Kisi Bhi Android Mobile Ke Bareme Puri Jankari Kaise pata kare - Full details

How to get | check all information about android phone in hindi





Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelPinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham janenge ki ham kisi bhi android mobile ke bareme full details yani puri jankari kaise pata karsakte hai. Android mobile phone k bareme kuchh log to kafi aasani se pata karlete hai. Par kuchh logo ko mobile ke bareme puri details pata karna nahi aata hai. Fir wo dusre logo ko dikhane jate hai ki mere android mobile me kya kya features hai jaise ki kitne Ram hai kitne internal storage , kaunsa android version hai lollypop ya kitkat ya fir koi others

Mobile phone ke full details ham kyun pata karna chahte hai :-



Dekhiye aajkal aise aise android phone aane lage hai jo jiske bareme aam aadmi to kya thoda bahut mobile ke bareme janne bale bhi usska full details nahi bata sakta hai. Kyunki unhe bhi check karne me kafi paresani hota hai. Hamko jab koi hamare relations ta fir hamare liye hamare Daddy vaiya ya fir koi android phone ladete hai to ham sabse pehle uss phone je khasiyat ke bareme janna chahte hai.


Jab ham kabhi mobile ko kharidne jate hai ya fir kharid kar late hai to sabse pehle ham mobile ke khasiyat ke bareme janna chahte hai. Mobile ke bahut se information ham pata nahi karpate hai waise jo expert hai wo to aasani se pata karleta hai par jisko jyada mobile ke bareme nahi pata hai usse thoda paresani hota hai. Aaj mai aapko yahi batane bala hu ham kaise kisi bhi android mobile ke bareme puri jankari pata kar sakte hai.


New Android mobile phone me khaskar kya kya pata karte hai :-


Waise to sab apne apne hisab se mobile ki khasiyat pata karte hai par kafi log kuchj istarah ka chij pata karna chahte hai.


# Internal storage :-

Lagbhag sabhi log apne mobile phone ka internal storage pata karna chahte hai. Wo dekhte hai ki hamare phone ka internal storage jyada hai ki nahi.


# Camera information :-

Ji haan apne mobile phone ka Camera ke bareme kauna nahi pata karna chahta hoga. Lagbhag sabhi log apne mobile phone ka font aur Back camera kitne MP hai wo check karna chahte hai. Sabhi log chahte hai ki hamare phone ka camera kafi jyada MP ho. Bahut se phone me camera je bareme pata karna thoda muskil hota hai. Par aaj mai aapko jo tarike batane bala hu usse koi paresani nahi hoga.


# Screen Size :-

Ham apne mobile phone ke screen ke size ke bhi bareme janna chahte hai ki hamare phone ka screen kitne inch ka hai kitna lenth aur breadth hai. Kyun Screen ka size kafi hamare liye kafi importance rakhta hai.


# RAM :- 

 Ji haan dosto RAM kafi important hota hai hamare android mobile phone me. Hamare phone ka ram jitna jyada hota hai ham apne mobile phone me utne jyada application ko install karke usee run karsakte hai. Isiliye jyada ram bale phone ko choose karte hai.


# Android version :-

Jab baat aati hai android mobile ki details pata karne ke bareme to android version check karne ka sabal aata hi hai. Har koi apne mobile phone ka android version check karta hai. Ham chahte hai ki hamara android version jitna hosake jyada ho. 


To chaliye ham janlete hai ki kaise ham kisi bhi android mobile phone ka full details pata kar sakte hai. To aap postko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.


Kisi bhi android mobile phone ka puri jankari kaise check yani pata kare :-



1. Sabse pehle aap apne android mobile phone me My Android application ko download karke install karlijiye.

Aap playstore se bhi iss application ko download karsakte hai ya fir niche digayi download link se. Waise to internet par kafi sare aise application hai jinke help se ham android mobile phone ka details pata karsakte hai. Par ye application mujhe best laga.



2. My Android application ko install karne ke badh aap usse open kijiye fir aapko kuchh options dikhega.  Aap insabhi options par click karke apne mobile phone ke puri details pata kar sakte hai.


Options kuch istarha hoga,



# My Phone Apps :

Iss option par click karke aap apne mobile phone par install unsabhi app ko dekh sakte hai. Aur aapne apne phone me kaunsa application ko kis date par install hai wo sab bhi dekh sakte hai. Aapke mobile pehle se jo application install rehta hai wo kis date par install huwa hai aap wo bhi dekhsakte hai.




# Memory :

Aap memory ke option par click karke apne mobile phone ka internal aur external storage ke bareme pata karsakte hai.


# Screenshot :

Iss option par click karke aap apne mobile me kistarha se screenshot lesakte hai wo dekhsakte hai. Aur jan pata kar sakte hai ki aapke mobile phone me kis tarha ka screenshot supported hai.


# Call History :

Iss option par click karke aap apne phone ka known aur unknown calls check karsakte hai. Issme today , yesterday aur last week ka call details pata kar sakte hai.


# Location Tracking :-

Aap iss option ko use karke apne phone ka location bhi track karsakte hai.


# Internet :

Iss option me aap apne phone ke internet ke bareme bata karsakte hai. Wifi supported hai ki nahi pata karsakte hai. Ya fir aapka wifi abhi kis network se connected hai pata kar sakte hai.


# Scre Size :

 Iss option par click karke aap apne android mobile ka size pata kar sakte hai ki aapke phone kitne inch aur pixels ka hai.


# Screen Density :

Option par click karke aap apne phone ka screen density Low hai ya medium ya high ya fir extra high ya fir extra extra high ye sa check karsakte hai.


# RAM :

Iss option par click karke aap apne mobile phone ka RAM pata kar sakte hai ki aapke mobile me kitne GB RAM hai.


# Android Version :

Iss option par click karke aap apne mobile phone ka android version check kar sakte hai. Aapka phone lollypop hai kitkat ya usse upar kuchh koi bhi ho check karsakte hai.


# Manufacturer and Model :

Iss option me apne mobile ka manufacturer pata kar sakte hai. Aur apne mobile ka model bhi aapke phone dual sim support hai ki single wo bhi dekh sakte hai.


# Android Tips :

Iss option par click karke aap android bareme kuchh tips lesakte hai. Jo features aapke mobile me available hota hai.


Iss my android application ko use karke aap kisi bhi mobile ke full details pata karsakte hai. Aap hamare aur bhi aise kafi achhe achhe post niche catagory me jakar dekh sakte hai.


To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post dekh sakte hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

1 comments:

comments