj ham achhi tarha se sikhenge. Dekhiye aajkal kiske pass mobile phone nahi hai. Har kisike pass dekhenge to ek smart phone to milhi jayega. Kyunki jamana itna develop hogaya hai kisi din par din technology ka bikash hota hi jaraha hai. Farak itna hai ki kisike pass thode saste smart phone hote hai to kisi ke pass thode mehange. Ab ye to sab apne apne sochke hisab se phone kharidte hai. Aajkal to lakho ki price me bikne bale phone bhi logo ke hath me hote hai. Agar aise man lijiye aapka phone kahi gum hogaya yani khogaya ya fir chori hojaye to aap kitna paresan honge. Kyunki log mahange phone sirf logo ko dikhane ke liye hi nahi balki usske jariye log apne apne bahut si important work bhi karte hai. Aajkal to log mobile se hi marketing , internet bankin etc. Aise bahut se kaam mobile se hi karne lage hai. Aise aapka phone gum hojata hai ya fir chori hojata hai to aapko kafi problem aata hai.
Bahut baar ham apne purane yaadgar chij jaise ki koi photo , video , voice etc apne phone me rakhe hote hai phone chori hojane par wo sab khojata hai. Fir hame kafi absos hota hai ki kash ham wo sab wapis lapate. Manlijiye aapka phone kahi gum hogaya aur kisi achhe insan ke hath me chalegaye wo to aapka phone dena chahta hai par aapko wo bina kisi adress ko kaise dega.
To aaj ham unhi tariko ke bareme janenge ki kaise ham apne guma huwa ya fir chori huwa phone ko bina kisi app ke kaise khojenge. Dekhiye internet par aise bahut se application maujud hai jinke jariye aap apne guma huwa ya gir chori huwe phone ko khoj sakte hai. Par kuchh apps me kya hota hai ki wo apps aapke uss chori huyw ya fir gum hogaye mobile bhi pehla install honi chahiye tab jake aap usse recover kar payenge. Yaha par mai aapko batane bala hu ki aapke gum hogaye ya fir chori huye mobile phone me koi aise third party apps pehle se install na bhi ho to ham kaise khoj payenge wo bhi bilkul legally.
Apna chori huwa ya fir guma huwa phone kyun khoje :-
Why we find our lost or stolen phone in hindi :-
Ab dekhiye ye to sabke apne apne reason hota hai ki ham apna khoya huwa phone kyun dhunde. Par yaha par mai kuchh aise hi common reasons bata rahahu jinke wajah se log apne chori huwa ya fir khoya huwa phone ko dhund te hai.
Aajkal log mobile se hi net banking karte hai to ussme kuchh important data hone ke wajah se. Mobile me family photos, videos ya fir koi aise private ya memorial chij hone ke wajah se. Mobile phone mehange hone le wajah se. Phone me kuchh jaruri data hone ke wajah se. Aise bahut se reason hai jinke wajah se log apne gum hogaye ya fir khoye huwe phone ko dhundta hai. Kaibar ham apne ghar par hi kahi par phone rakhdete par hame wo mil nahi raha hota hai. Jaruri contacts , messages hone par bhi ham khojte hai.
To chaliye ham janlete hai ki ham apne khoye huye ya fir chori huwa mobile phone ko kaise dhunte hai. Aap iss post ko achhi tarha se padhiye air samajhiye.
Apne chori huwa ya fir khoya huwa Mobile phone kaise pata lagaye bina kisi apps ke mobile aur computer dono se :-
How to find lost or stolen phone using mob without any apps and software in hindi :-
Dekhiye isske liye aapke apne uss khoye huye ya fir chori huwa phone me pehlese gmail yani google account login hona chahiye. Aap playstore , youtube , gmail jaise google ke kisi service me apne gmail account se chori huwe phone login hona bahut jaruri hai. Aajkal to lagbhag har kisike phone me to pehle se gmail login hota hi hai kyunki bagair gmail account ke ham android phone me bahut kuchh nahi chala payenge. To chaliye jante hai kaise ham apna khoya huwa Mobile phone khoje.
1. Sabse pehle aap apne kisi dusre phone ya fir computer ke browser me google open karlijiye. Aap google.com par jakar bhi google ko open kar sakte hai.
2. Usske badh aap apne browser me search kijiye Android Device Manager. Aap picture me bhi dekhsakte.
3. Fir aapko kuchh kuchh results show hoga to aapko sabse pehle bale option jissme likha hoga Android Device Manager - google
Aapko iss option par click karna hai aap picture me bhi dekhsakte hai.
