Email kisiko kaise aur kyun vejte hai gmail or google account ko use karke

How to send an email using gmail or google account in hindi




Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki kisi ko email kaise vejte hai. Aajkal kiske pass email nahi hota hai. Har koi apna ek email account jarur banakar ya kisi se banba kar rakhte hai chahe wo gmail par ho ya fir Yahoo ya fir hotmail ya fir kahi aur se banaye ho par email to har koi banake rakhta hai. Agar aapko email account kaise banate hai nahi pata to niche digayi email account kaise banate hai link par click karke padhlijiye.
Dekhiye email to har kisike pass hota hai par usse pata nahi hota hai ki kisiko email kaise vejte hai. Par aajkal to har jagah email hi use horaha hai. Agar aap kisi bank, college, school, office, university etc. aise kisi jagah par jate hai to dekhte honge waha ki insabhi company ne email ki subhidha derakha hota hai.  To aap hamare ye post pura padhiye fir aapko pata chal jayega ki kisiko email kaise vejte hai. 

Email kisiko kyun vejte hai??



Dekhiye waise to kisiko email vejne ki bahut si wajah hosakta hai. Kai log apne documents ko kahi par vejna chahte hai to email karte hai ya fir kisi company ke bareme janne ke liye email karta hai. Aajkal email itne popular hagaya hai ki bat hi chhodiye aajkal kaha nahi email use horaha hai.  Pehle kya hota tha hamare koi relation kisi country me rehta tha to usse letter likhkar apna sandesh pahuchana bahut hi muskil hota tha par fir bhi kabhi kabhi hamara message yani letter sahi pate par nahi pahuchta tha aise me roj roj ka halkhabar puchhne ka to sabal hi nahi uthta tha par jab email aagaya to har koi kisi ko bhi kahi bhi apna message kuchh hi second me vejdete hai wo bhi sahi pate yani adress par. Ab email ke bareme aur bhi jyada jankari ke liye hamare email kya hai post jarur padhiye.



Email aap apne kisi bhi vi email se vejsakte hai usske liye aapne kispar email account banaya hai aapko uske site par jana hai jaise gmail, yahoo, hotmail etc. Maine apna email account Gmail pe banaya hai to gmail email se email kaise vejte hai wo bataunga.

1. Sabse pehle aap accounts.google.com ya fir gmail.com par jakar apne gmail yani google account se sign in karlijiye. Agar aapne accounts.google.com par jakar sign in ki hai to aapko Gmail bale icon par click karna hoga. Agar aapne gmail.com sign in ki hai to koi problem nahi.


2. Ab aapke samne ek Gmail ka page khulega jisme side me likha hoga compose to aap compose bale button par click kardijiye.

3. Fir aapke samne ek chhota sa windows khulega jisme upar likha hoga new message options kuchh istarha hoga,

# To:-

Sabse pehle hoga to ka option aapko to bale option ke blank yani khali jagah par usska email address dalna hai jisse aap email vejna chahte hai. Jaise maine di hai onlyforyou195@gmail.com aap picture me bhi dekhsakte hai.



# subject:-

Aap subject me kis topic par email karna chahte hai wo likh sakte hai. Jaise maine di hai Happy Dashain aap kuchh bhi topic likh sakte jis topic par aap bat karna chahte hai. Aap achhe topic likhiye jisse aapki mail receivers ko samajh aajaye ki email kis bareme hoga. aap picture me dekhsakte hai.


# write message:-

Ab aap message likh sakte hai yani email likh sakte jo aap vejna chahte hai. Jaise maine likha hai Happy Dashain 2073 or 2016
Niche ya fir kisi side me dekhenge to aur bhi kuchh options hoga kuchh istarha,


# Formatting

Iss option pe click karke aap language choose karsakte hai size set karsakte hai italic, underline, colour etc. Select karsakte hai.


# Attach file

Isme click karke aap apne computer ya fir mobile se koi file ya fir document attach karsakte hai.

# Drive

Isme click karke aap google drive se koi file ya fir document ko attach karsakte hai.

# insert photo

Issme click karke aap koi photo select kar sakte hai.


# insert link

Agar aap email ke message me koi link add karna chahte hai to iss option par click karke add karsakte hai.


# emojis

Aap iss option par click karke aap apne email me koi emojis bhi use karsakte hai.

Ab aapko finally send ke button par click karna hai. Fir aapko ek message dikhega jis me likha hoga your email has been sent view message matlab aapka message ya fir email send ho chuka hai aap usse dekhsakte hai.












To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega. Ekbar niche home par jarur click karke sabhi post dekhlijiye.
 
                         Thank you




Share this

Related Posts

Previous
Next Post »