Google Account Yani Gmail ID Ka Mobile Number Kaise Change Kare Full Details

How to change mobile number on Google or gmail account full details in hindi





Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki apne google yani gmail account me mobile number kaise change karsakte hai. Bahut se logo ko google gmail me Mobile number change karna nahi aata hai. Par koi bat nahi agar aapko bhi nahi aata hai to aaj aap sikhjayenge ki ham kaise ham kaise apne google aur gmail account ka mobile number change karsakte hai.


Google gmail account me mobile number kyun change kare :-



Dekhiye ham apna gmail account kisi friends, family ra relations ke number par kabhi kisi kaam lagne par banalete hai. Par ham badhme unse dur chale jate hai. Aur aise me ham kabhi kisi computer ya kisi aur browser se kabhi kabhi google aur gmail account login karte hai. To google hame verify karne ke liye bolta hai ki ye gmail account aaphi ka hai ya fir kisi aur ka. Aise me aap verification code kaha se layenge agar aapko uss gmail me kuchh jaruri kaam ho to login to karna hi padega. Par aap bina confirmation code ke login nahi kar payenge. Isiliye agar aap kisi aur ke number par apna gmail account bana lete hai to jaldhi aap apne google  gmail account ka number change karlijiye. Kyun ki ham lagbhag bohot se kam apne gmail account se karte hai.


Agar aap ek android user hai to aap bina gmail account ke android phone me bohot kuchh nahi kar payenge. Android me lagbhag google internet se related kam ke liye google account chahiye hi hota hai. Agar ham kisi aur ke mobile number se apna gmail account banate hai to hame usse verify karne me kafi dikkat hota hai.


Isliye sakbhar aap apne mobile number se hi apna gmail yani google ka account banaye. Kabhi kabhi ham net banking karte hai to ussme bhi recovery email par apne gmail email diye hote hai. Aise ham apna gmail account verification ke wajah se logi nahi kar payenge to wo bank bale account recover kaise kar payenge. Fir ham koi bhi account recover nahi karpayenge jo iss gmail se bane honge.


Kabhi kabhi kya hota hai hamara mobile phone hi khojate hai. Aise agar aap ek blogger ya youtuber hai aur aapka blog, youtube aur adsense hamare gmail account se login hote hai. Par hamara mobile khojane par ussme sim card bhi lage hote hai aur hamara google gmail account ussi number se bane hote hai to kuchh log isska galat fayada uthata hai. Hamare google gmail account ko hack karleta password change karke. So aap please aapka phone khojaye ya chori hojaye to apne gmail account ka mobile number change karlijiye.


To chaliye ham jan lete hai ki ham kaise apne google aur gmail account me mobile number change kar sakte hai. Mobile aur computer dono ke browser me lagbhag same hi method hai. To aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.


Google Gmail account ka mobile | phone number kaise change kare full details hindi me :-



1. Sabe pehle aap gmail.com ya accounts.google.com par jakar apne uss gmail account se login karlijiye jis gmail account ka aap mobile number change karna chahte hai.


2. Gmail account me login karne ke badh aap apne gmail account ke profile picture bale icon par click karke my account par click karke Personal info & Privacy settings par jana hai. Aapko bas kisi tarha yaha par aana hai.




3. Issme aapko kuchh options dikhega jinme se ek Your Personal Info ka option hoga aapko usspar click karna hai.


4. Your personal info ke option par click karne badh aapko firse kuchh options dikhega jinme se ek phone ka option dikhega. Phone ke option me aapka mobile number bhi dikhega jiss number se aapne apna gmail account register kiya tha.




5. Phone ke side me edit ka option hoga aapko usspar click karna hai. Fir aap recovery phone ke option me chale jayenge. Aapke phone number ke side me ek edit ka ya pencil ka icon dikhega aapko usspar click karna hai.



6. Aapko uss pencil ke icon par click karna hai. Fir aapke samne ek update phone ka window khulega to aapko update number ke option par click karna hai.

7. Update number ke option par click karke aapko apna mobile number edit karna hai. Yaha par aap apna wo mobile number daliye jo aap ab rakhna chahte hai. Fir verify ke option par click kardijiye.



8. Phone number edit karne ke badh aapko Get Code ke option par click karna hai. Fir google aapke uss number par ek code vejega verify karne ke liye. Wo code aapko yaha par dalkar verify par click karna hai. Fir aap apna setting karke continue par click kardijiye.


Ab aapke google gmail account ka mobile number change hogaya hai. Aapko aapke gmail account me google mail kardega ki aapke gmail account ka phone number change hogaya hai. Aap istarha se apne kisi bhi google gmail account me mobile number change kar sakte hai. Aap hamare aise aur bhi kafi badhiya badhiya post dekhsakte hai niche catagory me jakar.


To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post dekh sakte hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

2 comments

comments
July 31, 2018 at 4:14 AM delete

http://bit.ly/Call_Google_
Google Launch Its New Google Customer Service Phone Number to fix all issues And Problems Faced By Google User
Google Phone Number -> 1-888-678-5401

Reply
avatar