4. Usske badh aapko apne uss gmail account se login karne ko bolege jo aapke gum hogaye ya fir chori huye phone me login hai.
Agar aapne 2-3 gmail account apne uss khoye huwe phone me login kar rakhe hai to aap koi bhi ek gmail account se apne iss phone ko login karsakte hai.
5. Login karne ke badh aapke samne android device manager open hojayega. Jissme aapko map dikhega aaur kuchh options bhi. Options kuchh isstarha hoga ,
# Phone model with Icon :-
Aap yaha par aap apne uss khoya huwa phone ka model yani naam aur apne phone ka picture bhi dekhsakte hai.
Agar aapne apn wo gmail account 3-4 mobile phone me login kar rakhe hai to aap uss phone bale model number par click karenge to aapko wo sabhi phone ka model aur picture dikhayega to aapko uss model bale Icon par click karna jo phone aapka gum hai yani khogaya hai.
# Location :-
Yaha par aapko ek dot ka option dikhega jo ki location hai. Aap uss dot bale Icon par click karke apne phone ka location pata kar sakte hai. Ji haan location lagbhag exact hi bata hai. Wo bata dega aapka phone avi kaha par hai kitne meter ki duri par hai. Isskeliye aapke uss khoye huwe ya fir chori huwe phone ke location on honi chahiye aur internet bhi uplabh honi chahiye.
# Lock :-
Yaha par aapko ek lock ka option dikhega to aapko uss lock ke option par click karna hai. Aapko apne phone ko lock kardena hai taki koi aapke data ko miss use na kare. Aap lock ke option par click karenge to aapko fir new lock screen ka kuchh option dikhega. Options kuchh iss tarha hoga,
● new password :-
Yaha par aapkoi ek password dal dijiye. Yad rahe aap google ka password yaha par mat daliyega. Koi ek naya password dal dijiye.
● confirm password :-
● Recovery message (optional) :-
Yaha par aap kuchh likhdijiye kyunki ye message phone lock honepar screen le upar show karega.
Aap kuchh bhi recovery message me likhsakte hai jaise ki "Plz agar ko ye mila hai to mujhe mere iss number 98******64 par call karke lauta dijiye. Kyunki issme mera important data hai. Badle me mai aapko kuchh paise inam dunga. " Ab dekhiye ye to uss person par depend karta hai jissko aapka phone mila hai. Kuchh phone lauta bhi dete hai.
● Phone number (optional) :-
Yaha par aap ek phone number daldijiye jiss par wo person call karke aapko bata dega ki aapka phone mere pass hai lejaiye. Ye bhi lock screen ke upar show hoga.
Usske badh aap niche lock ke button par click kardijiye. Aap picture me bhi dekhsakte hai. Aapko phone lock kardena hi chahiye kyunki aap jab uss phone par ring karenge to wo aapka call end ya call kat na paye.
# Ring :-
Yaha par apko ring ka option milega usspar click karke aap apne uss chori huwe ya khoya huwa phone ko ring kar sakte hai.
Agar apne phone ko lock karlihai to aap jab ring karenge to koi dusra aadmi isse nahi band karpayega. Ye apne aap bajta rahega fir kuchh minute badh automatically band hojayega. Aapka phone chori hogaya hai to aap phone ko ring na kare warna chor usse silent ya fir off kardega.
# Erase :-
Ye jo hai Erase ka option ye bilkul last bala option hai. Ye option usswakt ke liye hai jab wo person aapka guma huwa phone nahi lauta raha hai. To aap iss erase ke option par click karke apne uss guma huwa phone ka wo sabhi data delete kar sakte hai jo aapke phone par tha. Jaise ki aapke phone ka contacts , call , messages , photos , videos , music , data etc. Aapke phone ka wo sabhi data deleted hojayega.
To dosto ye thi wo tarika jisse aap apne guma | khoya huwa ya fir chori huwa phone ko khoj sakte hai. Agar aapko ye sab karne par bhi aapka phone pata na lage to to aap police case bhi karsakte hai.
Related Search :-
How to find lost or stolen android mobile phone using android device manager ,
How to find lost or stolen android mobile phone location ,
Chori hua khogaya gum hua android mobile phone ka pata kaise lagaye,
Chori huye ya khogaye android mobile phone ka location kaise pata kare ,
Lost or stolen android mobile phone ko kaise khoje bina kisi application ke ,
Chori hua ya khoya hua android mobile phone kaise pata lagaye.
To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.
Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post dekh sakte hai.
2 comments
commentsHii
ReplyThis is the best way to track your lost phone
Reply