Facebook friends list hide kaise kare aur kyun full details hindi me

How to hide Facebook friends list???

   


Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi channel me swagat hai aaj mai aapsabko batane jarahahu ki Facebook par friend list kaise hide karte hai ya fir chupate hai.

Facebook par friend list koi kyun hide karta hai?


Bahut se logo ko apne friends ki information ya fir apna friend list kisiko dikhana pasand nahi hota hai kyun ki kai log aise bhi hote hai jo apna id sabse chupakar rakhana chahte khaskar girls. Par wo bhi kisi ke friend list me hote hai to baki log bhi uski friends ki friend list me se uski id dekhkar friend request vejte hai ya gir uska information nikal te rehte hai. Mai aapko ek example dekar samjhata hu jaise ki man lijiye A ek person hai jo apna id jyada logo ke sath share nahi karna chahte hai par wo apne best friend B ki friend hai aur B ka friends A,C,D,E,F etc.  hai to jahir si bat hai ki C,D,E,F etc. Me se koi B ka friend list jarur check karega aur fir unsabhiko B ka friend A bhi dikhega to wo A ka information nikalega. Aur fir hosakta wo A ko paresan kare aise me thodi galtiya to B ki vi huyi na. Isiliye friend list ko bahut si person chupakar rakhte hai. Waise to friend list hide karne ka aur bhi kai karan ho sakta hai.

Friend list hide karne se fayada kya hota hai?


Friend list hide karne se bahut se fayade hosakta hai sabko apne apne tarike se fayada hota hai. Kuchh common fayade is tarha hai,

1. Hamare friend ki information kisiko pata nahi chalega.

2. Hamare jariye hamare friend ko koi paresan nahi kar payega.

3. Hamare kitne friends hai wo kisiko pata nahi chalega.

4. Kon kon hamara friends hai dusre logo ye pata karna muskil hoga etc.

Facebook friends list hide karne se kya nuksan hosakta hai


Harchij ka fayada hai to nuksan bhi Facebook friends list hide karne se koi khas nuksan to nahi hota hai. Par kabhi kabhi aisa hota hai ki agar friend list hide nahi hota hai to ham apne school,college,office ya fir apne kisi best friends ko apne kisi friends ke friend list me khojte hai to sayad mil vi jata hai. Par friend list hide hone ke bajese ham ye kam nahi kar sakte hai.
To chaliye ab sikhlete hai ki Facebook ki friend list ko hide ya fir dusro se kaise chhupate hai.

Facebook friend list ko hide karne ka tarika


1. Sabse pehle aapko facebook par ek account hona jaruri hai agar nahi hai to bana lijiye. Agar Facebook account banana nahi aata hai to hamare niche diye gaye article ke link par click karke padhlijiye.

Facebook par free me account kaise banaye

2. Ab agar aapne Facebook account banali hai ya fir aapke pass pehle se hi Facebook account hai to usme logged in hojaye.

3. Facebook me logged in hone ke badh aap apne profile me jaiye.

4. Profile me jane ke badh friends ka option hoga uspe click kijiye. Fir aapke sare friends show honge matlab sare friends ki list dikhne lagega.

5. Friend list ke side me find friends ke sath me ek manage ka button hoga uspar click kijiye. Fir privacy setting par click kijiye.


6. Privacy setting par click karne ke badh ek page khulega jiske upar likha hoga edit privacy setting aapko edit privacy setting par click karna hai. Aap picture me bhi dekh sakte hai.

7. Fir aapko kuchh options dikhega jisme sabse pehla option hoga friend list ka jisme likha hoga who can see your friend list? Uske badh hoga flowing ka option uske badh flowers ka option hoga. To indono  ke bareme ham badh me sikhenge.

8. Ab aap friend list bale option pe click karenge to kuchh options dikhega. Jisme sabse pehle hoga public uske badh friends,only me, custom wagera wagera.



9. Public bale option par pehle se hi tick hoga ab aapko choose karna hai ki aap apbe friend list kise dikhana chahte hai.

Agar aap public hi rehne dete hai to fir aapka friend list koi vi dekh sakta hai agar.

Agar aap friends bale option choose karte hai to sirf aapke friends hi dekh sakta hai.

Agar aap only me par click karte hai to apne friends ko sirf aap khud hi dekh payenge.

Agar aap custom bale option par click karte hai to aapko ek group banani hoti hai. Jisme  aapke duwara select kiye gaye friends hi dekh sakte hai.

Agar aap Insead bale option par click karke aap apne friend list ko kisi network ke sath share kar sakte hai.

Agar MIB pe click karenge to agar aap koi group banaye huwe hai to usme aap apne friend list ko share kar sakte hai.

Sare chij karne bad done ke button par click kardijiye. Ab aapka privacy setting change hogaya hai fir aap kisi dusre id se check karle ki dikharaha hai ya nahi.

Mai to kahunga ki aap only me bale option hi select kare taki aapke friend list koi dekh na paye baki aapki marji. To hamne jaan li hai ki Facebook par friend list ko hide kaise karte hai.agar aapko fir vi koi dikat ho to comment me puchh sakte hai. Ab maine aap sabko itna time dekar itna help ki hai to thoda time aap vi dekar mera help kijiye. Karna kuchh jyada nahi hai bas is post ko apne dosto ke sath Facebook,twitter,g oole plus ya fir aur vi social network par share kijiye.

Ye bhi jarur padhiye


Facebook reactions or facebook new like features or emojis kya hai

Free me dinosaur offline game chrome browser me kaise khele

Mobile se Kaise blogger template ko zip file se xml me badle

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

3 comments

comments
May 11, 2017 at 10:08 PM delete

Thank you so much Sahil Ji aise hi hamare blog howtohelpinhindi.blogspot.com par visit karte rahiye. Aapke support hame aur motivate karega

Reply
avatar
May 11, 2017 at 10:09 PM delete

Thank you so much Sahil Ji aise hi hamare blog www.howtohelpinhindi.blogspot.com par visit karte rahiye. Aapke support hame aur motivate karega

Reply
avatar