How to send large videos or files everywhere online using filemail
Namaskar dosto aap sabhi ko mere blog me bahut bahut swagat hai. Aaj sikhenge ki badi se badi yani large file jaise ki movies, bada size ka videos, photos, music, software, ya aise koi bhi file ko kaise vejte hai online lagbhaa 30GB tak free me vejsakte hai pura post padhiye aur achhe se article ko samajhiye.
Large video ya kisi file ko online kaise vejte hai?
Dekhiye kabhi kabhi kya hota hai hame apna kisi video, music, photos, documents ect. Vejna hota hai. Agar ham kahi kisi party functions me jate hai ya fir kisi ke marriage yani shadi me jate hai to waha par koi video banalete hai aise me jaruri nahi ki hamare har koi friends waha pahuch sake koi koi nahi bhi aate hai. Fir wo bolte hai aare yaar sorry mai aapke party ya fir shadi me nahi aasaka please aap mujhe usska video vejdijiye mai dekhna chahta hu. Aise me ham sochne lagte hai aare yaar itna bada size bale video kaise veju. Aise me ham gmail, yahoo, hotmail jaise koi mail service file ko istemal yani use karte hai par insab me aap sirf limited file ko hi send kar sakte hai. Fir ham hairan hojate hai ki ab itne size ka video ya kisi file ko kaise veju.
To aaj mai aapke insabhi problem ka solutions lekar aaya hu ab aap badi se badi size bale file ko online duniya bhar me kisi ko bhi vej sakte hai wo bhi unlimited. Iske liye aapko ek website pe jana hoga filemail.com pe iss website pe aap koi bhi badi file ko online free me vejsakte hai iske liye aapko kisiko koi paise nahi dene padenge to chaliye ham isse points me samajhte hai. Iske liye aapko ek email account hona bahut jaruri hai. Agar aapke pass email account nahi hai to ye niche bala post padhiye.
1. Sabse pehle aap apne browser me filemail.com open kijiye.
Note :- Agar aap 30 GB tak ke file send karenge to aapko iske paise nahi dene padega ye bilkul free yani muft hai. Agar aap 30 GB se badi size ke file ko send karna chahte hai to aapko 1 mahine ka 9$ pay karna hoga. Agar aap filemail business ko subscribe karna chahte matlab usse kharidna chahte hai to aapko 15$ pay karna hoga issme aap badi se badi unlimited file ko send kar sakte hai isme file jaldi delete nahi hota hai 90 din tak available hota hai matlab aapke veje gaye din se 90 tak rahega fir apne aap delete hojayega. Aise aur bhi bahut sari features aapko mil jayega aap check karlijiye.
2. Filemail.com open karne ke badh aapke samne ek chhota sa forumm aayega usse fillup karlijiye matlab forum vardijiye aapko issme sign in ya fir register karne ka koi jarurat nahi.
Forum kuchh istarha hoga aur aise variye,
To (email):-
Aap yaha par uska email de jisse aap apne video ya fir kisi file ko vejna chahte hai. Aap picture me dekh sakte hai.From (email):-
yaha par aap apna email adress matlab jiss email se aap file ya kisi video ko vejna chahte.Subject :-
Yaha par aap subject ka naam likhdijiye taki jisse ye mail jayega wo subject dekhkar samajh jayega ki ye mail kis topic par hai.Message :-
yaha par aap apna message likhdijiye ki aap kya vejna chahte ya fir aap jo likhna chahte hai wo likh dijiye.Add file :-
yaha par aap click karke apne video, music, software ya kisi file ko select karlijiye jo aap send karna chahte hai.Add folder :-
yaha par click karke aap apne folder select kar sakte hi agar aap ka kuchh videos ya file kisi folder me hai to aapko ek ek karke select karne ki jarurt nahi aap folder hi select kar sakte hai. Par yad rahe free me aap sirf 30 GB tak ki file select kar sakte hai. Hosakta hai ye option mobile pe na bhi dikhe.Send :-
Agar aapne sabhi forum ko fillup karli hai to fir aap send par click kardijiye.3. Send ke button par click karenge to aapke samne ek chhota sa window khulega jisme transfer options likha hoga.
4. Transfer options kuchh istarha hoga,
# file will be available:-
Iss option me aapko days select karna hai ki aap ye file kitne din tak online rakhna chahte hai. Isme aap jyada se jyada file ko 7 din tak online rakh sakte hai. Aap chahe usse kam bhi kar sakte hai.# Notify me when files are downloaded :-
Issme aap check mark laga dijiye yani tick kar dijiye aise karne se kya hoga jab aapke duwara vejagaya files koi dekhta hai to aapko ye filemail message kardega yani ek notification vejdega.# Protect download page with pass word :-
Iss me aap download page par password set karke download page ko Protect kar sakte hai aise me koi kholega to usse password dena hoga. Par mai to kahunga aap isse khali hi chhod dijiye.HTTPS-Secure Transfer:
Ye secure transfer bale option free version me available nahi hai.
4. Fir jab aapka sara kam hojaye to aap firse send ke button par click kardijiye. Fir aapka file upload hokar send hone lagega. Aapke file ka size aur internet ke speed ke hisab se ye send hone me time lagata hai.
5. Fir aapko likha huwa dikhega your files were transferred successfully aur vi kuchh dikhega jaise ki aapne kitne din select ki hai aapka files utne din me auto matic delete hojayega. Jaise maine 7 din select kiya hai to mujhe dikharaha hai ki mera file 7 din badh automatically expire hijayega.
Ab aapka file completely send ho chuka hai aapne jisse veja hai usse apne email par ek mail aaya hoga aapke email duwara jab wo iss mail par click karega to usse filemail ka icon aur aapne jo file file send ki hai wo file aur uska details bhi dikhega.
Aap chahe to file ki application ko bhi download karke use kar sakte hai. Aap filemail.com ke site se ya fir playstore se apne Android phone ke liye filemail application download kar sakte hai. Same upar ke sare process apna kar aap kisiko bhi pure world me apne bade se bade large file ko vejsakte hai wo bhi free me.
To hamne bahut aasani sikh lihai ki kisi bade se bade yani large file ko free me unlimited online kaise vejte hai filemail ki help se.
To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega. Hamare sabhi post dekhe home par click karke.
Thank you
5 comments
commentsThis site is pretty good, I've found a new site to see movies. the site is very good complete. so many famous films and the latest movies are ready to be seen. If you like to see movies, you should try too! this is the site:
Reply👉 Full HD Hollywood Hindi Dubbed Movie Sites
👉 Full HD Bollywood Latest Movie Sites
And more…
I am constantly surprised by the amount of information accessible on this subject. What you presented was well researched and well written to get your stand on this over to all your readers. Thanks a lot my dear. buy youtube likes
ReplyThanks for sharing useful post. This is really helpful article for internet user.
ReplyVisit for latest programming and tech tutorials..
Ajax Contact Form Using jQuery and PHP
How To Add Dynamic Widget Areas in the WordPress Footer
This is an informative blog. Keep it up. I am looking forward to this kind of blog. Thanks for sharing it with us.
ReplyOutlook bellen nederland
Hi, I want to express my gratitude to you for sharing this fascinating information. It's wonderful that we now have the ability to share our thoughts. through blogs and internet services, I felt the same way, keep sharing more posts on this side with us in the future.
Replyvisit site